Dawat Ism e Wahhab Dast e Ghaib Ka Maya Naz Amal Hai Faqeer Ne Bila Bukhl Apne Ahbab Ke liye Pesh Kar Dia
Sufi Muhammad Imran Razvee Al Quadri
Dawat Ism e Wahhab Nadir e Zaman Amal
Az-Sufi Muhammad Imran Razvee Al Quadri
jiska mana hai bahut ziada ata karne wala aur teh jawad ke mana me bhi ata hai jawwad Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ka ism e sifati hai aur Rabb e Zuljalal ka nam e nami hai Rab Tala apne bando'n ko bila kisi gharaz ke be inteha ata karta hai aur humare Aaqa o Maula Saiyed e Alam sallallaho alaihi wasallam apne Rab ki ata se Qasim e ne'mat hai aur hum ghulamo'n ki be mange ata karte farmate hai'n Amil ko Ism jiski woh khidmat ka irada rakhta hai uska mana janna az had zaroori hai ke is bat ko taseer e amal me bada dakhal hota hai.
Ism e Wahhab ba mawakkil ki dawat ke bahut sare mashhoor tareeqe hai'n kuch itne mushkil hai'n ke uski himmat fi zamana har shakhsh nahi kar skta khwas me bhi iski taqat nahi balke akhassul khwas me bhi do char afrad bamushkil iske amil ho sakte hai lihaza mai'n Dawat ki woh qism bayan karta hu'n jise mamooli himmat wala shakhsh bhi kar payega ism e wahhab ki dawat dene se qabal ijazat zaroor hasil kare'n warna rajat ke shikar honge Allah hum sab ko rajat ki nahusat se mahfooz rakhe , mahe zujasdain ya sabat me nau chandi jumerat se amal ki ibteda kare ek hafta qabal se hi tark e haiwanat baja laye'n taake pet se tamam tar haiwani ghiza nikal jaye aur jism me uska kuch asar baqi na rahe is Dawat me'n kamra hamesha khushboo se muattar rakhna hoga aur dauran e qirat khushboo sulgana lazmi hogi hogi chahe agarbatti hi kiyon na ho lekin behtareen qisam ka looban jalae'n to yeh ansab hai,koshish kare'n aisa kamra ho jaha'n siwaye ap ke koi dusra na jaye warna bamajboori kam az kam dauran e qirat to harghiz kisi ka guzar na ho ghusul rozana karna hai aur kapde rozana dhule hue pahnne hai'n hatta ke topi bhi dhuli hui ho namaz e fajar ke bad taza wuzu kare aur khilwat me'n dakhik ho jaye musalle lar khade hokar Rajalul ghaib ko ba adab salam arz kare do rakat namaz nafl ada kare'n har rakat me'n bad fateha ke teen bar surah ikhlas parhna hai sawab Hazrat Shaikh Muhammad Ghaus Gawalyari rahmatullah alaih ki rooh pur futooh ko ponhchaye phir muraqba kare chand lamho'n ke liye do zanoo'n sar khamida ankhe'n band kiye apne dil ki taraf tawajjo kare'n pal bhar me'n do me'n se ek kaifiyat yaqinan paida hogi ya to dil me'n aetemad quwat aur anbisat k suroor ki kaifiyat paida hogi aur amal ki kamyabi ka uaqeen mahkam hoga ya phir dil tang ho jayega aur khafeef si ghabrahat mahsoos hogi joke alamat is bat ki hogi ke ap filwaqt dawar shuru nahi kar sakte' aur agar pehli kaifiyat ronuma ho ti dil me'n Khuda ka shukr aur zuban se hand baja lana chagiye phir Ayat e Qutub ek bar parh kar apne upar baniyat hisar ke dam karna hai aur 41 martba Durood e Tnajjina Shareef ka wird kar ke Dawar Shuru kar deni gai bad fajar ek hi nashish me'n 14000 martaba Ism e Wahhab parhna hai tadad mukammal karne ke bad koi sa Durood Shareef taaq martaba parh kar khulwat se bahar nikal aaye'n phir namaz e Zohar ke bad khilwat me dakhil ho'n aur koi sa Durood Shareef taaq martaba parhe'n aur phir 14000 martaba Ism e Wahhab ek nashisht me parh kar tadad mukammal kare aur koi sa Durood Shareef taaq martaba parh kar khilwat se bahar nikal aye'n ke waqt namaz e asr ka ho chuka hoga ab waqfa rahega asar aur maghrib me'n bad namaz e isha apne mamool ke wazaif mukammal karke sat hazar martaba Ism e mazkoor ka wird kare'n auwal kli sa Durood taaq martaba aur akheer me'n Durood e Runajjina Shareef 41 martaba parhe aur 14 naqoosh zafran se Safed kaghaz par likhe'n yeh ek din ki dawat mukammal hui , wird mukammal karne ke bad kisi se bat na kare balke chupke se so rahe taake khwabo'n me'n bisharaat ka husool aasan ho waazeh rahe ke is Dawat me'n lehle roz se hi khwab me ajeeb o ghareeb manazir dikhna shuru ho jate hai'n, is tarag musalsal 40 dino tak Ism e Wahhab ki Dawat jari rakhe'n dauran e chillah kisi bhi sail ko khali hath na lautaye kuch pas na ho to husn e sulook ke sath mazrat khwahi kare aur har aane wale par nazar rakhe agar koi kuch de to mana na kare aur lekar rakh le agarcha kaisi hi mamooli shaie bazahir ho, dauran Dawat nazar, dil aur zuban ko pak rakhe'n aur kisi qisam ke jhagde me na pade na kisi panchayat ya sulah safai me'n hissa le aur fi zaman internet se doori banaye rakhe'n jis roz Dawat mukammal hogi ap Umda khana taiyar karaye'n aur kisi bhi 4 parhezgar muttaqi musalmano'n ki dawat kare'n aur ab aap Ism e Wahhab Ke Amil ho chuke hai'n jo nuqoosh apne dauran e chillah tahreer kiye hai'n unko alag alag aate ki goli me'n lapet kar kisi kapde ki thaili me'n rakh kar darya me'n dale'n rozana 114 martaba Ism e Wahhab Ka Wird aur har naye chand me'n jumerat ke din 14 nuqoosh likh lia kare'n is amal ka amil jis kisi ko yeh naqsh likh kar dega uske karebar me be panah usat hogi aur mali tang dasti ka khatma hoga jis kam ki taraf tawajjo kare ga woh kam asan ho jayega iska Amil kabhi bhi tangdast nahi hoga balke uske zariye uske rishtedar bho aish karenge jab kisi aham kam ko ajnam dena chahe ya kisi ke liye khas dua karna chahe to fajar ki namaz ke bad dahine hath ki ungliyon ke paure par 14 martaba ism e mazkoor ko parhe aur musalsal 14 di parhe to hairat angez taur par woh kam ho jayega goya ke aamil ko baz umoor me tasurruf e roohani hasil ho jayega lekin chahiye ke aajizi o inkisari ikhtyar kare aur harghiz harghiz kisi se amal ka raz bayan na kare warna pachtayega
Maine bila bukhl amal ki tafseel likh di taake humare ahbab me'n se jo ahliyat rakhte ho'n isey baja lakar deeni o dunyawi daulat ka lutf uthaye'n bad chillah ke is amal se kia kia kam kaise kaise lia ja sakta hai is ki tafseel amil ko mawakkil khud bada denge Naqsh yeh hain