Sunday, April 9, 2017

Loh E Sharaf E Aftab لوح شرف آفتاب (Sun Glory Talisman)


Lohe Sharaf e Aaftab
Izzat o azmat , jaah o hashmat, taraqqi madarij , rob o dabdaba , sarbulandi, izzat o martaba, ghalba o tasallut ke husool ke liye yeh zinda tilism ka kam deta hai , who log jo dusron se piche rah gaye hain ya aala maqam hasil nahi kar sake ,halqaye ahbab aur kam ki jagho me koi izzat nahi aise logo ke lye ek ruhani tohfa hai iske hamil par koi shakhsh ghalib nahi aasakta  election me kamyabi , muqabla jati imtehanat , futoohat ki azim taseer rakhta hai ,zamana e qadeem se tamam hukama ka is naqsh par etemad hai aur mera barso ka tajarba hai.
Taskheer khalq aur taraqii e darajat ka muassar waqt
Shamsh burj e hamal me harkat karta hua jab 19 win darja par pohachta hai to usey sharaf hasil hota hai sal me sirf ek bar yeh sunehra mauqa hath ata hai ye tamam halaton me saadat darja me qawi hota hai shamsh saiyargan e falki me sab se bada shahanshah ka darja rkhta hai sab se ziyada noorani aur aur taqatwar asar zamin par dalne wala hota hai zindagi aur rooh ki twanai isse quwat pati hai, isliye iska sharaf aamilin o kamilin ke nazdeek hamehsa se tawajjo ke qabil raha hai is waqt jo makhfi quwaten zamin par asar andaz hoti hain usko agar zabt me laya jaye to who apni beiznillah apni taqat se hamil ke liye azeem haibat rob aur quwat paida karta hai aur ek mumtaz maqam tak lata hai jisse saakinaan e maujoodat me iska rutba buland tar hota chala  jata hai ,lihaza har sal aise mauqe par hum aise amaliyat tyar karte  hain jo taskheer khalaiq , afzooni e rizq , jaaho martaba aur musalsal taraqi lane wale hote hain har sal april ke mahine me yeh waqt ata hai aur kaseer tadad me naqoosh o talism tyar kiye jate hain zaroorat mand hazraat o khwateen rabta kare ,waajeh rah eke sharaf e aftab me mukhtalif qisam ke naqoosh o tilism tyar kiaye jate hai maslan ba muakkil naqsh batariq ilm e jafar jo ke sail ken am aur uski walida ken am se banaye jate hain aise naqoosh ke liye sharaf se pehle rabta karna zaroori hai kyunke takseer waghaira bnane me kafi waqt lagta hai aur qabal az waqt mukammal tyari chahiye iske elawa jo naqsh bante hain who hare k sail ko kifayat karta hai aur Alhamdulillah sare naqoosh hi sharaf e aftab ke lajwab hote hain hazaron afrad har sal isse mustafeed hote hain
Sharaf e aftab me mandarja zail maqasid ke husool ki khatir alwah o tilism aur jafri naqoosh banaye jate hain

@Muqablajati imtehanat me kamyabi ke liye
@Karobar ko urooj tak pohchane ke liye
@Maqam o martaba me bulandi ke liye
@Har qisam ke muqaddme me kamyabi ke liye
@Berozgari ke khatma ke liye
@Kisi firm ya company ki shohrat ke liye
@Kisi bhi kam  me ghaibi madad hasil karne ke lye
@Shohrat aur namwari ke liye
@Daulatmand aur ameer e kabeer banne ke liye
@Hamesha taraqqi karte rahne ke lye
@Aulad e narina ke husool ke liye.

Thursday, March 23, 2017

Amal Ki Zakaat Kiyou.n Ada Ki Jati Hai عمل کی زکات کیوں ادا کی جاتی ہے (Why Is the Process Of Zakah In Spiritual Remedy)

Amaliyat me ek bunyadi mas'ala zakat ka hai aksar aamileen isko nazar andaz kar dete hain natije ke taur par unhe jagah jagah nakami ka samna karna parta hai peshawar aamileen to nakam hone par bhi jhoot sach bol  kar kaam chala lete hain lekin pareshani aur mayoosi moahqqiqeen aur  un awamunnas ko gher leti hai jo apni masaail ke liye aamileen ke pas aate hain isliye un tamam hazraat ke liye zakat ki adayegi zaroori hai jo is raah me qadam rakhne ka irada rakhte hain akabireen ki tahqeeq ke mutabiq zakat ki haqiqat yeh hai ke Haq ta'ala ne apni qudrat e kamila se har har urf par Qur'an ki har har ayat par aur apne tamam asma par malaika ko musallat kar dia hai aur har har hurf ka talluq kisi na kisi firishte se wabista hai phir har woh firishta jo kisi ayat ya hurf par nigran ho woh haisiyat bamanzila sardar ke hota hai phir uske matahat aur bhi firishte hua karte hain jo  Allah ke banaye hue qanoon aur zabte ke mutabiq apne sardar ke hukm ki tamil karne par majboor hain  aur har hukm baja laate hain yeh bat bilkul aam faham hai ke humare hukm ki taamil wahi shakhsh karega jisse koi talluq ya ta'ruf hoga be talluq aur bila ta'ruf agar koi kam aajaye to yeh mahaz ek ittefaqi amar hai warna is dunya me kam usi ka kia jata hai jisse koi shanasai ho aur kisi tarah ka uns bhi is haqiqat ke pesh e nazar zara sochen jin muakkileen ya malaika se humara kisi bhi tarah ka koi ta'ruf ya talluq na ho aur hum us ayat ka amal karne chalen jis ayat par woh bataur e nigehban ya hukmara.n musallat hai to bhla yeh kaise mumkin hai ke amal me taseer paida ho jaye yeh chiz apni jagah atal hai ke har chiz marziyat e khudawandi hai lekin yeh bat bhi apni jagah musallam hai ke asbab o alal ki is dunya me jab kisi afsar ki safarish se humara kam banta hai tab bhi 
marzi e maula ko isme dakhal hota hai malik e haqiqi ki marzi ke baghair na kabhi kuch hua hai na kabhi kuch hoga isi tarah amaliyat ki rah me firishton aur moakkilat ke zarye koi kam banta ho ya ban jaye tab bhi usme marzi e maula o izn ka usme dakhal hoga lekin jis tarah asbab ki is dunya me yeh aqidah rakhte hue ke Allah hi ki marzi se sab kuch hota hai hum balai logon se safarish karate hain aur afsaran ki khusamad karte hain isi tarah amaliyat me taseer paida karne ke liye malaika aur muakkileen se shanasai paida karna aur unke zarye kam karane ki jiddo johad karna tauheed ke manafi nahi yaqeen baharhaal dil me yeh hona chahiye ke karne wali zaat Haq Ta'ala ki hai han usne apne muqarrab bandon ko quwat bakhshi hai beiznillah woh bhi mutasarrif hain ap ne dekha hoga beshumar log is dunya me amal karte hain lekin aksar log apne amal me nakam ho jate hain aur matlooba taseer samne nahi aati to iska saf matlab yeh hai ke amal me kahin na kahin koi kami baqi rah jati hai jis ki waja se amal be taseer hokar rah jata hai warna is dunya me koi bhi chiz aisi nahi hai jo beiznillah moassar na ho lekin har chiz apna asar usi waqt dikhati hai jab usey qaide aur tareeqe se istemal me laya jaye kisi chiz se faida uthane ke liye neki aur badi bhi koi mufeed ya maane nahi banti agar tareeqe se kaam kia jaye to bura aadmi bhi kuch na kuch le udega aur agar be qaida kam kia jaye to nek aur parsa admi bhi kamyabi se mehroom rahega islye asbab ki is dunya me kamyabi se hamkanar hone ke liye manzil ki taraf saheeh qadam uthana zaroori hai zahar ka piyala nek admi piye ya badkaar admi zahar apna asar dikha kar rahe ga aur isi tarah taryaaq ka istemal bura admi kare ya bhala admi .uska asar bhi zahir hokar rahega sheerni sab ke liye mithi hoti hai namak sab ke liye namkeen hota hai neem sab ke liye kadwa hota hai aisa nahi hai ke neem nek admi ke munh me ja kar apna zaiqa badal de aur mithi ho jaye aur aisa bhi nahi ke koi meethi chiz bad kirdar admi ke munh me jakar apna maza badal de aur talkh ho jaye bahar hal asbab o alal ki is dunia me agar hum apne maqasid me kamyabi chahte hain to mehnat ,lagan aur saheeh raaste ko ikhtyar karna zaroori hai warna masiwa nakami aur waqti kamyabi ke siwa kuch bhi hath na lagega 
amaliyat me zakaat ki adayegi usi trah zaroori hai jis tarah nama me wozu shart hai bahair wozu ke jo namaz ada ki jayegi woh bazahir to namaz ho gi lekin aisi namaz be rooh hogi aur iska koi natija deen o dunya me zahir nahi hoga aisi namaz humare af'al o kirdar par koi asar nahi chhodegi aur akhirat me bhi uspar koi ajar murattab nahi hoga isi tarah amaliyat jo zakat bina tajurbe me laye.n jayenge woh be rooh rahenge inka koi musbat asar zahir nahi hoga aur agar zahir hoga to sirf ittefaqi jis tarah is dunya me insan zahar pi kar bhi nahi marta halanke zahar kaam bhi mat dalna hai kabhi kabhi Allah ki marzi nahi hoti to chhuri aur aag bhi apna kaam nahi karti lekin yeh koi qaida kulliya nahi  bahar haal jo log amil banne ke aarzumand hain woh yeh bat apne dil me utar le.n ke amaliyat se puri tarah mustafeez hone ke liye zakat ki adayegi nihayat zaroori hai zakat ki adayegi ka mashhoor o maroof tariqa to yeh hai ke murshid e kamil ya ustad ki ijazat aur nigrani me jis isme bari tala ya jis ayat ya azeemat ki zakat nikalni ho usey sawa lakh martaba ek waqt muqarrar karke parha jaye kam se kam ek chillah yani 40 dino me aur ziada se ziada 120 dino me sawa lakh ki tadad poori ki jaye lekin aamileen kamileen ne zakat ki mukhtalif qismen batai hain hum un par insha Allah tafseel se roshni dalenge yeh bat yad rakhni chahiye ke yeh akat jo amal ke liye ada ki jati hai iski shari koi haisiyat nahi hai yeh amal ko mazboot karne ke liye hai aur arbab e tajarba ne isey ijad kia hai aamileen kamileen ne zakat kimukhtalif qisme bayan ki hai aur iske alag alag asarat bhi bataye hain maslan zakat ki ek qisam yeh bhi hai ke amil apne nam ke adaad nikale aur Quran kareem ki koi ayat ko jiske zarye koi amal karna chahta hai apne nam ke adad ke mutabiq ek rat parhe isi tarah 40 rat parhne se zakat ada ho jayegi lekin yeh zakat sirf ek hi bar amal ke liye kaar amad sabit hogi aur ek hi bar amal karne se batil ho jayegi ab isme asar baqi nahi rahega.

Thursday, February 23, 2017

Lohe Mohabbat Ka Mukhtasar Ta'aruf لوح محبت کا مختصر تعارف (An Introduction Of Love Talisman)


 Yeh Loh har us masale ka hal hai jo Mohabbat, Moaddat , Jazb e Qalb aur Hub waghaira se mutalliq hai yeh Loh Taskheer o Mohabbat ke un chuninda ayaat ke aazmuda naqoosh par mushtamil hai jin se hukama e ilm o funn ne bade bade kam liye hain ,Lohe Mohabbat Mukhtalif Maqasid Ke Liye tyar ki jati hai iski mukhtasar khasiyat hasb e zeil hai.

  1. Makhsoos jagah rishta aur pasand ki shadi me kamyabi ke liye 
  2. Mia biwi ke darmiyan be inteha piar aur misali mohabbat ke liye
  3. Mia biwi ke jhagde khatam hone aur talaq se hifazat ke liye
  4. Mehboob ko apni mohabbat me be qarar karne ke liye
  5. Bhai behan ma bap aur ahl e khana me aapsi piyar o mohabbat me izafa keliye
  6. Chahe jitni purani dushmani ho muashrati ya khandani sab khatam hojaye  
  7. Gharelu nachaki khatam ho kar aapsi mel mohabbat ka mahol khar me qaim ho
  8. Naukro.n aur karindo.n ko qabu me rakhne aur farmanbardar banaye rakhne keliye
  9. Nafarman biwi ko taabe aur kaneez banaye rakhne keliye
  10. Ghar khandan aur muashre me hardil aziz banne ke liye
  11. Dulhan ko sasural me izzat mile aur har qisam ke shar se mehfooz rahe
  12. Chahre me kashish aur jazbiyat ke liye
  13. Khoya hua waqar aur izzat ki baahali ke liye

Monday, February 13, 2017

Namaz e Chast Se Tangdasti Ka Khatima نماز چاشت سے تنگدستی کا خاتمہ (Ending Of poverty And Namaz e Chast)

Fi zamana har shaksh aflas o tangdasti me mubtala hai aur dunyawi jiddo johad me subh se sham tak apna wqt zaya karte hain magar maqsad barari nahi hoti jo log musibat me mubtala hai main unse guzarish karta hun ke woh dunyawi sa'ee o koshish ke sath roohaniyat ki taraf bhi mutawajjo ho.n aur dekhe.n ke bargahe khudawandi se unhe kia inam milta hai aur unka maqsad kitna jald pura hota hai hadees saheeha me warid hua hai ke farmaya Rasool e kareem sallallahu alaihi wasallam ne jo shakhsh namaz e chasht ki 12 rak'ate.n parhta hai to Allah ta'ala uske aflas o tandasti ko door farma kar usey har tarah khush o khurram bana deta hai is hadees e motabar ki ro se har hajatmand ko apni tangdasti door karne ke liye namaz e chast ada karni chahiye namaz chast ki char rakate.n bhi hoti hain magar 12 rakate.n batareeq e amal hain do rakat parh kar 6 salam se 12 rakat poori kare.n ya char char rakat 3 salam se parhe.n koi surat khas parhne ki nahi hai bad namaz Baari ta'ala ki janab me moaddibana apni ilteja pesh kare insha Allah ta'la chand din me iska asar hoga aur ghaib se imdad hogi chast ke mana dopahar ke hain din ke 10 baje aur kahin 11 baje namaz e chast shuru kar dia kare.n aur itni takheer bhi na kare.n ke waqt e makrooh nisfunnahar shuru ho jaye 
Tarkeeb e Deegar
ek doosri tarkeeb Mashaikh se youn manqool hai ke chast ke waqt 4 rakat ek salam se parhe aur pehli rakat me sura balad dusri rakat me sura washshams teesri rakat me surah walllail chauthi rakat me surah wadduha parhe rozi me barkat aur aflas o tangdasti ke khatma ke liye yeh tareeqa mujarrab hai aur mashaikh e kibar ke mamoolat me raha hai.

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668