Monday, September 26, 2016

Saba Saiyargan Ki Lohe.n Aur Awami Confusion سبع سیارگان کی لوحیں اور عوامی کنفیوزن (Public Confusion And Talisman Of Seven Planets)





Saba Saiyargan Ki Lohe.n Aur Awami Confusion

Jab kisi saiyare ka sharaf aata hai to aam taur par iski tashheer saare aamileen khwah asli ho ya naqli sab karte hain pichhle kai salo.n se main yeh mushahida karta aaraha hun ke am logo.n ke zehan o fikr me in tashheeri karwai se mukhtalif qisam ke sawalat aur funne Loh sazi ko lekar ghalat salat tasawor qaim ho rahe hain is waaste maine zaroozi jana ke is mauzoo par  kuch aham maloomat faraham kar du.n taake awam o  kaawas dono mustafeed ho.n is mauzoo ko samajhne ke liye saiyaro.n ki mutalliqa dhat aur mansooba naqoosh ka janna zaroori hai ab aaiye main tarteeb war saba saiyargan se muatlliqa naqoosh aur dhat ka zikr karta hu.n 
saiyara Zohal ki mansooba Loh Naqsh e Mutah hai yeh 81 khano.n par mushtamil hai ur iski mutalliqa dhat sikka hai,saiyara Mushtari ki mansooba Loh naqsh e Saman hai yeh 64 khano par mushtamil hai aur iski mutalliqa dhat Tin hai,saiyara Mirreekh ki mansooba Loh Naqsh e Musabbah hai yeh 49 kahno.n par mushtamil hai aur iski mutalliqa dhat Loha hai ,saiyara Shams ki mansooba Loh Naqsh e musaddas hai yeh 36 khano par mushtamil hai aur uski mutalliqa dhat Sona hai ,siayara zohara ki mansooba Loh Naqsh e Mukhammas hai yeh 25 kahno.n par mushtamil hai aur iski mutallliqa dhat Tanba hai siyara Atarad ki mansooba Loh Naqsh e Murabbah hai yeh 16 khano.n par mushtamil hai aur iski mutallliqa dhat Platinum hai ,saiyara Qamar ki mansooba Loh Naqsh e Musallas hai yeh 9 khano.n par mushtamil hai aur iski mutalliqa dhat Chandi hai .......kawakib ki mansooba dhaton aur naqoosh ka asar apni jagah musallam hai lekin mai yeh baatata chalu.n ke naqoosh aur dhaton ka tayun saba saiyargan ke lehaz se qatai nahi ke jis dhat ka talluq jis saiyare se hai iski loh sirf usi waqt me tyar ho skti hai ya jis naqsh ka talluq jis saiyare se hai uske sharaf me sirf wahi naqsh kam dega aisa kuch nahi hai aur naahi yeh koi qaida kulliyah hai,khaghaz to kisi saiyare se mansoob nahi ( agarcha hai lekin log nahi jante ) lekin sab se ziada naqoosh ya loh ya tilism kaghaz par hi likhe jate hai aur rozana agar dekha jaye to puri dunya me aamileen kaghaz par hi naqsh likh rahe hote hain kabhi apne dekha ya suna ke fula.n sahab kaghaz par kabhi naqsh nahi likhte aur mansooba dhato.n ka istemal karte hai kiyon ke kaghaz kisi saiyare se mansoob nahi ,acha aapne hiran ki jhilli aur bhoj patr par naqsh likhe jane ki bat suni hogi yeh kis saiyare ki mansooba dhat hai ? shifa yabi ke liye baaz auqat chini mitti ki plate par surah fateha waghaira likh kar pilate hain is chini mitti ke plate ko kis sitare ke palle bandhyega ? isi trah hiran ka chmda aur sher ki khal ko kis saiyare ke zer e asar manye ga ? younhi momi kaghaz aur kachche mom par beshumar naqoosh o tilism tyar kiye jate hain to mom ko kis saiyare ke khane me dalye ga? isi taur par Naqoosh jo saiyaron se mansoob hain agar usko qatai mana jaye to funni aetbar se bohat sari kharabiyan lazim aayengi maslan auj e mushtari me agar apne naqsh e murabbah se loh tyar ki hai to is Loh ko be asar aur mafrooza funni kharabiyon ka mazhar mana jayega kiyonke naqsh e murabbah atarad se talluq rakhta hai aur atarad mushtari ka dushman siyara hai ya sharafe aftab me apne tanbe par Loh tyar ki aur sharaf e zohra me chandi par ,to yeh alwaah kia bekar jaane jayenge ? kiyonke tanba zohra ki dhat hai aur shams zohara ko dushman rakhta hai, chandi qamar ki dhat hai aur zohra o qamar me dushmani ........kia sochne lage aap kia waqai aapki Lohe Mushtari ,Lohe Zohra aur Lohe Shams bekar ho gai ? ji nahi aisa kuch nahi agar apne muqarrara waqt par sahee chal aur digar amaliyati lawazimat ke sath kisi bhi sayare ki sa'at me kisi bhi dhat par naqsh tarteeb de dia hai to ap kamyab hain.

kia saiyargan ki Lohe makhsoos hoti hain aur unko sirf sharaf ke auqat me tyar kia ja skta hai ?
ji han saiyargan ki lohen makhsoos zaroor hoti hain kiyon ke har saiyare ka Tilism ,Alamati Nishan ,Mohar e Kaukab aur Roohani Mohar mukhtalif hua karta hai lekin usme yeh pabandi lagana yeh manna ke fula.n Loh hi Lohe Shams hai yeh sarasar ghalat hai jis saiyare ko sharaf ho us waqt me jo naqsh jis chiz par likha jaye usey us saiyare ki Loh qarar dia jana chahiye , maslan ap sharaf e shams me Naqsh Moheetul Asrar tyar karte hain to us naqsh ko Loh e Muheetul Asrar kahiye ya Lohe shams bat ek hi hai aisa sirf sharafi auqat ki waja se hua aur agar sharf nahi hai aur Lohe shams tyar karni hai to uske shamsi Tilism ,Mohar e Shams, Mohar e Roohani aur Alamati nishan wali Loh ko hi Lohe shams kaha jayega kisi bhi dusre naqsh ko Lohe shams kehna munasib nahi usme aam o khas wali nisbat hui ke kisi bhi naqsh ko sharafi auqat me likhe jane ki waja se usi saiyare ki Loh mana jayega aur ghair e sharaf me khas mutalliqa makhsoos Tilismi Loh ko hi Lohe Shams ya Lohe mushtari waghaira gardana jayega yeh qaida zehan nasheen rahe take awam dhoka na khaye aur aamileen jane anjane me ghalati ya ghalat rawi ka shikar na ho uske liye yeh zaroori hai ke banaye gaye Loh ko sahee nam se mausoom kia jaye agar sharaf me tyar kia gaya hai to usey Lohe Sharaf e Mushtari ya Lohe Sharaf e Zohara kaha ya likha jaye aur agar ghair sharaf me Lohe Mushatri ya Lohe Mirreekh Tilism Almat aur Mohro.n ke sath bani hai to usey sirf Lohe Mushtari hi likha jaye ,Lohe Sharaf e Mushtari waghaira likhne se gurez kia jaye , aam awam ka hal yeh hai ke mukhtalif mazameen aur ishteharaat sharfaat e kawakib ki Loho.n ka dekh kar kuch ka kuch samjh lete hain in becharon ko Alwah  e Saiyargan ke ishteharat ne confuse kar rakha tha in sha Allah is mazmoon se kuch maloomat me izafa ke sath confusion me kami waaqe hogi 

ek swal yeh bhi log karte hain ke mere liye kaun si Loh munasib hogi to iska jwab yeh hai ke apko saton saiyaron ki Lohe.n darkar hai q ke Khuda ke hukm se insani zindagi par in sath saiyaron ke ache bure asarat murattab hote rahte hain jab koi saiyara urooj me hoga to apko is muamle me faida hoga jis par woh saiyara apke zaiche me hakim hai aur jab woh pasti shikar hoga to woh apne mahkoom burjon ke khano ki mansoobat ko tabah kardega lihaza unke bure asarat se tahaffuz aur nek shoaau.n ko jazb karne ke liye in saba kwakib ki Lohen darkar hain agr ap sirf apne sitare ke hisab ke koi loh banwana chahte hai to uska aasan tariqa yeh hai ke ap apni paidaishi zaiche me yeh dekhe ke apka taale kaunsa hai aur uska hakim saiyara kaun hai maslan aapka taale burj e saur hai uska hakim saiyara zohara hai lihaza apko Lohe Zohra Ya Lohe Sharaf e Zohara Mufeed hoga agar zaiche banakar taale maloom karna dushwar ho to ap angrezi mahine ke aetbar se jo burj maloom kia jata us tariqa se maloom karle.n maslan ap 22 march se 20 april ke darmiyan paida huae hain to apka burj Hamal hai aur uska saiyara Mirreekh .

Nahusat e saiyargan ko door karne ke liye kia in saiyaron ki Lohe hi wahid zarya hai.?
ji nahi Lohe Kawkib hi wahid zarya nahi balke mukhtalif hama jahti khasiyat wali Jafri aur Sadri Lohe.n maslan Lohe Takseer e Jinnah,Lohe Muheetul Asrar,Naqsh e Tohfa e Noori ,Naqsh Fatehnama,naqsh Jame Al Matloob waghairha Naqoosh o Alwaah apne andar yeh khasiyat rakhti hain ke saiyaron ki nahoosat ko sa'adat me badal de kion ke yeh naqoosh un Nufoos e Qudsiya ne tarteeb diye hain jinke isharo.n par saiyare chala karte they tafseel ka yehan mauqa nahi algharaz dafa nahoosat ke waaste mukhtalif duayen bhi marqoom hain jin me sab se ziada tajurba shuda dua Dua e Jame Al Matloob wa Daafe Al Kuroob hai uska parhne wala najoomiyo ke chhakke chhura deta hai aur jumla maqasid ko kafi hai phir Sadqa o Khairat bhi dafa nahoosat e saiyargan hai Hadees me Sadqa ke mutalliq warid hua hai ke Dua balaye asmani ko rok deti hai aur sadqa usey khatam hi kar dalta hai is waaste aamileen ne sabah saiyargan ke sadqaat inki mansoobat ke lihaz se muqarrar kiye in muqarrarah sadqat ki asal bhi wahi hai jo pichhle auraaq me aapne naqoosh aur dhato.n ke talluq se parha isliye ahadees me mutlaq sadqe ka zikr hua ap kisi bhi nahusat musibat aur pareshani se bachne ke liye kisi bhi qisam ka sadqa kar sakte hain  
ek aham swal yeh bhi hai ke kia har shaksh saiyargan ki loh banane ki ahliyat rakhta hai (mazmoon jari hai)

Thursday, September 22, 2016

Mohabbat Ke Tilismi Huroof محبت کے طلسمی حروف (Magical Alphabet of Love )



Mohabbat Ke Tilismi Huroof

Agar kisi shakhsh ko ap jaiz surat me apni taraf mail karna chahte hain maslan jahan ap kam karte hainwahan ke hukkam ya boss ap par tawajja nahi deta ya apko usse koio zaroori kam darpesh ho to is hawale se ek nihayat asan aur tajarba shuda tariqa darj karta hun lekin isme ek qaid hai ke jin 11 huroof ko likha jayega ga sirf unhi huroof ke sar e ism se mutalliq afrad ki waqti taskheer ho sakegi elawa iske kam na dega woh huroof yeh hain
ک، ع،ل،ہ،ا،و،س،ط،ض،ح،م
ab jis shaksh ki taskheer maqsood ho uskhla hurf bich ke khane me likh de.n baqi huroof das khano.n me likhe.n phir is taweez ko kisi bhari pathar ke niche daba den insha Allah woh shakhsh meharban hoga.

Saturday, September 17, 2016

Alwaah O Tilism Saazi الواح و طلسم سازی (The Amulet And Talisman Making)



Alwaah O Tilism Saazi

Allah Azza Wa Jall jo Qadir e Mutlaq hai usne in saiyargan me apni mashiyat aur hikmat se aise asarat rake hain jiska inkar koi zee aql insan nahi kar skta ,ha yeh bhi zaroor hai ke in saiyaron ko kisi amr ka mudabbir na jana jaye balke Khudaye ta'la ke hukm ka paband jane aur mane ke saiyargan ke chahne se kuch nahi hota ,hota wahi hai jo Alla tabar wa Ta'la chahe,usi Khudaye Azza Wa Jall ne is kayenat me kuch aadaten jari ki hain ke fulan siyara fulan darje ya burj me hoga to uski waja se zamin par aise asaratat zahir honge , lihaza isi adat e jaria se faida uthana bilkul fitrat aur aqal me muafiq hai isme sharai taur par koi qabahat nahi ,saiyargan ke auj o sharaf ya degar saiyaron se sad nazrat maslan taslees o tasdees ya nazraat e bad maslan tarbeeh o muqabla aur qamri manazil sad o nahas me mukhtalif qisam ke taweezat , naqoosh aur tilismat tyar karke usne faida uthana Tauheed ke manafi nahi balke asbab o alal ki dunia me apne maqasid ko pane ke liye ek jaiz sabab ikhtyar karn hai ,han yeh zaroor hai ke baz tilismat aise hua karte hain jiki ijazat islami shariyat nahi deti dunya ki mukhtalif ghair muslim qaume.n tilism saazi ke is funn me maharat rakh ti hain aur unki yeh riwayaat sadyo.n purani hai iski tafseel ka yeha mauqa nahi arz yeh karna hai ke muslim hukama aur aamileen ne tilism saazi ke is fun ko sharai nuqa e nazar se durust kia aur Huroof o Aadad ,Asmaaye Ilahiyah o Aayat e Qur'ani aur inke Muakkilan e Alwi o Sifli w aewan o khuddam ke istekhraj se aise aise maya naz talasim tyar kiye jin ki nazeer kisi dusri qaumo.n ke banaye gaye tilism me nahi milti......,(mazmoon jari hai.)

Sunday, September 11, 2016

Auj e Mushtari Ke Alwaah O Tilismaat اوج مشتری کے الواح و طلسمات (Jupiter Talismans And Amulets In Glory Of Jupiter)







Auj e Mushtari Ke Alwaah o Tilismaat
september 2013 me sad akbar saiyarah Mushtari ko 12 salon ke bad burj e sartan ke pandrawin darje par sharaf hua tha is mauqe se ek nahi balke anek alwah o nuqoosh o tilismat o chiragh tyar kiye gaye the jin ki qismat me inse mustafeed hona tha unho ne hasil kia ,yeh saare roohani tohfe is qadar tezi se khatam hue ke mujhe apne khas ahbab ke liye bhi bachane ka mauqa na mila ,alwaah o nuqoosh jo tyar kiye jate hain is me  aisi roohaniyat hoti hai jo zaroorat mando.n ko apni janib kashish karti hai ,har kohna mashq aamil yeh bat ba khoobi janta hai ke jab woh koi Loh tyar karta hai to iske talluq se kaise ghaibi taur par hajat mand rabte me aate hain , ab chunke sharf ka waqt to hath se jata raha lekin Auj e Mushtari apne qawi tar asaraat ke saath burj e mizaan ke dusre darje par qayam pazeer hone wala hai ,jab koi saiyara kisi khas burj ke makhsoos darje par aata hai to usey Sharaf,Huboot,Auj,Wabal ya Hasees ki kaifiyat se wasta parhta hai aur in mukhtalif kaifiyat ka asar la mohala alam e bala se alam e asfal par hota hai jiski waja se in saiyaron ke mansoobat manfi ya musbat tariqe se mutassir hote hain,misal ke taur par aap saiyara mushtari ko hi le lijye abhi yeh burj e mizan me jane se qabal burj e sunbla me qayam pazeer tha aur yeh burj is saiyaare ki wabal ka burj hai matlab yeh ke Mushtari is burj me apni musbat quwat kho baithta hai aur jab koi saiyaara manfi taur par asar pazeer ho raha hota hai to us waqt ke mansoobat ke talluq se manfi aamal , naqoosh ,tilismat aur chiragh tyar kiye jate hain ,thik aise hi Mushtari burj e mizan ke dusre darje par apni mansooba shaiy yani husool e daulat par zabardast musbat asar dalta hai aur is waqt aalam e bala se aane wali roohani shoaao.n ko amaliyati usool o qawaid ke mutabiq Huroof o Aadad , Asmaaye ilahi aur Ayat e Qur'ani ki madad se ba moakkil Jafri Loh,Taweez,Tilism ya Chiragh me jazb kar lia jata hai ,jiske istemal se insan par husool e zar aur maal o daulat ki aamdan ke mukhtalif zaraye khul jaate hain saalo.n ka purana qarz ada hone ki soorat paida ho jati hai aur kam waqt me ziada kamyabi meyassar aati hai lihaza aise mubarak waqt me ziada se ziada Roohani Tohfe tyar kiye jayenge jin ki fehrist hasb e zeil hai.

Mushtari ki tamam tar sa'adato.n ke husool ke waaste
LOHE AUJ E MUSHTARI 
(Ba a'waan o muakkilan)

Husool maal o daulat ke liye 
LOHE TASKHEER E DAULAT

Taraqqi Rizq o Rozgar ke liye
LOHE RIZQ E KHAS

Taraqqi maraatib aur taskheer e khalq ke liye
LOHE TASKHEER E HAJAAT

Be andaza daulat jama karne ke liye 
TILISMI CHIRAGH BARAYE DAULATMANDI

Aamdan ke mukhtalif zaraaye paida karne ke liye 
LOHE SA'ADAT E MUSHTARI

Qarz ki adaayegi ke waaste 
LOHE ADAAYE QARZ

Inami schemes se faida uthane ke liye
LOHE KHUSH QISMATI

Karobari Nuqsaan se bachao aur maal o daulat me izafa ke liye 
LOHE SURAH IKHLAS

Ruke hue paise aur qarz ki usooli ke liye 
LOHE DUA E YONUS BA MUAKKIL

Dimaghi amraz jaise junoon o pagalpan ke liye mushtari ke auj me KHAS LOHE SHIFA tyar ki jayegi,

Kahir o barkat aur hifazat ke liye ghar,dukan,makan,factory,office me frame kara kar lagane ke waaste ek nihayat khubsoorat TUGHRA AUJ E MUSHTARI tyar kia jayega ,yeh TUGHRA IDARA ROOHANI IMDAD ke membran aur Idare se munsalik Mulk o Bairoon e Mulk ke haajatmando.n ko bila qimat irsaal kia jayega. 

Wednesday, August 31, 2016

Makan Khali Karane Ka Amal مکان خالی کرانے کا عمل (Remedy For The House Evacuation)


Makan Khali Karane Ka Amal
 agar kisi malik makan ne apna makan kisi hakhsh ko kiraye par dia hua tha ab woh shakhsh makan wapas karne se inkar kar raha ho aur kiraye ke makan par apna najaiz qabza jamaye ho to aisi soorat me chahiye ke baroz itwar tulu e aftab ke bad mandraja zaeil naqsh ko ek aise safed kaghaz par likhe jis ke ek janib sufedi aur dusra rukh nila ho sufedi ki taraf nili siyahi se yeh naqsh khamoshi se likh len aur phir 11 bar durood sharif parh kar 40 martaba surah Kausar phir 11 bar durood sharif  parh kar naqsh par dam kare.n aur phur naqsh e mazkoor ko usi makan ke andar ksi jagah daba den ia bahari diwar me koi surakh ho to uske andar dal den an sha Allah chand hafton me woh ghasib shakhsh makan chhor kar vhala jayega.

Saturday, July 9, 2016

Murda Se Mulaqat Ka Amal مردہ سے ملاقات کا عمل


agar koi shaksh kisi murda se khwab me mulaqat ka aarzu mand ho to yeh amal teen din karne se kisi bhi raat khwab me deedar ho jata hai tariqa yeh hai ke budh jumerat jumah teen raat tak amal karna hai amil ko chahiye ke tanhai me soye koi dusra shaksh wahan na ho ,bistar aur kamra ka jumla saaman pakiza ho khushboo bhi pas rakhe sone se qabal is naqsh ko sarhaane rakhe aur khud baith kar teen martaba durood sharif phir saat martaba surah takasur phir saat martaba surah wadhuha phir teen martaba durood sharif parh kar so rahe jab tak neend na aye durood sharif bila tadad parhta rahe naqsh roz ka roz hi likhna hai aur niche naam ma walida likhe jisse mulaqat manzoor ho insha Allah teen din raaton me se kisi raat ko khwab me mulaqat hogi yeh amal in teen dino yani budh jumerat aur jumah ko kare jo chand ki 15 tareekh ke nazdeek ho .

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668