AHLE BABUL AUR KALDANIYO.N KE SEHAR
Sehar ke mani lughat me amar e makhfi o poshida chiz ke hain aur ilmi istelah me aise ajeeb o ghareeb umoor ka nam hai jin ke wajood me ane ke asbab o alal nazar se poshida ho.n
Imam Razi alahirrahmah ke baqaul lafz e sehar istelahe shariyat me aise amar ke liye makhsoos hai jis ke sabab makhfi ho.n aur woh asal haqiqat ke khilaf nazar o khyal me ate hain Ulama e Ahle Sunnat ki raye me sehar waqai haqiqat hai aur muzrat rasa.n bhi hai Haq tala ne hikmat aur maslehat e kamila ke peshe nazar is me trah trah ke muzir asarat paida kar diye hain jais edusri chize.n maslan zehar aur nuqsan rasa.n adwiyat me maujood hain yeh bat nahi ke sehar jadu bazat e khud qudrat e ilahi se be niyaz ho karmuassar bizzat hai aisa samajhna kufr e khalis hai.
Allama Amadududin ibn e kaseer alahirraham ne farmaya hai ke fuqaha e islam ne sehar ke mutalliq tasreeh ki hai jin amaal me shiyateen aur arwah e khabisa waghaira se isteanat talab ki jae aur unko hajat rawa qarar dekar mantaron ke zarye uski taskheer ki jaye aur unse kam lia jaye to shirk ke mutaradif hai aur iska amil kafir hai aur jab amaal me inke elawa dusre tariqe ikhtyar kare aur inse makhlooq e khuda ko nuqsan pohchaya jaye aur trah tarah ki musibaton me dala jaye is qisam ke umoor ka murtakib haram aur gunah e kabira ka murtakib hai.
aur Aaqa e Namdar Saiyedina Mohammadurrasulullahi sallallaho alaihi wasllam ne irshad farmaya hai ke ......... (Bukhari Sharif) muhlak bato.n se bacho yani shirk aur jadu.
Allama ibne hajar asqalani likhte hain ke amal e sehar haram hai aur bil ijma gunahe kabira hai aur Aaqa e Namdar Saiyedina Mohammadurrasulullahi sallallaho alaihi wasllam ne sehar ko sat muhlak chizo.n me shumar kia hai.
sehar baz surto.n me kufr hai aur baz surton me haram aur baz surto.n me gunahe kabira hai.behar hal sehar ka sikhna aur sikhana haram hai اللہم احفطنا bahut se johla sehar ko manind mojeza samajhte hain magar sulaha e keram aur buzurgan e deen ne is khayal e batil ko rad kia aur sehar mujeza ke farq ko saf saf bayan kia hai fuqaha ne iski tashreeh ki hai ke mojeza barahe raast khuda e tala ka feal hai jo baghair kisi asbab ke ek sadiq nabi ki sadaqat ke liye alam e wajood me ata hai aur iska koi asal qaida qanoon nahi hota hai balke jab khuda chahta hai ya uska nabi bargah e khuda wandi me rujoo karta hai tab mujeza ka zuhoor hota hai sehar aur jadu ek fun hai jisko uske muqarrara usool aur qawanin ki pabandi ke sath ustad fun sahir apne fun ka har waqt muzahira kar skta hai go ke iske asbab nazro.n se poshida hote hai.n lekin is fun ke waqif kar isse waqif hote hain aur khufia asbab o alal ke zarye khilaf e adat afal e ajeeba par qudrat ka nam sehar hai jisme shiyateen aur bad rooho.n se madad li jati hai dunya me mukhtaliful anwa o aqsam ke murawaja latadad tariqa hain khufia asbab jinke zarye umoor khirq adat zuhoor me ate hain kuch roohaniyat se mutalliqa hain jaise roohaniyat e kwakib ,aflak aur anasir ki roohaniyat e juziyah hain. misal ke taur par roohaniyat amraz ya jinnat o shiyateen , ya woh arwah jo jism se alag ho chuki hain aur usko musakhkhar aur taskheer karke inko mukhtalif kamo me istemal kia jata hai, ya taseerat e jismaniyah hai jo apni makhsoos trakeeb ya mukhtalif baqiyat ke ijtema ya surat e nuiyah ke khwas ki bina par amal me ati hai.
Is qisam ki roohaniyat se munasibat ya talluq paida karne ke mukhtalif tareeqe hain kabhi kabhi unka nam lekar muqarrara tariqe se ilteja faryad ki jati hai ayam e makhsoos surten tarkeeb dekar maklhsoos kalam parha jata hai
do tariqo par sehar paya jata hai awal tareeqa kaldaniyo ka hai dusra tariqa ahle babul ka hai dusre tareeqe ka aghaz Haroot Maroot se hota hai
,motebara tareekh ke mutala se pata chalta hai ke kalddni sehar ke bade mahir hote the aur namrood ke zamana me ulamaye babul ne 6 talism aise tyar kiye they jo aqal o faham se bahar they.
1.kaldaniyo ne tanbe ki batakh banai thi iski khususiyat yeh thi ke jab koi chor ya jasoos shehar ki char diwari me dakhil hota tha to yeh batakh khud bolne lagti thi to llog samjh jate the ke shehar me koi chor ya jasoos dakhil hua hai aur log uski talash me lag jate they aur usko giraftar kar li ajata tha
2. Ek ajeeb naqara tyar kia gaya tha iski khususiyat yeh thi ke ke agar kisi ka mal o raqam aur koi shai gum hojati thi to woh shakhsh naqara bajata tha usse awaz ati thi ke tumhara mal aur raqam fulan jagah ya fulan ke fas hai.
3. Ek aisa hauz tarkeeb dia tha ke kisi jashn ke mauqe par log uske kinare jama ho jate they aur mukhtalif qisam ke sharbat usme dal dia karte they aur jis waqt unko zaroorat hoti wahi matlooba sharbat unko mil jata .
4. Ek aisa aina tha ke ghaib ka hal batata tha ke fulan shakhsh kahan hai aur kis hal me hai.
5. Ek aisa talab banaya tha jis me mukhtalif qisam ke masail hal kiye jate they maslan kisi ek chiz ke do shakhsh dawe dar hain ke meri dusra kehta hai meri hai to in dono ko talab me utara jata tha jo haq par hota tha to talab ka pani naf tak ata aur jo ghalat hota tha woh shakhsh is talab me gharq ho jata tha.
6. Ek aisa darakht namrood ke mehal ke samne darwaza par laga tha jis ka saya admiyo ki tadad ke mutabiq ghatta badhta tha .
yeh talismat namrood ke darussaltanat babul me maujood they.
funne sehar ke mahireen ka kehna hai ke yeh sehar kaldani bahut hi mushkil hai iske hasil karne me sakht se sakht mehnat o mushaqqat ka samna karna padta hai itna zaroor hai ke is ilm ka amil apne ilmi kamalat se woh kamalat aur khirq adaat logo ko dikhata hai jin ko samjhne se aqal o faham bhi qasir hain
is jadu me tamam arwaah e khabisa ki taskheer ki jati hai is qisam ke sehar bila shuba kufr hain is sehar ki 15 sharten hai jin me chand sharte yeh hain ,arwah ko dilo ke halaat par muttale hone ka yaqeen ,arwah ke khilaf zara bhi bad aqeedgi paida ho gai to sara kam bana banay bigad jata hai.
ruhaniyat kwakib ki taskheer me sab se pehla tariqa o amal taskheer e qmar ka hai aur taskheer qamar ki dawat me jo kalam parha jata hai woh kufr hai is liye iska tajarba karna bhi munasib nahi qyunke usool e islam ke khilaf hai aur tauheed ke manafi hai (taskheer e qamar aur degar saiyargan ke alvi qaaide bhi hain)
ahle babul haroot o maroot ki talim ke mutabiq taskheer e roohaniyat alviyah sifliya jismaniyah waghairah karte they aur ahle unan taskheer e ruhaniyat e alviyah par iktefa karte they unka khayal tha ke ruhaniyat alviyah ki taskheer ke bad ruhaniyat sifliyah ki taskheer ki zaroorat nahi.
zamana e qadeem me bhi sehar ahle babul ka riwaj tha mutaqaddimin hindustani ruhaniyat par zor dia karte they.
Sehar ki dusri qisam jin aur shiyateen ko taskheer karne ki hai yeh pehli qisam se sehal aur asan hai hidustan me sehar ki dusri qisam bakasrat raij hai ,is dusri qisam ke sehar me bhawani , hanuman , kali, bhairu, luna chamari aur mukhtalif dewi dewtaun ki duhaiyah dekar unke jaye waqooa par bhent chadha kar khuxbu jala kar dhooni de kar kam lia jata hai aur lia jaraha hai yeh sehar ki dusri qisam hai yeh bhi haram o kufr hai.
Teesri qisam sehar ki taskheer e arwaah e khabisa hain isme qawi haikal deo shakhsh ki rooh ka kalam shiyateen parh kar taskheer karte hain aur apne tabe kar lete hain aur unse misl naukar ke kam lete hain is qisam ke sehar me aksar aam taur se arwaah e khabisa se hi kam lia jata is liye sharan yeh bhi mamnoo haram hai, firaun ke jadugaro.n ne Hazrat Musa Alaihissalam ke muqable me isi qisam ke sehar se banaye hue sanp chhore they
is qisam ke jadu ko samri jadu bhi kaha jata hai jo ke firaun ka sab se bada jadugar tha, is qisam me arwahe khabisa se madad li jati hai aur shaitan ke namo ki dohai di jati hai aur inki tazeem ki jati hai yeh bhi kufr hai.
Panchwi qisam sehar ki yeh hai ke isme ajeeb o ghareeb nazare logon ko dikhaye jate hain youn to sehar ki bahut sari qisme hain jin ka bayan ainda shay hone wale mukhtalif mazameen me kia jayega shaiqeen o aamileen ki maloomat me azafa ke liye is qadar kafi hai.
is mauzoo par mazameen bahut ziada hai jo jald ji shaya kiye jayenge insha Allah