IMAM FAKHRUDDIN RAZI RAHMATULLAH ALAIH NE FARMAYA FALAASFA KE NAZDEEK ALLAH TA ALA NE ASMANO AUR SITARO ME KHAS QISM KE ASRAT RAKHE HAI.N YE ASRAT UN KE MUKHTALIF HARKAAT SE ALAM E DUNYA ME NAMUDAR HOTE HAI BALKE DUNIYA KE TAMAM WAQEYAAT AUR HADSAAT APNI ALWI IJRAAM KE HARKATO.N KE TAABE HAI.
HAR SITARA KISI NA KISI WAQEYA SE MUNASIBAT RAKHTA HAI HAR BURJ KE ALHAIDA TASEER BALKE BURJ KE HAR EK DARJA KE KUCH ALAG TABIAT HAI HAR SAIYARE KI APNI APNI KHASIYAT AUR QUWAT HOTI HAI JAISE AFTAB ULOO E MARTABAT TASKHIR E KHALAIQ ROB O AUR DABDABA PAR HAAKIM HAI , ZOHRA MUHABBAT SHADI TASKHIR E MASTURAT PAR , ZOHAL ZAMIN JAIDAD KE ISTEHKAAM PAR , MARIKH DUSHMANO PAR GALIB AANE QUWATE JAMA WAGAIRA PAR , QAMAR AAM UMURAAT E DUNYAWI PAR , UTARID ILM O ADAB QUWATE HAFZA TAHRIRI FAN PAR HUKMARAN HAI IS TARAH SAAD AKABR SAIYARA MUSHTARI MAAL O DAULAT WUSAT E RIZQ AASUDGI , KUSHAADGI , BADE PAIMAANE PAR RUPIYE KA HUSOOL , ZAR KASIR KE REL PEL AUR MAZHABI UMOOR PAR HAAKIM HAI.
TAQRIBAN 12 SALON KE BAAD JAB MUSHTARI DAIRATUL BURUJ PAR HARKAT KARTA HUA BURJ SARTAAN KE 15 DARJE PAR PAHUNCHTA HAI TO USEY BALANDI E SHARAF HAASIL HOTA HAI , US WAQT MUSHTARI KI QUWAT KAI HAZAAR GUNAH BADH JATI HAI AUR US WAQT MUSHTARI AISE MUSBAT SAD AUR RUHANI SHUAAYEN ZAMIN PAR DALTA HAI JIS KO FANN E NUQOOSH O TAWEEZAAT KE TARIQE PAR ZABT E NUQOOSH O ALWAAH KIA JATA HAI , AUR TAWIZAAT O NUQOOSH O TILISMAAT O AMALIYAT TAIYAAR KIYE JATE HAIN.
IS WAQT KE BANE NUQOOSH O TAWEEZAT ME ALLAH QAADIRE MUTLAQ KE FAZL SE AISI TASEER PAIDA HOTI HAI KE USKA HAAMIL BAHUT JALD TANGDASTI AUR BE BARKATI KE CHUNGUL SE NIKAL KAR AASUDGI WUSAT AUR FARAAKHI KI NEMAT SE MAALA MAAL HOTA HAI.
YEH PUR TASEER AUR MUBARAK WAQT 12 SALON KE BAAD AUGUST 2025 ME AA RAHA HAI ISSE QABAL SEPTEMBER 2013 ME AAYA THA.IS WAQT ME KAAFI TADAD ME NAQUSH O NUQOOSH O TILISMAAT TAIYAR KIYE JAYENGE LEHAZA US AHAM WAQT SE FAYEDA UTHANA AUR QUDRAT KE IS AZEEM TOHFE SE HASBE MAQDOOR APNA HISSA HAASIL KAR KE APNI ZINDAGI KO KHUSHHAALI KI RAH PAR GAAMZAN KARNA YE HAR ZEE FAHAM AUR ZEE SHAOUR BANDE KA KAAM HAI.
HAMARE YAHAN SHARFAT E KAWAKIB AUR DEGAR NAZRATE KAWAKIB ME KHUSUSI TAUR PAR ALAG ALAG MAQAASID KE LIYE TAWEEZAT O NUQOOSH TAIYAR KIYE JAATE HAI.N SHARF E MUSHTARI CHUNKE ARSA DARAAZ KE BAAD HAATH AA RAHA HAI LEHAZA AISE AHAM WAQT KI QADR O QEEMAT AUR AHAMMIYAT O IFAADIYAT KE PESH E NAZAR HUM HAR TARAH KE NAQUSH O TAWIZAAT AUR TILISMAAT TAIYAR KARENGE JIN KA HADYA BHI MUKHTALIF HOGA TAKE HAR TABQA KE AFRAAD ISE BA AASANI HASIL KAR SAKE AUR ISKI BARKAT SE NAA UMMIDI BE BARKATI TANGDASTI QARZ AUR AFLAAS JAISI MOHLAK BIMARIYON SE SHIFA HAASIL KARNE ME KAMYAB HO SAKE.
WO LOG JO BAAP DADA KI KAMAAI HUI DAULAT KO BARBAAD KAR RAHE HAI YA KISI ANDESHA E MUSIBAT KE SABAB DAULAT KE KHATAM HO JANE KA KHADSHA HAI UN KE LIYE KHAAS LAUH E ISTEHKAME ZAR TAIYAR KI JAYEGI , WOH AHBAAB JO AAMDANI MAAQOOL RAKHNE KE BAAWAJOOD BE BARKATI AUR TANG HAALI SE PARESHAAN REHTE HAIN UN KE LIYE YE SHARF AKSEER KA DARJA RAKHTI HAI WO AFRAAD JO BANK SE KHASI RAQAM BATAUR QARZ LENA CHAHTE HAI UN KE LIYE MUNASIB WAQT HAI WO ASHKHAAS JO KE LAZAWAAL DAULAT AUR AISH O TAN'OM KE MUTAMANNI HAIN UN KE LIYE KHAAS LOHE MUSHTARI TAIYAR KIYA JAYEGA. IS NUQOOSH O TAWEEAT KI TAASEER KO AHAATA E TAHREER ME LAANA DUSHWAR HAI.
GARZ KE MAALI AASUDGI TIJAARAT ME BE INETHA NAFA AUR IZAAFA , NAUKRI ME KHAATIR KHWA TARAQQEE , ZAMIN JAYEDAD ME MUKAMMAL ISTAHKAAM , GURBAT O AFLAAS KA KHAATMA MUKHAALIF AUR DUSHMANO KI RESHA DAWANIYON KE SABAB KAROBAARI NUQSAAAN KI TALAFI ROZGAR ME TARAQQEE , RIZQ ME BE PANAH WUSAT KE LIYE YE WAQT AKSEERE AZAM HAI AUR ISME BANAYE GAYE NAQUSH O TAWEEZAT KA ASAR BAFAZLE O BE AUNIHI TA ALA KAMIL HAI.