Showing posts with label Taweez & Talisman. Show all posts
Showing posts with label Taweez & Talisman. Show all posts

Thursday, June 30, 2016

Lohe Mushtari Baraye Daulat e Lazawal لوح مشتری برائے دولت لا زوال (Jupiter Talisman For Everlasting Wealth)


Lohe Dafa Nahusat e Zohal لوح دفع نحوست زحل (Talisman For Saturn Ominous)


Hifazat e Makan o Dukan Ke Liye Keele.n حفاظت مکان و دکان کے لئے کیلیں (Nail For Protection House And Shop)



Aseb Aur Jinn Se Rihai Ka Amal آسیب اور جن سے رہائی کا عمل (Getting Rid From Evil Spirit And Jinn)



Aaseb Aur Jinn Se Rihai Ka Amal

agar kisi mariz par deo pari jin ya arwaah e khabisa ka asar ho to amil ko chahiye ke aise mariz ko behte hue panime ghauta deaur phir iske gosh e raast me ayat mandarja zeil ko tin martaba parhe aur buland awaz se parhe phr aabe rawa me is mariz ko ghauta zan kare phir bahar nikal kar gosh e chap me aayat mazkoora ko tin martaba parhe aur iske badan par hath phere aur aayat e mazkoor ko tin martaba parhe agar aurat ya jwan ladki ghair mehram ho to hath na lagaye ishara kafi hai  aur is dua ko tin martaba parhe  ...insha Allah usi waqt fauran woh rooh e khabis ,hamzad ya jin pari ya deo is mariz ke badan se nikal jayega phir chahiye ke mariz ka hisar kar de aur loh e tahaffuz gale me dal de aur chahal kaf ka ganda kamar me bandheiske sath in ayat e mubarka ke aadad nikal kar in me mariz ka nam shamil karke 40 naqsh e musallas aatishi chal se likh kar pine ko den agar asar qawi hone ka andesha ho to naqsh chahar qul  ka jalane ke waaste de ,aksar yeh chize dafa hone ke bad phir laut aati hain lihaza is taur par agar nuqoosh istemal karaye gaye to in sha Allah kabhi na kautenge  aise marizon ka ilaj karne se qabal amil apna aur apne ahal ka hisar kar lena chahiye ke yeh khabis arwaah inko apna dushman bana leti hain ,woh ayat yeh hai
بسم اللہ الرحمن الرحیم
یا معشر الجن والانس ان استطعتم ان تنفذوا من اقطار السموات والارض فانفذوا لا تنفذوا الا بسلطن فبا ی الآ ربکما تکذبن یرسل علیکما شواظ من نار و نحاس فلا تنتصیران

Wednesday, June 29, 2016

Hifz e Qur'An Aur Ilm o Hikmat Ke Liye حفظ قرآن اور علم و حکمت کے لئے ( Remedy For Memorizing Quran And Excellency Of Knowledge)


Hifz e Qur'an Aur Ilm o Hikmat Ke Liye

Jo shakhs ya talibiilm yeh chahta ho ke usey Quran e muqaddas aur deegar uloom o hikmat ba aasani yad ho jaye aur shaitani waswase aur kahili se mahfooz rahe to usey chahiye ke is ayat e mubarka ko chini ke plate me ya butter papper par zafran aur ambar se tahreer kare aur subh nihar munh aab e zamzam aur arq e gulab se dho kar pi lia kare kahili susti aur kund zehni ka shafi ilaj hai  aur quwat e hafiza aisa ho ke Quran o Sunnat aur digar uloom e dunyawi se jo yad kare kabhi na bhoole aur dil se waswasa dafa ho jaye ayat e mubarka yeh hai .
بسم اللہ الرحمن الرحیم
والنجم اذا ھوی ما ضل صاحبکم وما غوی وما ینطق عن الھوی ان ھو الا وحی یوحی علمہ شدید لقوی ذومرۃ فاستوی وھو بالافق الاعلی ثم دنا فتدلی فکان قاب قوسین او ادنی فا اوحی الی عبدہ ما اوحی ما کذب الفواد ما رای افتمرونہ علی ما یری ولقد راہ نزلۃ اخری عند سدرۃ المنتھی عندھا جنۃ الماوی اذ یغشی السدرۃ ما یغشی ما ذاغ البصر وما طغی لقد رای من ایت ربہ الکبری

amileen hazraat is ayat ko androon e bait  قولہ الحق ولہ الملک likhe aur aam log mahaz ayat likh kar kam chalayen baraoz chahar shanba saat awal me jis qadar ho sake likh kar rakh len faqeer ki janib se tamam ahbab aur membran ko ijazat hai ,behtar hai ke chalis din musalsal pilaya jaye warna 120 din aur chahe to ayat e mazkoora bala ki noorani loh Idara Roohani Imdad se mangwa len yeh loh hajatmandon ke nam ma walida se tyar ki jayegi aur jo hazraat loh mangwane ki isteta'at nahi rakhte ho.n woh in aayat ko bataur taweez likh kar bandh le.n

Tuesday, June 28, 2016

Chiragh e Adawat چراغ عداوت (Lamp For Enmity)

Chiragh e Adawat
Bughz o adawat aur tabahi o barbadi e dushmana ky liy yeh chiragh ek roohani tohfa hai is ki tyari me qahar o jalal wali chuninda Qur'ani ayat aur makhsoos asmaye suryani shamil ki gai hai,matlooba saiyargan ke nahas nazraat aur digar amaliyati qwaid kw malhooz rakhte hue is chiragh ki tyari amal me aai hai is chiragh ki mukhtasar khasiyat darj zeil hai( agarcha iske elawa bhi bahut sare mawaqe aise hain jin me yeh kam deta hai)

1.Do mard o aurat ke darmiyan najaiz rishta o talluqat ko jad se khatam karne ke liye
2.Na farman aur be haya biwi ko raahe raast par lane ke liye.
3.Naujawan ladko aur ladkiyon ko kisi ke ishq me tabah hone se bachane ke liye
4.Dushmano ko dushmani se baaz rakhne aur shikasht dene ke liye.
6.Talaq waaqe karne aur zalim shohar ya behaya biwi se chhutkara hasil karne ke liye.
7.Hasideen ke hasad se hifazat ke liye.
8.Kisi ka najaiz karobar band karane ke liye
9.Kisi jagah ya makan se najaiz qabza khatam karane ke liye
10.Zalim aur badkaar insan ko bimar dalne aur uske shar se mahfoozi ke liye.
11.Najaiz faisle ko rokne aur ghalat faisla karne walon ki saza dene ke liye.   

Thursday, April 28, 2016

Dushmano.n Se Bachne Ka Amal دشمنوں سے بچنے کا عمل (Process To Avoid Enemies)



Dushmano.n Se Bachne Ka Amal

Shaitan insan ka azali dushman hai is liye woh bugh ,hasad,lalach,aur burai ki bina par inhe ek dusre ka dushman bana deta hai baz auqat mamuli su dushmani  bade se bade  nuqsanat ka pesh khima banti hai aise halat me dushmano ki burai aur inteqami karwaiyon se bachne ke liye as ism ka zikr bahut mufeed hai agar koi dushman ko zer karna chahe to is ism ko 40 din tak 1236 martaba rozana parhe انشاء اللہ dushmano ke shar se mahfooz rahega aur isey parhne se zalim se zalim tar bhi narm ho jata hai woh ism mubarak yeh hai.
یا جبار

dushmano ki iza rasani aur shar anghezi se mukammal hifazat ke liye
 LOHE TAHAFFUZ E KHAS ek behtareen aur jame loh hai jis ke pas hote hue zahiri aur batini dushmano ki ek nahi chalti

Tuesday, April 12, 2016

Mahe Rajab Ka Lohe Tahaffuz e Khas ماہ رجب کا لوح تحفظ خاص (Special Amulet For Protection Made In The Month Of Rajab)

  • Lohe Tahaffuz Khaas
  • Aayat e Hifaazat aur Huroof e Noorani Ki Naayab Loh

  • Aaseb khwah kaisa zabardast ho is loh ke haamil par ghalib nahi aa sakta
  • Asarat e shaitani apna asar daalne me nakaam ho
  • Jinn jinnat koi gazind na pohcha sakey
  • Sarkash se sarkash jin bhi kuch na bigaad paaye
  • Bhoot pareyt kabhi bhoole se bhi paas nahi bhatak sakte
  • Badd rooh ya arwahe khabeesa is loh ko dekh kar meelo door bhag jaate hain
  • Sehar jaadu safed jo alwi moakkilon ke zarye karaya jata hai usse mukammal hifazat rahti hai
  • Sifli ilm ya sifli amal khwah misar ka ho ya bangal ka bihar ka ho ya africa ka apna asar is loh ke muqabil nahi dikha sakta
  • Kaala jaadu ,sehar e hawatif, sehrulmaraz, sehrulwaswaas, sehar e takhaiyul, gharaz ke jumla aqsaam ke sehar se tahaffuz
  • Karobar ya dukan ya factory me maali nuqsaanat se hifaazat rahe
  • Achanak hone wale haadsisaat har qisam ka dar khauf se aman me rahe
  • Ghar karkhane ,office ,dukan me chor aur chori se aur aag lagne se hifaazat
  • Nayi dulhan aur jawaan bachchiyon ki nazar bad aur oopri asaraat se hifazat


Wednesday, April 6, 2016

Loh E Sharaf E Aftab لوح شرف آفتاب (Sun Glory Talisman)


Lohe Sharaf e Aaftab
Izzat o azmat , jaah o hashmat, taraqqi madarij , rob o dabdaba , sarbulandi, izzat o martaba, ghalba o tasallut ke husool ke liye yeh zinda tilism ka kam deta hai , who log jo dusron se piche rah gaye hain ya aala maqam hasil nahi kar sake ,halqaye ahbab aur kam ki jagho me koi izzat nahi aise logo ke lye ek ruhani tohfa hai iske hamil par koi shakhsh ghalib nahi aasakta  election me kamyabi , muqabla jati imtehanat , futoohat ki azim taseer rakhta hai ,zamana e qadeem se tamam hukama ka is naqsh par etemad hai aur mera barso ka tajarba hai.
Taskheer khalq aur taraqii e darajat ka muassar waqt
Shamsh burj e hamal me harkat karta hua jab 19 win darja par pohachta hai to usey sharaf hasil hota hai sal me sirf ek bar yeh sunehra mauqa hath ata hai ye tamam halaton me saadat darja me qawi hota hai shamsh saiyargan e falki me sab se bada shahanshah ka darja rkhta hai sab se ziyada noorani aur aur taqatwar asar zamin par dalne wala hota hai zindagi aur rooh ki twanai isse quwat pati hai, isliye iska sharaf aamilin o kamilin ke nazdeek hamehsa se tawajjo ke qabil raha hai is waqt jo makhfi quwaten zamin par asar andaz hoti hain usko agar zabt me laya jaye to who apni beiznillah apni taqat se hamil ke liye azeem haibat rob aur quwat paida karta hai aur ek mumtaz maqam tak lata hai jisse saakinaan e maujoodat me iska rutba buland tar hota chala  jata hai ,lihaza har sal aise mauqe par hum aise amaliyat tyar karte  hain jo taskheer khalaiq , afzooni e rizq , jaaho martaba aur musalsal taraqi lane wale hote hain har sal april ke mahine me yeh waqt ata hai aur kaseer tadad me naqoosh o talism tyar kiye jate hain zaroorat mand hazraat o khwateen rabta kare ,waajeh rah eke sharaf e aftab me mukhtalif qisam ke naqoosh o tilism tyar kiaye jate hai maslan ba muakkil naqsh batariq ilm e jafar jo ke sail ken am aur uski walida ken am se banaye jate hain aise naqoosh ke liye sharaf se pehle rabta karna zaroori hai kyunke takseer waghaira bnane me kafi waqt lagta hai aur qabal az waqt mukammal tyari chahiye iske elawa jo naqsh bante hain who hare k sail ko kifayat karta hai aur Alhamdulillah sare naqoosh hi sharaf e aftab ke lajwab hote hain hazaron afrad har sal isse mustafeed hote hain
Sharaf e aftab me mandarja zail maqasid ke husool ki khatir alwah o tilism aur jafri naqoosh banaye jate hain

@Muqablajati imtehanat me kamyabi ke liye
@Karobar ko urooj tak pohchane ke liye
@Maqam o martaba me bulandi ke liye
@Har qisam ke muqaddme me kamyabi ke liye
@Berozgari ke khatma ke liye
@Kisi firm ya company ki shohrat ke liye
@Kisi bhi kam  me ghaibi madad hasil karne ke lye
@Shohrat aur namwari ke liye
@Daulatmand aur ameer e kabeer banne ke liye
@Hamesha taraqqi karte rahne ke lye
@Aulad e narina ke husool ke liye.

Saturday, March 19, 2016

Parinda Hud Hud ke Khawas o Tilismat پرندہ ھدھد کے خواص و طلسمات (One Hundred Spells and Properties Of Hudhud)














Hairat Angez Tilismati Parinda HudHud Ke Ek Sau Mujarrab Tilismat

Hudhud ek mashhhor parinda hai jis ke badan par muktalif rangon ki dharian hoti hain ,iske sar par taaj hota hai iski kunniyat Abul Akhbar,Abu Samama, Aburrabeeh, Abu Rooh , Abu Sajjad , Abu Ubbad hai isko had hid bhi kehte hain yeh fitratan badboo dar parinda hai ,yeh ghonsla gandi jaghon par banata hai aur yeh adat iski tamam jinson ki hai ahle arab ka iske mutalliq kehna hai key eh zamin ke niche pani ko is trah dekhta hai jaise insane glass ke andar pani ko dekhta leta hai ,neez yeh parinda Hazrat Sulaiman Alaihissalam ka pani ke silisle me khadim tha ulamaye tilismat ne is poarinde ki har azwo ki khasiyat apne tajurrubat ki bunyad par qalam band farmai hai faqeer e razvee raqimul huroof ne inme se chand ek ko azmaya to hairat angezh aur zood asar paya lihaza qaraeen ke ilm me izafe aur dilchaspi ke liye is tilismati parinde ki ziadah se ziadah tilismat ko naqal karke ifada e aam ki gharaz se shaya karta hun ,jo hazraat o khawateen in tilismat se faid uthana chahen unke liye zaroori hai ke is parinde se talluq rakhne wali azimat ki zakat ada karke amal me le aayen take is tilismati parinde ke hare k azwo se talluq rakhne wali roohaniyat  aap se maanoos hokar aapka hukm fauran baja laye ibarat amal aur zakat ki tarkeeb naqle tilismat ke bad darj ki jayegi

Hudhud ke mukhtalif aaza ke tilismati khwas

(1)  Agar kisi ghar me hudhud ke paron ki dhoni di jaye to waha se sare kide makode bhag jayenge.
(2)  Hudhud ki aankh agar koi bhoolne wala apni garden me latka le to usey bhooli hui chi yad aajaye.
(3)  Quwat e hafiza ke liye hudhud ka dil bhoon kar sendab me mila kar kha le nihayat mufeed sabit ho.
(4)  Nisyan door karne ke liye hudhud ke dil ko bhoon kar kha le to nisyan ka maraz door ho jaye zehan o dimagh tez karne wali dawaon me sab se umdah hai aur isme koi nuqsan ka bhi khatra nahi.
(5)  Das adad hudhud pakad kar unke bal o par noch kar kisi makan ya dukan me dal den to woh makan ya dukan hamesha ke liye wiran ho jaye aur kabhi abad na ho yeh amal ohal o qamar ke muqabla me karni chahiye
(6)  Agar hudhud ki anten lekar kisi nakseer wale par latka di jaye to uska jari khoon band ho jaye.
(7)  Hudhud ki chonch jo koi apne rakhe to uski koi chiz zaya nahi ho sakti aur agar usko apne rakh kar kisi badhsha ya hakim ke pas pohanch jaye to uski tazim kare aur uski zaroorton ko pura kare.
(8)  Agar koi hudhud ke ghonsla ki mitti lekar qaid khane me dale to qaidi azad ho jaye.
(9)  Agar hudhud ka koi ek panja lekar bacho ke garden me batur e tawiz latkaye to usey kabhi nazar na lage.
(10)                     Agar hudhud ked um par zara sa khoon lagakar kisi darakht me latka den to darakht kabhi baar aawar na ho.
(11)                     Agar isi dum ko ksi anda dene wali murghi le gale me latka de to woh anda dena band karde.
(12)                     Agar koi shaksh hudhud ki uban lekar roghan kunjad me dal de aur phir usko apni zuban ke niche rakh kar jis kisi se bhi apni zaroorat ka mutalba kare to woh fauran zaroorat poori karde.
(13)                     Agar hudhud ke dahine apr ko koi apne pas rakhe to apne fareeq e mukhalif par ghalib ho , aur uski tamam zaroorten puri ho ,hark am me usko kamyabi ho.
(14)                     Hudhud ka gosht paka kar khana dard e kolenj me mufeed hai.
(15)                     Hudhud ka dimagh nikal kar aate me mila kar usey gond lia jaye aur ussey roti bana kar saye me sukha kar jis kisi insane mard aurta ko khila di jaye aur khilane wala yeh kahe aye fulan bin fulan maine tujhe hudhud khilaya hai aur tujhe apni bat sunne wala aur farmanbardar bana lia hai take tu mere pas usi trah hazir bash rahe jis trah Hazrat Sulaiman Alaihissalam ka hudhud unke pas hazir bash raha karta tha to is amal ke asar se khane wala khilane wale se be panah mohabbat karne lagega.
(16)                     Agar koi hudhud ki chonch ko hiran ki khal me lappet kar usye surkh ya kale ya surmageen rang ke dhage me bandh kar apne dahine bazu par bandh le to jisse  mohabbat ka irada rakhta hai woh beqarar hojaye hiran ki khal me asmaye muakkilat tahreer kiye jayenge.
(17)                     Hudhud ka khoon agar kisi seepi me lekar us aankh me tapka dia jaye jisme baal jam gaya ho to woh bal door ho jayega.
(18)                     Saad nazraat me hudhud zibah karke uska dimagh nikal kar sukha lia jaye aur usey bareek pees kar pisi hui mustagi roomi me mila kar 21 adad hudhud waraq aas koot chan kar usme mil alia jaye yeh safoof e mohabbat tayar hai jise bhi sungha dia jaye woh mohabbat me diwana ho jaye.
(19)                     Hudhud ke dahine aankh ko kisi naye kapde me lappet kar koi shaksh usko apne dahine bazu par bandh le to jiske pas bhi jaye woh ussey mohabbat karne lage ga aur jo dekhe fida ho.
(20)                     Jis kisi ko apne bal siyah rakhne ho to chahiye ke hudhud ki aanten lekar unko sukhaye phir roghan kunjad me mila kar darhi ya sar ke bal me teen din tak male bal siyah rahenge.
(21)                     Agar hudhud zibah karke pure ka pura hiran ki khal me lappet kar kisi makan me latka dia jaye to wahan maujood sifli alwi jadoo hamesha ke liye khatam ho jaye aur ainda hifazat rahe post aahu pa r aayat radde sehar ma saifi tahreer karna hoga.
(22)                     Hudhud ke jabde ka nichla hissa apne upar latkaye to log ussey mohabbat karne lagen.
(23)                     Agar kisi pagal ko hudhud ke taj ki dhooni di jaye to uska pagal pan jata rahe.
(24)                     Agar koi namard ho ya sehar zada ho to hudhud ki dhooni se faida pohnche.
(25)                     Hudhud ka dil bhoon kar sandab ke hamrah khana quwat e hafiza ke liye ikseer hai.
(26)                     Hudhud ke bayen bazu ke tin par lekar kisi ke ghar ke darwaze par tin din suraj nikalne se qabal jhadu de aur jhadu dene wala yeh kahe ke jis trah is darwae se dhool aur gard o ghubar door ho gaya isis trah is ghar se fulan bin fulan hamesha ke liye door ho jaye is amal ke asar se woh shaksh jiska nam lia gaya is makan se door chala jayega aur kabhi bhi wapas na ayega.
(27)                     Agar hudhud ke bayen bazu ko jala kar uski rakh ko apne mahboob ke raaste me chhidak de to us par pair rakhne ke bad matloob talib ban jayega.
(28)                     Agar hudhud ka dahina ek par aur chonch post aahu me band karke apne gale me latkaye aur latkate waqt apna mehboob ka aur uski ma ka nam le to kamyab ho.
(29)                     Hudhud ke dahine bazu ka sab se bada par maqbooliyat aur taskheer khalq ke liye hota hai.
(30)                     Agar koi khoon e hudhud se kaghaz Hariri par tilismat likhe aur apne bazu par bandhe ,badsha ya kisi ameer ya hakim ke pas jaye to nihayat izzat o martaba paye aur koi dushman ghalib na aye.
(31)                     Agar kisi shaksh ki mardana quwat bandh di gai ho to itwar ki shab ko maghaz e hudhud par asmaye tilismat parhe aur qusaib par tila kare fauran hi khul jaye.
(32)                     Agar kisi shaksh ki zuban band karni maqsood ho hudhud ke paron par itwar ke din asmaye tilismat parhe aur tanawor me dal de zuban us shaksh ki band ho jayegi.
(33)                     Agar kisi ki uban kund ho to zuban e hudhud par woh tilism malooma parhe aur apne bazu par bandh le nihayat faseeh balke fasahat o balaghat me mashhoor ho jaye.
(34)                     Kisi shaksh ki zuban band karne ke liye ninqar e hudhud par itwar ke din tilism parh kar degdan ke niche dafan kare.
(35)                     Agar koi chahe ke mera darja buland ho aur chashm e khalaiq me aziz ho hudhud ke taj par asmaye tilismat parh kar us taj ko apne kalah me poshida rakhe in sha Allah zi izzat aur jaleelulqadr hoga martaba buland hoga.
(36)                     Agar kisi shaksh ko shab kori ho aur kisi trah aram na aata ho to chahiye ke dahine ankh hudhud par wahi ism dam kare aur dahine bau par bismullah parh kar bandh le zaroor shifa hogi.
(37)                     Mahboob ko apne upar diwana karne ke liye chasm e chap hudhud ko apne garden me latkaye tilism bhi tilawat karta rahe aur jumah ke din yeh amal kare jabke qamar zaidunnor me ho.
(38)                     Agar kisi ko bad e kham ho jaye to paye rast hudhud par tilism ek bar parh kar apne bazu par bandhe khuda chahe to bad kham dafa ho.
(39)                     Dushman ki zuban bandi ke liye paye chap hudhud par niyat dushman ki kare aur ek bar tilism parhe to dushman ki zuban band ho jayegi.
(40)                     Agar chahe ke kisi aurat ki shehwat bandhe to charm e hudhud par ek bar tilism parhe fauran aurat basta ho jaye.
(41)                     Phir agar chahe ke aisi aurat ko khol de to nakhun e hudhud par ek bar parhe aur aurat ko bandhe filfaur kushada hogi.
(42)                     Kisi se dosti karne ke waste teen par dahine bazu ke laye aur ek bar tilism parh kar masjid me dafan kare in sha Allah zaroor dosti hogi.
(43)                     Agar chahe ke do shaksh ke darmiyan judai ho jaye to teen par hudhud ke bayen bazu ke laye aur tilism ek bar parh kar kisi ek band eke mkan me daba de dono me judai waaqe ho jayegi.
(44)                     Agar kisi mard ya aurat ka bazu shakista ho to hudhud ke bayen bazu par tilism ek bar parh kar bandh len Khuda chahe to fauran bau thik ho jaye.
(45)                     Agar koi aurat banjh ho to hudhud ke dahine bazu ka gosht laye aur aurat aqima ke kamar me bandhe to in sha Allah hamal tahar jaye aur aulad ki khushi naseeb ho.
(46)                     Agar kisi ko bao lag gai ho to istekhwan e hudhud par ism dam karke bazu par bandhe shifa yab ho.
(47)                     Agar kisi ko susti aur kasal ho to chahe ke hudhud ko zibah karke khaye susti aur kasal jati rahegi.
(48)                     Kisi ko bad sor ho gaya ho to post hudhud par ek bar tilism parhe aur bandh le shifa yab ho.
(49)                     Agar chahe ke do tan me judai ho to nok zereen hudhud aur usko kisi mithi mashroob me hall karke dono ko khilaye fauran judai ho jaye.
(50)                     Agar kisi ne zahar khala lia ho to lawe hudhud ko aur khushk karke zahar khorda ko khilaye in sha Allah zahar kaargar na hoga.
(51)                     Istekhwan e paye hudhud ko jo koi apne ghar me rakhe ga us ghar se tamam balliyat door ho jayenge aur koi dushman uspar zafaryab na ho sake.
(52)                     Hudhud ki garden ko baryan karke khaye mariz sehat yab ho aur quwat paye.
(53)                     Istekhwan e hudhud ko ghise aur apne chehre par male phir kisi sardar ya hakim ke samne jaye to martaba ziada ho.
(54)                     Hudhud ki ankhon ko ghis kar apne ankho me lagaye to paryan nazar aayen aur masakhkhar ho.
(55)                     Hudhud ke khaba ko kahne wale har chand mujameat kare kabhi maandah na ho.
(56)                     Jo koi dahine taraf par hudhud ko apne pas ma tilism ke rakhe chasme khalaiq me aziz ho aur kisi trah ka jadu tona ka asar na ho dushman dost ban jaye.
(57)                     Zuban e hudhud ko saya me khushk karke ladke ke gale me daalen jo sune gay ad rakhega aur fasahat ho balaghat me mashhoor hoga.
(58)                     Jo shakhsh hudhud ke tamam paron ko apne ghar me rakhega tamam khawesh o aqrabah me aziz o mukarram hoga.
(59)                     Khoon e hudhud ko gulab me milaye aur jisko apne ishq me diwana karna ho uske ghar me dalwa de .
(60)                     Hudhud ki zuban ko nauchandi jumerat ko naye roi me lappet kar charagh e mohabbat me chanbeli ka tel dal kar kajal upare jab tak charagh jalta rahe amal parhta rahe jab kam mukammal ho jaye,ab us kajal me rozana isha ke 303 martaba amal parh kar dam karta rahe 21 din tak kare bad iske kajal tyar hai jab bhi kajal lagana ho is bat ka khayal rakhe ke aaina dekh kar kajal na lagaye jiske samne jayega woh piche piche khincha chala aayega.
(61)                     Hdud ke dahine par se hub ka naqsh likhne se asar dobala ho jata hai
(62)                     Khoon e hudhud ko mushk o zafran me mila kar apne muhn par male aur niyat uski kare jisey musakhkhar karna hai.
(63)                     Maghaz hudhud ka khane me mila kar jisko khilaye woh farmanbardar ho jaye.
(64)                     Hudhud ka taj apne pas rakhe aur niyat apne mehboob ki taskheer ka kare beshak musakhkhar ho.
(65)                     Dahini ankh hudhud ko saya me khushk karke surma ke sath ghis kar ankh me lagaye jo dekhe dost rakhe.
(66)                     Agar bayen aankh hudhud ki nagina angushtari me rakhe jiske names karna chahe meharban hoga
(67)                     Jisko diwangi kamal ki ho sar e hudhud ko mushk o afran me mila kar khilaye to diwangi jati rahe.
(68)                     Agar kisi ko kam dikhai deta ho to lawe charbi hudhud ki aur aur ankhon me lagaye Khuda cahahe to shufa yab ho.
(69)                     Istekhwan e sina e hudhud ko apne pas rakhe chashm e khalaiq me aziz ho har koi izat kare.
(70)                     Gosht paye hudhud ka dushman ke ghar me jaleye to bilkul wiran ho jaye.
(71)                     Jo shaksh hudhud ke pair ko apne pas rakhe chashme khalaiq me izzat paye
(72)                     Istekhwane paye chap huduhd ko apne pas rakhe raaste me kabhi na thake aur chalne me thakaan na ho.
(73)                     Jo koi zuban hudhud ko apne pas rakhe aur aurat se mujameat kare kabhi na thake.
(74)                     Jo koi hudhud ka dil soti hui aurat ke dil par rakhe jo kam usne kiye honge sab bata degi.
(75)                     Maghaz hudhud ko taam me mila kar kisi ko khila de to woh khate hi uska diwana ho jaye.
(76)                     Jo koi huhud ka taj apne pas rakhe aur niyat apne mahboob kare beshak aashiq ho.
(77)                     Dahni aankh hudhud ki saya me khushk kare aur surma ke sath ghis kar aankho me lagaye jo dekhe fida ho.
(78)                     Agar bayen aankh hudhud ki tawiz bana kar bazu par bandhe ya gale dale phir matloob ke pas jaye izat se pesh aaye aura z khud mohabbat kare.
(79)                     Hudhud ke nakhun aur apne bayen paon ke nakhun mitti ke bartan me jalaye aur pees kar sharbat ka kisi sheerin chiz me mila kar ji kisi shaksh ko pilaye to woh shaksh pilane wale ka mutee ho jaye.
(80)                     Baroz yakshanba bad namaz zohar ba wozu ho kar hudhud ki choti kaate aur qand siyaah me ya kisi sherni me mila kar mahboob ko khilaye ta hayat juda na ho.
(81)                     Itwar ya mangal ko ek hudhd nar jwan lekar zibah kare aur uski zuban hasil kare jab zuban mil jaye uspar 21 martaba kalemat e zeil parh kar dam kare phir usey gosht ke sath pakaye jab pak jaye to apne pas rakh le jab jisko bhi woh zubna khila di jayegi woh musakhkhar ho jayega woh kaelmat yeh hai .....
(82)                     jo shakhsh hudhud ke nakhun aur apne nakhun jalakar kisi aisi aurat ko khilaye ya pani me  jisse woh mohabbat klarna chahhta hai to woh aurat uski taraf aisi mail hogi ke uske baghair ek saat bhi na rah sake
(83)                     agar koi shakhsh hudhud aur ababeel ki ankh apne pas bataur e tawiz rakhe to jo use mas karega fil faur use mohabbat karega,aur jo ussey ladega maghloob hoga.
(84)                     Agar insane aur hudhud ke dayen pasli ki haddi soye huye admi ya aurat ke sar ke niche rakhi jaye to woh apne dil ka tamam hal bayan karde.
(85)                     Jis aurat ko hamal na teharta ho to haiz se pak hone ke bad chand roz tak hudhud ke gosht ka shorba nihar mohn pina chahye faida hoga.
(86)                     Huduhd ka taj lekar aag me jalaye aur tel me mila kar sar me lagaye jowon ka khatema hoga
(87)                     Hudhud paka ka rkhana marz e qaulenj ke dafiya ke liye ikseer hai .
(88)                     Hudhud ke khoon me jahan aur ausaf hain wahan yeh khasiyat bhi hai hudhd ke khoon kko bataur e surma ankho me lagaya jaye to woh shakhsh rat ko baghair roshni ke parhe .
(89)                     Mohabbat ke liye hudhud ka dil e muzakkar aurta ko to farefta ho aur agar uannas mard ka dil mard ko khilaye to mutee o farma bardar ho.
(90)                     Sehar ke zarye bandhe hue mard aurat ko kholne ke liye ........ sat andon par likhe aur tin tin ande dono khaye akhri ko chhuri se kat kar adha mard khaye adha aurat  insha allah dono khul jayenge .
(91)                     Agar gaye apne bache se nafrat karti ho to hudhud ki chonch uske gale me latka di jaye woh bache se mohabbat karne lage.
(92)                     Agar bacha neend me jhatke leta ho hudhud ke dayen paon ko bache ke gale me dale jab yeh gale me latka rahe gfa yeh maraz na hoga.
(93)                     Hudhud ke dayen pair ko gale me bandhe to gehri neend ayegi aur bayan pai bandhe to qatan nind nahi ayegi.
(94)                     Logon ke nazron se poshida hone ke liye hudhd ke pitte aur ankh ko baham mila kar pure jism me malish kare aur uske khal ko do hiss akare dahine hissa ko apne pas rakhe koi na dekh sake ga jahan chahe jaye.
(95)                     Huduhd ki ankh aur uske pitte ko baham mila kar surma bana len aur ankho me lagaye to khufia makhlooq nazar aye.
(96)                     Agar kisi majma ko mutashar karna ho to us jagah hudhud ka pitta chhidak de waha jama tamam afrad bhag jayenge.
(97)                     Purani khansi ke liye hudhu ke par aur gosht ko jala kar isye shehad me mila le nihar muhn chate khansi khatam ho jayegi aur jima ke liye bhi mufid hai .
(98)                     Jiski nazar kamor ho hudhd ka sar pareek pees kar ankh me lagaye nazar tez hogi.

(99)                     hudhud ka khoon supari me mila kar koot le phir jisko bhi ek ratti usme se khilayenge woh apka wala o shaid aho jayega.

Note : tilismat e hudud ke talluq se jitney tibbi fwaid likhen hai unko baghair kisi hakeem ya doctor ke mashwara ke na apnaye .wese in amal me koi shuba nahi lekin fi zamana log utni feham nahi rakhte isliye ehtiyat se kam le.

Isme mukarram jiska upar barha zirk aya hai woh ism e mukarram yeh hai iska pehle amil banna chhaiye aura mil banne ke liye zakat deni shart hai lihaza challis dino tadad swa lakh ki puri kare phir jisko jo karke dega fdauran asar zahir hoga aur hudud se mutalliqa tamam roohaniyat musakkhar hogi.

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668