Saturday, June 10, 2017

Taweez Kaam Kiyoun Nahi Karta تعویذ کام کیوں نہیں کرتا ताबीज काम क्यों नहीं करता Why Amulet Doesn't Work




Taweez Kaam Kiyoun Nahi Karta 
Alwah Sazi Aur Naqsh Nawesi ka Ek Gosha

Naqsh bharna bazabta ek funn hai aisa nahi ke qalam uthaya aur kaghaz par lakeer khench khench kar koi taweez nawes ban jata hai balke iske liye husool e ijazat ke bad  zakat e naqoosh ki jin dushwar guzar aur sabar aazma marhalon se guzarna parta hai yeh ek kohna maqsh Amil hi bata payega ,naqoosh aur alwaah ki tyari me kis qadar ehtyat barta jata hai aur kaisi hazir dimagi darkaar hoti hai yeh fun se waqif afrad bakhoobi jante hain ,behamdihi tala main apni 17 sala roohani safar me naqsh nawesi ke talluq se be shumar poshida haqaiq aur ma'auarif se ashna hua hun jisey ahata e tahreer me lane ke liye mujhe ek lambi tateel aur fursat ke lamhat chahiye fil waqt main ap hazraat ko sirf itna batana chahta hun ke jab ap taweez likh rahe hote hain to us waqt apke qalam par do qisam ki qoowaten mtasarrif hona chahti hain ek roohani quwat aur dusri shaitani quwat har do quat apne kam me lagi rahti hai jab roohani quwat ke zer e asar apka qalam chalta hai to apko  farhat o anbisat aur suroor hasil hota hai aur naqsh ke aadad ya huroof bilkul sahee sahee tahreer ho rahe hote hain aur jab qalam par shaitani quwat apna tasurruf jama leti hai to na chah kar bhi qalam se laghzish hona shuru ho jati hai ap likhna chahenge 6 likha jayega 5 ayat kuch likh rahe honge beech me izafi lafz jud jayega,aur sath hi mizaj me uljhan paida ho jati hai phir aap jab chahenge ke is ghalat likhe ko saheeh kar lia jaye to isse mazeed roohani bechaini me izafa hojata hai kiyon ke jaise hi ap naqsh par overwrite karenge woh naqsh bejan o be asar hokar rah jayega ek aham nukte ki taraf ishara kar dun kabhi aisa hota hai ke apne koi adad ghalat likh dia maslan 2 likha use 3 hona tha to agar baghair overwrite ke yeh 3 ban jata hai to khair warna Loh ya naqsh bekar samjhen isi par huroof ko bhi qayas kijye ,Loh sazi aur naqsh nawesi ke dauran yeh kashmakash aur ankh micholi ka khel sarkash jinnat aur naqsh ya loh ke taabe noori mawakkilan ke darmiyan jari rahta hai ,baharhaal agar khuda nkhwasta naqsh overwrite hogaya to samjhe ke mehnat akarat ho gai phir se dobara likhna hoga ,mai bade bade naqoosh banata hu aur mujhe aksar aisi surat e haal se do char hona pada hai natijatan 4 ghante ki mehnat 4 minute me khatam ho jati hai humare yeha kisi bhi naqsh ya loh ki taiyari me in jaisi baton ka  khas khayal rakha jata hai yeh to ek jhalak thi naqsh nawesi aur alwah sazi ke talluq se jo ke ek aam insan ko bhi ghaur karne par dikhta hai lekin is tarah ke sainkdon asraar aise hain jin se likhne ke waqt sabqa parta hai jin ka bayan karu to mustaqil ek kitab ban jaye..yaad rakhe.n Naqsh Nawesi aur Alwaah sazi ka fun aur iske asrar baghair kamil ustad ke kisi ko meassar nahi aaskta chahe jitni naqal karta phire.


Tilism Charm e Aahu طلسم چرم آہو Gazelle Skin Talisman हिरण के चमडे का तावीज़


Tilism Charm e Aahu
Ek Lajwab Tilism
Hiran ke chamde me likha jane wala naqsh ya tilism apni roohani quwat ke etbar se ek lajwab aur lasani tilism ya naqsh hota hai Khudaye ta'la ne hiran janwar ke chamde me aisi roohani qoowat wadiyat ki hai jisse insan ki jumla khwahishat ki takmeel me ghaibi madad milti hai jiske pas yeh Tilism Charm e Aahu hoga woh ek khush  qismat insan tasauor kia jayega uski har khwaish ghaib se puri ho jaya karegi is Tilism ki khasiyat ka mukhtasar ta'ruf bas ek jumle me yeh hai ke yeh tilism jumla maqasid ke liye kafi hai




Tuesday, June 6, 2017

Tilismi Angoothi तिलिस्मी अंगूठी طلسمی انگوٹھی Magical Ring

 Yeh saat Tilism saat sitaron ke hai jinhe sayaron ke makhsoos auqaat me taiyar kia gaya hai in tilismat ko ap Ring ya Locket  me banwa sakte hai ya Taweez Locket me dal kar ya wese hi apne pas jeb me rakh sakte hain.
inki mukhtasar khasiyat yeh hain
  • sato.n saiyaro ki nahusat ka mukammal khatma.
  • saiyargan ki nek aur sa'd shuao.n ko kashish karke hamil e tilism ko khush qismati aur kamyabi se hamkanar karna.
  • Har qisam ke sehar aur jadu se hifazat.
  • Dushman aur hasideen hamesha maghloob rahen.
  • jumla qisam ke moozi maraz se hifazat.
  • Shadi ki rukawat khatam ho jaye.
  • Sadh satti ka behtareen upaye.
  • Muqadme me kamyabi hasil ho.
  • Imtehan me pass hone ke liye.
  • kamo me pesh aane wali rukawat door ho.


Monday, June 5, 2017

Nafrat Aur Judai Paida Ho Jaye نفرت اور جدائی پیدا ہو جائے नफरत और अलगाव पैदा हो जाए


نفرت اور جدائی پیدا ہو جائے

اگر آپ چاہتے ہیں کہ دو شخصوں کے درمیان ناجائز تعلق ختم ہوجائے اور دونو ایک دوسرے کے دشمن بن جائیں تو اس کے لئے ہفتہ کہ دن بلی کا ایک مونچھ کسی صورت سے حاصل کریں اور کسی چھوٹے چرند یا پرند جیسے کبوتر یا مرغی کا ایک پر حاصل کر کے دونو کو ایک کاغذ میں لپیٹ لیں اس کاغذ پر زحل کی ساعت میں دونوں فریق کا نام مع والدہ لکھ لیں اور اس کاغذ پر سورہ فیل ۳۰۰ مرتبہ پڑھ کردو قبروں کے درمیاں دفن کر دیں ایک ہفتہ میں دونوں کے درمیاں جنگ و جدال کی فضاء بن جائیگی ،عمل صرف جائز صورت میں کر سکتے ہیں ورنہ خود بھگتنا ہوگا اس عمل کے لئے حصار بھی ضروری ہے ،عمل کی اجازت ادارہ کے تمام ارکان اور جملہ شاگردوں کو ہے دیگر احباب فون پر اجازت حاصل کرسکتے ہیں
Agara chahte hain ke do shakshon ke darmiyan najaiz talluq khatam ho jaye aur dono ek dusre ke dushman ban jayen to is ke hafta ke din billi ka ek monchh kisi surat se hasil karen aur kisi chhote charind ya parind jaise kabootar ya murghi ka ek par hasil kar ke dono ko ek kaghaz me lapet len is kaghaz par zohal ki saat me dono fareeq ka nam ma walida likh len aur is kaghz par sura feel 300 martaba parh kar do qabron ke darmiyan dafan kar den ek hafta me dono ke darmiyan jang o jidal ki fiza ban jayegi amal sirf jaiz surat me kar skte hain warna khud bhugatna hoga is amal ke liye hisar bhi zaruri hai amal ki ijazat Idara ke tamam arkan aur jumla shagirdon ko hai degar ahbab phone par ijazat hasil kar skte hain.

Sunday, June 4, 2017

Mohabbat Ka Ek Zabardast Tilism मोहबत का एक स्मार्ट मंत्र A Great Spell For Love محبت کا ایک زبردست طلسم

Tlismati Aa'mal Ke Shaiqeen Hadiya Ada Kar Ke Is Amal Ki Ijazat Aur Tilism hasil kar skte hain.
Taskheer o hub ke liye tilismati aa'mal me se yeh ek chuninda aur aazmuda amal jana jata hai is amal ko baja lane ke kiye apko sharaf e qamar ya nuzool e zohra ke intezar karna hoga jab mazkoora waqt aane lage to ap amal ki tyari me lag jayen ain sharaf e qamar ke waqt bazarya fisad apna khoon hasil karen aur is khoon ko pehle se hasil karda zahra e hoot ke sath mila kar mitti ka aisa bartan jo ke roghani ho rakh chhoden tariqa yeh hoga ke chalees din musalsal is bartan ko dhoop me rakhna hai jab saya ho jaye yani sham ke waqt utha kar mahfooz kar dena hai in chalees dino me apke khoon aur zahra e hoot ki aamezish se is roghani bartan me ek ajeeb o ghareeb janwar paida ho jayega jiska rang umuman sufaid aur surkh hota hai lekin yeh zaroori nahi siah bhi ho sakta hai bahar haal is janwar ko nikal kar aik aise thaile me rakh chhoden jisme jau bhara ho  taqriban 3 se 5 kilo ,hafta ashra ke andar kabhi bhi is janar ko ek shishe ke bartan me zibah karke iske sab khoon ko mehfooz kar len aur is hasil shuda khoon par suryani Tilism ko 119  martaba parh kar phoonk maren aur bartan ko saya me rakh kar khusk kar len iske khushk hone me 3 din lag jayenge  waazeh rahe ke ab is khoon ko khushk karne ke waaste dhoop me nahi rakhna hai warna mehnat kharab ho jayegi bad 3 dino ke isey ehtiyat ke sath bareek pees lijye aur ek chandi ki dibya me rakh chhoden ab aap ek aise Tilismi phakki ke malik ho gaye jisse ap jisey chahen apni mohabbat me giraftar kar sakte hain jab bhi kisi mard ya aurat ko us dibya me se ek chutki kisi mashroob me hall kar ke pila denge ya kisi khane me mila kar khila denge qasam khuda ki woh ta hayat apka peechha nahi chodega aur hamesha hamesh ke liye apka ho jayega.

Sunday, April 9, 2017

Loh E Sharaf E Aftab لوح شرف آفتاب (Sun Glory Talisman)


Lohe Sharaf e Aaftab
Izzat o azmat , jaah o hashmat, taraqqi madarij , rob o dabdaba , sarbulandi, izzat o martaba, ghalba o tasallut ke husool ke liye yeh zinda tilism ka kam deta hai , who log jo dusron se piche rah gaye hain ya aala maqam hasil nahi kar sake ,halqaye ahbab aur kam ki jagho me koi izzat nahi aise logo ke lye ek ruhani tohfa hai iske hamil par koi shakhsh ghalib nahi aasakta  election me kamyabi , muqabla jati imtehanat , futoohat ki azim taseer rakhta hai ,zamana e qadeem se tamam hukama ka is naqsh par etemad hai aur mera barso ka tajarba hai.
Taskheer khalq aur taraqii e darajat ka muassar waqt
Shamsh burj e hamal me harkat karta hua jab 19 win darja par pohachta hai to usey sharaf hasil hota hai sal me sirf ek bar yeh sunehra mauqa hath ata hai ye tamam halaton me saadat darja me qawi hota hai shamsh saiyargan e falki me sab se bada shahanshah ka darja rkhta hai sab se ziyada noorani aur aur taqatwar asar zamin par dalne wala hota hai zindagi aur rooh ki twanai isse quwat pati hai, isliye iska sharaf aamilin o kamilin ke nazdeek hamehsa se tawajjo ke qabil raha hai is waqt jo makhfi quwaten zamin par asar andaz hoti hain usko agar zabt me laya jaye to who apni beiznillah apni taqat se hamil ke liye azeem haibat rob aur quwat paida karta hai aur ek mumtaz maqam tak lata hai jisse saakinaan e maujoodat me iska rutba buland tar hota chala  jata hai ,lihaza har sal aise mauqe par hum aise amaliyat tyar karte  hain jo taskheer khalaiq , afzooni e rizq , jaaho martaba aur musalsal taraqi lane wale hote hain har sal april ke mahine me yeh waqt ata hai aur kaseer tadad me naqoosh o talism tyar kiye jate hain zaroorat mand hazraat o khwateen rabta kare ,waajeh rah eke sharaf e aftab me mukhtalif qisam ke naqoosh o tilism tyar kiaye jate hai maslan ba muakkil naqsh batariq ilm e jafar jo ke sail ken am aur uski walida ken am se banaye jate hain aise naqoosh ke liye sharaf se pehle rabta karna zaroori hai kyunke takseer waghaira bnane me kafi waqt lagta hai aur qabal az waqt mukammal tyari chahiye iske elawa jo naqsh bante hain who hare k sail ko kifayat karta hai aur Alhamdulillah sare naqoosh hi sharaf e aftab ke lajwab hote hain hazaron afrad har sal isse mustafeed hote hain
Sharaf e aftab me mandarja zail maqasid ke husool ki khatir alwah o tilism aur jafri naqoosh banaye jate hain

@Muqablajati imtehanat me kamyabi ke liye
@Karobar ko urooj tak pohchane ke liye
@Maqam o martaba me bulandi ke liye
@Har qisam ke muqaddme me kamyabi ke liye
@Berozgari ke khatma ke liye
@Kisi firm ya company ki shohrat ke liye
@Kisi bhi kam  me ghaibi madad hasil karne ke lye
@Shohrat aur namwari ke liye
@Daulatmand aur ameer e kabeer banne ke liye
@Hamesha taraqqi karte rahne ke lye
@Aulad e narina ke husool ke liye.

Thursday, March 23, 2017

Amal Ki Zakaat Kiyou.n Ada Ki Jati Hai عمل کی زکات کیوں ادا کی جاتی ہے (Why Is the Process Of Zakah In Spiritual Remedy)

Amaliyat me ek bunyadi mas'ala zakat ka hai aksar aamileen isko nazar andaz kar dete hain natije ke taur par unhe jagah jagah nakami ka samna karna parta hai peshawar aamileen to nakam hone par bhi jhoot sach bol  kar kaam chala lete hain lekin pareshani aur mayoosi moahqqiqeen aur  un awamunnas ko gher leti hai jo apni masaail ke liye aamileen ke pas aate hain isliye un tamam hazraat ke liye zakat ki adayegi zaroori hai jo is raah me qadam rakhne ka irada rakhte hain akabireen ki tahqeeq ke mutabiq zakat ki haqiqat yeh hai ke Haq ta'ala ne apni qudrat e kamila se har har urf par Qur'an ki har har ayat par aur apne tamam asma par malaika ko musallat kar dia hai aur har har hurf ka talluq kisi na kisi firishte se wabista hai phir har woh firishta jo kisi ayat ya hurf par nigran ho woh haisiyat bamanzila sardar ke hota hai phir uske matahat aur bhi firishte hua karte hain jo  Allah ke banaye hue qanoon aur zabte ke mutabiq apne sardar ke hukm ki tamil karne par majboor hain  aur har hukm baja laate hain yeh bat bilkul aam faham hai ke humare hukm ki taamil wahi shakhsh karega jisse koi talluq ya ta'ruf hoga be talluq aur bila ta'ruf agar koi kam aajaye to yeh mahaz ek ittefaqi amar hai warna is dunya me kam usi ka kia jata hai jisse koi shanasai ho aur kisi tarah ka uns bhi is haqiqat ke pesh e nazar zara sochen jin muakkileen ya malaika se humara kisi bhi tarah ka koi ta'ruf ya talluq na ho aur hum us ayat ka amal karne chalen jis ayat par woh bataur e nigehban ya hukmara.n musallat hai to bhla yeh kaise mumkin hai ke amal me taseer paida ho jaye yeh chiz apni jagah atal hai ke har chiz marziyat e khudawandi hai lekin yeh bat bhi apni jagah musallam hai ke asbab o alal ki is dunya me jab kisi afsar ki safarish se humara kam banta hai tab bhi 
marzi e maula ko isme dakhal hota hai malik e haqiqi ki marzi ke baghair na kabhi kuch hua hai na kabhi kuch hoga isi tarah amaliyat ki rah me firishton aur moakkilat ke zarye koi kam banta ho ya ban jaye tab bhi usme marzi e maula o izn ka usme dakhal hoga lekin jis tarah asbab ki is dunya me yeh aqidah rakhte hue ke Allah hi ki marzi se sab kuch hota hai hum balai logon se safarish karate hain aur afsaran ki khusamad karte hain isi tarah amaliyat me taseer paida karne ke liye malaika aur muakkileen se shanasai paida karna aur unke zarye kam karane ki jiddo johad karna tauheed ke manafi nahi yaqeen baharhaal dil me yeh hona chahiye ke karne wali zaat Haq Ta'ala ki hai han usne apne muqarrab bandon ko quwat bakhshi hai beiznillah woh bhi mutasarrif hain ap ne dekha hoga beshumar log is dunya me amal karte hain lekin aksar log apne amal me nakam ho jate hain aur matlooba taseer samne nahi aati to iska saf matlab yeh hai ke amal me kahin na kahin koi kami baqi rah jati hai jis ki waja se amal be taseer hokar rah jata hai warna is dunya me koi bhi chiz aisi nahi hai jo beiznillah moassar na ho lekin har chiz apna asar usi waqt dikhati hai jab usey qaide aur tareeqe se istemal me laya jaye kisi chiz se faida uthane ke liye neki aur badi bhi koi mufeed ya maane nahi banti agar tareeqe se kaam kia jaye to bura aadmi bhi kuch na kuch le udega aur agar be qaida kam kia jaye to nek aur parsa admi bhi kamyabi se mehroom rahega islye asbab ki is dunya me kamyabi se hamkanar hone ke liye manzil ki taraf saheeh qadam uthana zaroori hai zahar ka piyala nek admi piye ya badkaar admi zahar apna asar dikha kar rahe ga aur isi tarah taryaaq ka istemal bura admi kare ya bhala admi .uska asar bhi zahir hokar rahega sheerni sab ke liye mithi hoti hai namak sab ke liye namkeen hota hai neem sab ke liye kadwa hota hai aisa nahi hai ke neem nek admi ke munh me ja kar apna zaiqa badal de aur mithi ho jaye aur aisa bhi nahi ke koi meethi chiz bad kirdar admi ke munh me jakar apna maza badal de aur talkh ho jaye bahar hal asbab o alal ki is dunia me agar hum apne maqasid me kamyabi chahte hain to mehnat ,lagan aur saheeh raaste ko ikhtyar karna zaroori hai warna masiwa nakami aur waqti kamyabi ke siwa kuch bhi hath na lagega 
amaliyat me zakaat ki adayegi usi trah zaroori hai jis tarah nama me wozu shart hai bahair wozu ke jo namaz ada ki jayegi woh bazahir to namaz ho gi lekin aisi namaz be rooh hogi aur iska koi natija deen o dunya me zahir nahi hoga aisi namaz humare af'al o kirdar par koi asar nahi chhodegi aur akhirat me bhi uspar koi ajar murattab nahi hoga isi tarah amaliyat jo zakat bina tajurbe me laye.n jayenge woh be rooh rahenge inka koi musbat asar zahir nahi hoga aur agar zahir hoga to sirf ittefaqi jis tarah is dunya me insan zahar pi kar bhi nahi marta halanke zahar kaam bhi mat dalna hai kabhi kabhi Allah ki marzi nahi hoti to chhuri aur aag bhi apna kaam nahi karti lekin yeh koi qaida kulliya nahi  bahar haal jo log amil banne ke aarzumand hain woh yeh bat apne dil me utar le.n ke amaliyat se puri tarah mustafeez hone ke liye zakat ki adayegi nihayat zaroori hai zakat ki adayegi ka mashhoor o maroof tariqa to yeh hai ke murshid e kamil ya ustad ki ijazat aur nigrani me jis isme bari tala ya jis ayat ya azeemat ki zakat nikalni ho usey sawa lakh martaba ek waqt muqarrar karke parha jaye kam se kam ek chillah yani 40 dino me aur ziada se ziada 120 dino me sawa lakh ki tadad poori ki jaye lekin aamileen kamileen ne zakat ki mukhtalif qismen batai hain hum un par insha Allah tafseel se roshni dalenge yeh bat yad rakhni chahiye ke yeh akat jo amal ke liye ada ki jati hai iski shari koi haisiyat nahi hai yeh amal ko mazboot karne ke liye hai aur arbab e tajarba ne isey ijad kia hai aamileen kamileen ne zakat kimukhtalif qisme bayan ki hai aur iske alag alag asarat bhi bataye hain maslan zakat ki ek qisam yeh bhi hai ke amil apne nam ke adaad nikale aur Quran kareem ki koi ayat ko jiske zarye koi amal karna chahta hai apne nam ke adad ke mutabiq ek rat parhe isi tarah 40 rat parhne se zakat ada ho jayegi lekin yeh zakat sirf ek hi bar amal ke liye kaar amad sabit hogi aur ek hi bar amal karne se batil ho jayegi ab isme asar baqi nahi rahega.

Thursday, February 23, 2017

Lohe Mohabbat Ka Mukhtasar Ta'aruf لوح محبت کا مختصر تعارف (An Introduction Of Love Talisman)


 Yeh Loh har us masale ka hal hai jo Mohabbat, Moaddat , Jazb e Qalb aur Hub waghaira se mutalliq hai yeh Loh Taskheer o Mohabbat ke un chuninda ayaat ke aazmuda naqoosh par mushtamil hai jin se hukama e ilm o funn ne bade bade kam liye hain ,Lohe Mohabbat Mukhtalif Maqasid Ke Liye tyar ki jati hai iski mukhtasar khasiyat hasb e zeil hai.

  1. Makhsoos jagah rishta aur pasand ki shadi me kamyabi ke liye 
  2. Mia biwi ke darmiyan be inteha piar aur misali mohabbat ke liye
  3. Mia biwi ke jhagde khatam hone aur talaq se hifazat ke liye
  4. Mehboob ko apni mohabbat me be qarar karne ke liye
  5. Bhai behan ma bap aur ahl e khana me aapsi piyar o mohabbat me izafa keliye
  6. Chahe jitni purani dushmani ho muashrati ya khandani sab khatam hojaye  
  7. Gharelu nachaki khatam ho kar aapsi mel mohabbat ka mahol khar me qaim ho
  8. Naukro.n aur karindo.n ko qabu me rakhne aur farmanbardar banaye rakhne keliye
  9. Nafarman biwi ko taabe aur kaneez banaye rakhne keliye
  10. Ghar khandan aur muashre me hardil aziz banne ke liye
  11. Dulhan ko sasural me izzat mile aur har qisam ke shar se mehfooz rahe
  12. Chahre me kashish aur jazbiyat ke liye
  13. Khoya hua waqar aur izzat ki baahali ke liye

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668