Monday, September 19, 2016
Sunday, September 18, 2016
Saturday, September 17, 2016
Alwaah O Tilism Saazi الواح و طلسم سازی (The Amulet And Talisman Making)
Alwaah O Tilism Saazi
Allah Azza Wa Jall jo Qadir e Mutlaq hai usne in saiyargan me apni mashiyat aur hikmat se aise asarat rake hain jiska inkar koi zee aql insan nahi kar skta ,ha yeh bhi zaroor hai ke in saiyaron ko kisi amr ka mudabbir na jana jaye balke Khudaye ta'la ke hukm ka paband jane aur mane ke saiyargan ke chahne se kuch nahi hota ,hota wahi hai jo Alla tabar wa Ta'la chahe,usi Khudaye Azza Wa Jall ne is kayenat me kuch aadaten jari ki hain ke fulan siyara fulan darje ya burj me hoga to uski waja se zamin par aise asaratat zahir honge , lihaza isi adat e jaria se faida uthana bilkul fitrat aur aqal me muafiq hai isme sharai taur par koi qabahat nahi ,saiyargan ke auj o sharaf ya degar saiyaron se sad nazrat maslan taslees o tasdees ya nazraat e bad maslan tarbeeh o muqabla aur qamri manazil sad o nahas me mukhtalif qisam ke taweezat , naqoosh aur tilismat tyar karke usne faida uthana Tauheed ke manafi nahi balke asbab o alal ki dunia me apne maqasid ko pane ke liye ek jaiz sabab ikhtyar karn hai ,han yeh zaroor hai ke baz tilismat aise hua karte hain jiki ijazat islami shariyat nahi deti dunya ki mukhtalif ghair muslim qaume.n tilism saazi ke is funn me maharat rakh ti hain aur unki yeh riwayaat sadyo.n purani hai iski tafseel ka yeha mauqa nahi arz yeh karna hai ke muslim hukama aur aamileen ne tilism saazi ke is fun ko sharai nuqa e nazar se durust kia aur Huroof o Aadad ,Asmaaye Ilahiyah o Aayat e Qur'ani aur inke Muakkilan e Alwi o Sifli w aewan o khuddam ke istekhraj se aise aise maya naz talasim tyar kiye jin ki nazeer kisi dusri qaumo.n ke banaye gaye tilism me nahi milti......,(mazmoon jari hai.)
Sunday, September 11, 2016
Auj e Mushtari Ke Alwaah O Tilismaat اوج مشتری کے الواح و طلسمات (Jupiter Talismans And Amulets In Glory Of Jupiter)
Auj e Mushtari Ke Alwaah o Tilismaat
september 2013 me sad akbar saiyarah Mushtari ko 12 salon ke bad burj e sartan ke pandrawin darje par sharaf hua tha is mauqe se ek nahi balke anek alwah o nuqoosh o tilismat o chiragh tyar kiye gaye the jin ki qismat me inse mustafeed hona tha unho ne hasil kia ,yeh saare roohani tohfe is qadar tezi se khatam hue ke mujhe apne khas ahbab ke liye bhi bachane ka mauqa na mila ,alwaah o nuqoosh jo tyar kiye jate hain is me aisi roohaniyat hoti hai jo zaroorat mando.n ko apni janib kashish karti hai ,har kohna mashq aamil yeh bat ba khoobi janta hai ke jab woh koi Loh tyar karta hai to iske talluq se kaise ghaibi taur par hajat mand rabte me aate hain , ab chunke sharf ka waqt to hath se jata raha lekin Auj e Mushtari apne qawi tar asaraat ke saath burj e mizaan ke dusre darje par qayam pazeer hone wala hai ,jab koi saiyara kisi khas burj ke makhsoos darje par aata hai to usey Sharaf,Huboot,Auj,Wabal ya Hasees ki kaifiyat se wasta parhta hai aur in mukhtalif kaifiyat ka asar la mohala alam e bala se alam e asfal par hota hai jiski waja se in saiyaron ke mansoobat manfi ya musbat tariqe se mutassir hote hain,misal ke taur par aap saiyara mushtari ko hi le lijye abhi yeh burj e mizan me jane se qabal burj e sunbla me qayam pazeer tha aur yeh burj is saiyaare ki wabal ka burj hai matlab yeh ke Mushtari is burj me apni musbat quwat kho baithta hai aur jab koi saiyaara manfi taur par asar pazeer ho raha hota hai to us waqt ke mansoobat ke talluq se manfi aamal , naqoosh ,tilismat aur chiragh tyar kiye jate hain ,thik aise hi Mushtari burj e mizan ke dusre darje par apni mansooba shaiy yani husool e daulat par zabardast musbat asar dalta hai aur is waqt aalam e bala se aane wali roohani shoaao.n ko amaliyati usool o qawaid ke mutabiq Huroof o Aadad , Asmaaye ilahi aur Ayat e Qur'ani ki madad se ba moakkil Jafri Loh,Taweez,Tilism ya Chiragh me jazb kar lia jata hai ,jiske istemal se insan par husool e zar aur maal o daulat ki aamdan ke mukhtalif zaraye khul jaate hain saalo.n ka purana qarz ada hone ki soorat paida ho jati hai aur kam waqt me ziada kamyabi meyassar aati hai lihaza aise mubarak waqt me ziada se ziada Roohani Tohfe tyar kiye jayenge jin ki fehrist hasb e zeil hai.
Mushtari ki tamam tar sa'adato.n ke husool ke waaste
LOHE AUJ E MUSHTARI
(Ba a'waan o muakkilan)
Husool maal o daulat ke liye
LOHE TASKHEER E DAULAT
Taraqqi Rizq o Rozgar ke liye
LOHE RIZQ E KHAS
Taraqqi maraatib aur taskheer e khalq ke liye
LOHE TASKHEER E HAJAAT
Be andaza daulat jama karne ke liye
TILISMI CHIRAGH BARAYE DAULATMANDI
Aamdan ke mukhtalif zaraaye paida karne ke liye
LOHE SA'ADAT E MUSHTARI
Qarz ki adaayegi ke waaste
LOHE ADAAYE QARZ
Inami schemes se faida uthane ke liye
LOHE KHUSH QISMATI
Karobari Nuqsaan se bachao aur maal o daulat me izafa ke liye
LOHE SURAH IKHLAS
Ruke hue paise aur qarz ki usooli ke liye
LOHE DUA E YONUS BA MUAKKIL
Dimaghi amraz jaise junoon o pagalpan ke liye mushtari ke auj me KHAS LOHE SHIFA tyar ki jayegi,
Kahir o barkat aur hifazat ke liye ghar,dukan,makan,factory,office me frame kara kar lagane ke waaste ek nihayat khubsoorat TUGHRA AUJ E MUSHTARI tyar kia jayega ,yeh TUGHRA IDARA ROOHANI IMDAD ke membran aur Idare se munsalik Mulk o Bairoon e Mulk ke haajatmando.n ko bila qimat irsaal kia jayega.
Wednesday, August 31, 2016
Makan Khali Karane Ka Amal مکان خالی کرانے کا عمل (Remedy For The House Evacuation)
Makan Khali Karane Ka Amal
agar kisi malik makan ne apna makan kisi hakhsh ko kiraye par dia hua tha ab woh shakhsh makan wapas karne se inkar kar raha ho aur kiraye ke makan par apna najaiz qabza jamaye ho to aisi soorat me chahiye ke baroz itwar tulu e aftab ke bad mandraja zaeil naqsh ko ek aise safed kaghaz par likhe jis ke ek janib sufedi aur dusra rukh nila ho sufedi ki taraf nili siyahi se yeh naqsh khamoshi se likh len aur phir 11 bar durood sharif parh kar 40 martaba surah Kausar phir 11 bar durood sharif parh kar naqsh par dam kare.n aur phur naqsh e mazkoor ko usi makan ke andar ksi jagah daba den ia bahari diwar me koi surakh ho to uske andar dal den an sha Allah chand hafton me woh ghasib shakhsh makan chhor kar vhala jayega.
Monday, July 11, 2016
Saturday, July 9, 2016
Murda Se Mulaqat Ka Amal مردہ سے ملاقات کا عمل
agar koi shaksh kisi murda se khwab me mulaqat ka aarzu mand ho to yeh amal teen din karne se kisi bhi raat khwab me deedar ho jata hai tariqa yeh hai ke budh jumerat jumah teen raat tak amal karna hai amil ko chahiye ke tanhai me soye koi dusra shaksh wahan na ho ,bistar aur kamra ka jumla saaman pakiza ho khushboo bhi pas rakhe sone se qabal is naqsh ko sarhaane rakhe aur khud baith kar teen martaba durood sharif phir saat martaba surah takasur phir saat martaba surah wadhuha phir teen martaba durood sharif parh kar so rahe jab tak neend na aye durood sharif bila tadad parhta rahe naqsh roz ka roz hi likhna hai aur niche naam ma walida likhe jisse mulaqat manzoor ho insha Allah teen din raaton me se kisi raat ko khwab me mulaqat hogi yeh amal in teen dino yani budh jumerat aur jumah ko kare jo chand ki 15 tareekh ke nazdeek ho .
Thursday, July 7, 2016
Wednesday, July 6, 2016
Subscribe to:
Posts (Atom)
Featured Post
AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق
Book Your Copy Now +91-9883021668
-
ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA KISI BHI NAAM KA ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA YEH HAI KE NAAM KE HUROOF KO MUFARRAD YANI ALAG ALAG LIKH ...