Tuesday, July 5, 2016
Thursday, June 30, 2016
Aseb Aur Jinn Se Rihai Ka Amal آسیب اور جن سے رہائی کا عمل (Getting Rid From Evil Spirit And Jinn)
Aaseb Aur Jinn Se Rihai Ka Amal
agar kisi mariz par deo pari jin ya arwaah e khabisa ka asar ho to amil ko chahiye ke aise mariz ko behte hue panime ghauta deaur phir iske gosh e raast me ayat mandarja zeil ko tin martaba parhe aur buland awaz se parhe phr aabe rawa me is mariz ko ghauta zan kare phir bahar nikal kar gosh e chap me aayat mazkoora ko tin martaba parhe aur iske badan par hath phere aur aayat e mazkoor ko tin martaba parhe agar aurat ya jwan ladki ghair mehram ho to hath na lagaye ishara kafi hai aur is dua ko tin martaba parhe ...insha Allah usi waqt fauran woh rooh e khabis ,hamzad ya jin pari ya deo is mariz ke badan se nikal jayega phir chahiye ke mariz ka hisar kar de aur loh e tahaffuz gale me dal de aur chahal kaf ka ganda kamar me bandheiske sath in ayat e mubarka ke aadad nikal kar in me mariz ka nam shamil karke 40 naqsh e musallas aatishi chal se likh kar pine ko den agar asar qawi hone ka andesha ho to naqsh chahar qul ka jalane ke waaste de ,aksar yeh chize dafa hone ke bad phir laut aati hain lihaza is taur par agar nuqoosh istemal karaye gaye to in sha Allah kabhi na kautenge aise marizon ka ilaj karne se qabal amil apna aur apne ahal ka hisar kar lena chahiye ke yeh khabis arwaah inko apna dushman bana leti hain ,woh ayat yeh hai
بسم اللہ الرحمن الرحیم
یا معشر الجن والانس ان استطعتم ان تنفذوا من اقطار السموات والارض فانفذوا لا تنفذوا الا بسلطن فبا ی الآ ربکما تکذبن یرسل علیکما شواظ من نار و نحاس فلا تنتصیران
یا معشر الجن والانس ان استطعتم ان تنفذوا من اقطار السموات والارض فانفذوا لا تنفذوا الا بسلطن فبا ی الآ ربکما تکذبن یرسل علیکما شواظ من نار و نحاس فلا تنتصیران
Wednesday, June 29, 2016
Hifz e Qur'An Aur Ilm o Hikmat Ke Liye حفظ قرآن اور علم و حکمت کے لئے ( Remedy For Memorizing Quran And Excellency Of Knowledge)
Hifz e Qur'an Aur Ilm o Hikmat Ke Liye
Jo shakhs ya talibiilm yeh chahta ho ke usey Quran e muqaddas aur deegar uloom o hikmat ba aasani yad ho jaye aur shaitani waswase aur kahili se mahfooz rahe to usey chahiye ke is ayat e mubarka ko chini ke plate me ya butter papper par zafran aur ambar se tahreer kare aur subh nihar munh aab e zamzam aur arq e gulab se dho kar pi lia kare kahili susti aur kund zehni ka shafi ilaj hai aur quwat e hafiza aisa ho ke Quran o Sunnat aur digar uloom e dunyawi se jo yad kare kabhi na bhoole aur dil se waswasa dafa ho jaye ayat e mubarka yeh hai .
بسم اللہ الرحمن الرحیم
والنجم اذا ھوی ما ضل صاحبکم وما غوی وما ینطق عن الھوی ان ھو الا وحی یوحی علمہ شدید لقوی ذومرۃ فاستوی وھو بالافق الاعلی ثم دنا فتدلی فکان قاب قوسین او ادنی فا اوحی الی عبدہ ما اوحی ما کذب الفواد ما رای افتمرونہ علی ما یری ولقد راہ نزلۃ اخری عند سدرۃ المنتھی عندھا جنۃ الماوی اذ یغشی السدرۃ ما یغشی ما ذاغ البصر وما طغی لقد رای من ایت ربہ الکبری
والنجم اذا ھوی ما ضل صاحبکم وما غوی وما ینطق عن الھوی ان ھو الا وحی یوحی علمہ شدید لقوی ذومرۃ فاستوی وھو بالافق الاعلی ثم دنا فتدلی فکان قاب قوسین او ادنی فا اوحی الی عبدہ ما اوحی ما کذب الفواد ما رای افتمرونہ علی ما یری ولقد راہ نزلۃ اخری عند سدرۃ المنتھی عندھا جنۃ الماوی اذ یغشی السدرۃ ما یغشی ما ذاغ البصر وما طغی لقد رای من ایت ربہ الکبری
amileen hazraat is ayat ko androon e bait قولہ الحق ولہ الملک likhe aur aam log mahaz ayat likh kar kam chalayen baraoz chahar shanba saat awal me jis qadar ho sake likh kar rakh len faqeer ki janib se tamam ahbab aur membran ko ijazat hai ,behtar hai ke chalis din musalsal pilaya jaye warna 120 din aur chahe to ayat e mazkoora bala ki noorani loh Idara Roohani Imdad se mangwa len yeh loh hajatmandon ke nam ma walida se tyar ki jayegi aur jo hazraat loh mangwane ki isteta'at nahi rakhte ho.n woh in aayat ko bataur taweez likh kar bandh le.n
Tuesday, June 28, 2016
Chiragh e Adawat چراغ عداوت (Lamp For Enmity)
Chiragh e Adawat
Bughz o adawat aur tabahi o barbadi e dushmana ky liy yeh chiragh ek roohani tohfa hai is ki tyari me qahar o jalal wali chuninda Qur'ani ayat aur makhsoos asmaye suryani shamil ki gai hai,matlooba saiyargan ke nahas nazraat aur digar amaliyati qwaid kw malhooz rakhte hue is chiragh ki tyari amal me aai hai is chiragh ki mukhtasar khasiyat darj zeil hai( agarcha iske elawa bhi bahut sare mawaqe aise hain jin me yeh kam deta hai)
1.Do mard o aurat ke darmiyan najaiz rishta o talluqat ko jad se khatam karne ke liye
2.Na farman aur be haya biwi ko raahe raast par lane ke liye.
3.Naujawan ladko aur ladkiyon ko kisi ke ishq me tabah hone se bachane ke liye
4.Dushmano ko dushmani se baaz rakhne aur shikasht dene ke liye.
6.Talaq waaqe karne aur zalim shohar ya behaya biwi se chhutkara hasil karne ke liye.
7.Hasideen ke hasad se hifazat ke liye.
8.Kisi ka najaiz karobar band karane ke liye
9.Kisi jagah ya makan se najaiz qabza khatam karane ke liye
10.Zalim aur badkaar insan ko bimar dalne aur uske shar se mahfoozi ke liye.
11.Najaiz faisle ko rokne aur ghalat faisla karne walon ki saza dene ke liye.
Thursday, April 28, 2016
Dushmano.n Se Bachne Ka Amal دشمنوں سے بچنے کا عمل (Process To Avoid Enemies)
Shaitan insan ka azali dushman hai is liye woh bugh ,hasad,lalach,aur burai ki bina par inhe ek dusre ka dushman bana deta hai baz auqat mamuli su dushmani bade se bade nuqsanat ka pesh khima banti hai aise halat me dushmano ki burai aur inteqami karwaiyon se bachne ke liye as ism ka zikr bahut mufeed hai agar koi dushman ko zer karna chahe to is ism ko 40 din tak 1236 martaba rozana parhe انشاء اللہ dushmano ke shar se mahfooz rahega aur isey parhne se zalim se zalim tar bhi narm ho jata hai woh ism mubarak yeh hai.
یا جبار
dushmano ki iza rasani aur shar anghezi se mukammal hifazat ke liye
LOHE TAHAFFUZ E KHAS ek behtareen aur jame loh hai jis ke pas hote hue zahiri aur batini dushmano ki ek nahi chalti
Wednesday, April 27, 2016
Buri Adat Chhurdane Ka Amal o Taweez بری عادت چھڑانے کا عمل و تعویذ (Amulet for Rid of Bad Habits)
Buri Adat Chhurdane Ka Amal o Taweez
yeh amal khususan un logon ko raahe raast par lane ke liye hai jo af'aal e bad najaiz maslan chori,zina,sharb khori,aghlam bazi,najaiz talluqat memubtala rahte hain unke liye yeh amal manind e ikseer hai is me is qadar taseer haike pahar bhi reze reze hokar ud jaye.n lekin aroorat hai yaqeen e kamil ki ayat mubarka اھدنا الصراط المستقیم ke aadad bamojib abjad qamri nikale.n aur adad ya hadi bhi nikale.n phir us shaksh ke nam ke aadad ma walida nikal kar tamam jama kar le.n inko naqsh e muraba chal aatishi se pur kar le.n kul adad se 30 tafreeq kar ke baqi ko char se taqsim kare.n hasil qismat ko khana e awal me rakh kar naqsh pur kare.n agar baqi ek ho to khana 13 me do ho to khana 9 me tin ho to khana 5 me ek ka izafa kare.n likhne ka tariqa yeh hoga ke jis shaksh par amal kia ja raha hai uska sitara maloom kar len agar tarikh paidaish malum na ho to phir us shaksh ke nam ke adad ma walida bara se taqseem karke jo burj maloom ho uske mutalliqa sitare ko hi uska sitara tasauwor kia jaye aur jis is sitara ke sath qamar ki naqzar taslees ho is sitara ki saa'at me 41 adad naqoosh tahreer kare.n ab rozana ek naqsh pani me bhigo de.n dusre din nihar munh pani pila dia kare.n agar isko pahna sake to ek aur taweez likh len aur gale me latka de.n naqsh ke niche hasb e zeil ibarat tahreer kare اھدنا الصراط المستقیم یا ھادی فلاں بن فلاں کی فلاں بری عادت ختم ہو جائے fula.n bi fula.n ki jagah nam ma walida aur dusre fula.n ki jaga aadat ko mukhtasar likhe.n jiska chhudwana maqsood ho,ان شاء اللہ woh shaksh buri adato.n se yaqini baz aajayega aur tauba kar lega.
HAR QISAM KI BURI ADAT SE CHHUTKARE KE LIYE HUMARE YEHA SE LOH ISLA E QALB BHI MANGA SKTE HAI.
http://sufiimranrazvee.blogspot.com/2015/07/lohe-islahe-qalb.html
Sunday, April 24, 2016
Amal Saifi Baraye Mohabbat عمل سیفی برائے محبت
Amal Saifi Baraye Mohabbat
Dunya e amaliyat me aamal o ashghal sainkdon hazaro nahi balke lakhon ki tadad me hai ke sab ka tajurba karna insan ke liye mumkin nahi lekin han jab woh is wadi me qadam rakhta hai mashiat e ezdi uski dast geer hoti hai aur unhi aamal ki taraf bande ka rujhan hota chala jata hai jisme kamyabi milna azal se muqaddar ho chuka hota hai main yeha jis amal ka tazkira karne ja raha hu yeh amal bhi kuch aisa hi hai ke agar kisi hajatmand ko is amal se faida pahuchna muqddar hoga to woh is amal se zaroor mustafeed hoga aur mahaz tin dino me uska mehboob uske qadmo me hoga jabke uska mal karna sharan durust ho agar najaiz taur par karega to is amal ke muakkilan se jan chhidana mushkil ho jayega, amal yeh hai
is amal e saifi ko rozana khana e matloob ki janib muhn karke 360 martaba parhe parhte waqt matloob o mehboob ka tasawoor e kamil rakhe ke woh aaraha hai , aur tin din na guzrenge ke usko ana parega aksar biwi rooth kar maike waghaira chali jati hai ya shohar naraz hokar kahin bahar chala jata hai unke liye is amal ko naja layen elawa iske mukhtalif mawaqe se is amal ka jaiz istemal kia ja skta hai isko karne se qabal ijazat hasil karen taake mehnat zaya na ho aur koi is amal ka amil banna chahta ho to is ki zakat ada kare amil ho jayega phir ksi dusre ke liy bhi is amal ko baja layega to kam ho jayega .
Istekhara Bismillah Shareef استخارہ بسم اللہ شریف (Judgment In Dream By Bismillah Shareef)
Istekhara Bismillah Shareef
Ek Aasan Aur Mujarrab Istekhara
aksar log asan aur mujarrab istekhara poochhte hain wese to bahut sare asan aur mujarrab istekhare hain lekin yeh istekhara nihayat asan aur aazmoda hai ,jis kisi ko ksi kam me hath dalna ho aur nahi janta ke isme iske liye khair hai ya nahi to chahiye ke do rakat nafl ba niyat e istekhara ada kare har do rakat me surah fateha ke bad surah ikhlas 40 bar parhe bad salam pherne ke ek hazar martaba Ya Khabeeru Akhbirni parhe awal akhir durood sharif 11 bar phir pak bistar par baith kar bayen hath se dayen hath ki hatheli par kali siyahi se mandarja zeil naqsh likhy aur apna hath apne sar ke niche rakh kar so jaye aur apne maqsad ko zehan me rakhen ke maslan fulan kam mere liye kaisa hai , fulan kam me mere liye kia hukm hai ان شا اللہ pehle ro hi ap ko khwab me jwab mil jayega warna tisre din to zaroor bizzaroor mil jata hai baz auqat bajaye alam e roya ke jwab bedari me bhi mil jati hai woh naqsh jo hatheli par likha jayega yeh hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)
Featured Post
AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق
Book Your Copy Now +91-9883021668
-
ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA KISI BHI NAAM KA ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA YEH HAI KE NAAM KE HUROOF KO MUFARRAD YANI ALAG ALAG LIKH ...