Showing posts with label Talisman World. Show all posts
Showing posts with label Talisman World. Show all posts
Tuesday, July 5, 2016
Thursday, June 30, 2016
Tuesday, June 28, 2016
Chiragh e Adawat چراغ عداوت (Lamp For Enmity)
Chiragh e Adawat
Bughz o adawat aur tabahi o barbadi e dushmana ky liy yeh chiragh ek roohani tohfa hai is ki tyari me qahar o jalal wali chuninda Qur'ani ayat aur makhsoos asmaye suryani shamil ki gai hai,matlooba saiyargan ke nahas nazraat aur digar amaliyati qwaid kw malhooz rakhte hue is chiragh ki tyari amal me aai hai is chiragh ki mukhtasar khasiyat darj zeil hai( agarcha iske elawa bhi bahut sare mawaqe aise hain jin me yeh kam deta hai)
1.Do mard o aurat ke darmiyan najaiz rishta o talluqat ko jad se khatam karne ke liye
2.Na farman aur be haya biwi ko raahe raast par lane ke liye.
3.Naujawan ladko aur ladkiyon ko kisi ke ishq me tabah hone se bachane ke liye
4.Dushmano ko dushmani se baaz rakhne aur shikasht dene ke liye.
6.Talaq waaqe karne aur zalim shohar ya behaya biwi se chhutkara hasil karne ke liye.
7.Hasideen ke hasad se hifazat ke liye.
8.Kisi ka najaiz karobar band karane ke liye
9.Kisi jagah ya makan se najaiz qabza khatam karane ke liye
10.Zalim aur badkaar insan ko bimar dalne aur uske shar se mahfoozi ke liye.
11.Najaiz faisle ko rokne aur ghalat faisla karne walon ki saza dene ke liye.
Saturday, March 19, 2016
Parinda Hud Hud ke Khawas o Tilismat پرندہ ھدھد کے خواص و طلسمات (One Hundred Spells and Properties Of Hudhud)
Hairat Angez
Tilismati Parinda HudHud Ke Ek Sau Mujarrab Tilismat
Hudhud ek
mashhhor parinda hai jis ke badan par muktalif rangon ki dharian hoti hain
,iske sar par taaj hota hai iski kunniyat Abul Akhbar,Abu Samama, Aburrabeeh,
Abu Rooh , Abu Sajjad , Abu Ubbad hai isko had hid bhi kehte hain yeh fitratan
badboo dar parinda hai ,yeh ghonsla gandi jaghon par banata hai aur yeh adat
iski tamam jinson ki hai ahle arab ka iske mutalliq kehna hai key eh zamin ke
niche pani ko is trah dekhta hai jaise insane glass ke andar pani ko dekhta
leta hai ,neez yeh parinda Hazrat Sulaiman Alaihissalam ka pani ke silisle me
khadim tha ulamaye tilismat ne is poarinde ki har azwo ki khasiyat apne
tajurrubat ki bunyad par qalam band farmai hai faqeer e razvee raqimul huroof
ne inme se chand ek ko azmaya to hairat angezh aur zood asar paya lihaza
qaraeen ke ilm me izafe aur dilchaspi ke liye is tilismati parinde ki ziadah se
ziadah tilismat ko naqal karke ifada e aam ki gharaz se shaya karta hun ,jo
hazraat o khawateen in tilismat se faid uthana chahen unke liye zaroori hai ke
is parinde se talluq rakhne wali azimat ki zakat ada karke amal me le aayen
take is tilismati parinde ke hare k azwo se talluq rakhne wali roohaniyat aap se maanoos hokar aapka hukm fauran baja
laye ibarat amal aur zakat ki tarkeeb naqle tilismat ke bad darj ki jayegi
Hudhud ke
mukhtalif aaza ke tilismati khwas
(1) Agar kisi ghar me
hudhud ke paron ki dhoni di jaye to waha se sare kide makode bhag jayenge.
(2) Hudhud ki aankh agar
koi bhoolne wala apni garden me latka le to usey bhooli hui chi yad aajaye.
(3) Quwat e hafiza ke
liye hudhud ka dil bhoon kar sendab me mila kar kha le nihayat mufeed sabit ho.
(4) Nisyan door karne ke
liye hudhud ke dil ko bhoon kar kha le to nisyan ka maraz door ho jaye zehan o
dimagh tez karne wali dawaon me sab se umdah hai aur isme koi nuqsan ka bhi
khatra nahi.
(5) Das adad hudhud pakad
kar unke bal o par noch kar kisi makan ya dukan me dal den to woh makan ya
dukan hamesha ke liye wiran ho jaye aur kabhi abad na ho yeh amal ohal o qamar
ke muqabla me karni chahiye
(6) Agar hudhud ki anten
lekar kisi nakseer wale par latka di jaye to uska jari khoon band ho jaye.
(7) Hudhud ki chonch jo
koi apne rakhe to uski koi chiz zaya nahi ho sakti aur agar usko apne rakh kar
kisi badhsha ya hakim ke pas pohanch jaye to uski tazim kare aur uski zaroorton
ko pura kare.
(8) Agar koi hudhud ke
ghonsla ki mitti lekar qaid khane me dale to qaidi azad ho jaye.
(9) Agar hudhud ka koi ek
panja lekar bacho ke garden me batur e tawiz latkaye to usey kabhi nazar na
lage.
(10)
Agar hudhud ked um par zara sa khoon lagakar kisi darakht
me latka den to darakht kabhi baar aawar na ho.
(11)
Agar isi dum ko ksi anda dene wali murghi le gale me latka
de to woh anda dena band karde.
(12)
Agar koi shaksh hudhud ki uban lekar roghan kunjad me dal
de aur phir usko apni zuban ke niche rakh kar jis kisi se bhi apni zaroorat ka
mutalba kare to woh fauran zaroorat poori karde.
(13)
Agar hudhud ke dahine apr ko koi apne pas rakhe to apne
fareeq e mukhalif par ghalib ho , aur uski tamam zaroorten puri ho ,hark am me
usko kamyabi ho.
(14)
Hudhud ka gosht paka kar khana dard e kolenj me mufeed hai.
(15)
Hudhud ka dimagh nikal kar aate me mila kar usey gond lia
jaye aur ussey roti bana kar saye me sukha kar jis kisi insane mard aurta ko
khila di jaye aur khilane wala yeh kahe aye fulan bin fulan maine tujhe hudhud
khilaya hai aur tujhe apni bat sunne wala aur farmanbardar bana lia hai take tu
mere pas usi trah hazir bash rahe jis trah Hazrat Sulaiman Alaihissalam ka
hudhud unke pas hazir bash raha karta tha to is amal ke asar se khane wala
khilane wale se be panah mohabbat karne lagega.
(16)
Agar koi hudhud ki chonch ko hiran ki khal me lappet kar
usye surkh ya kale ya surmageen rang ke dhage me bandh kar apne dahine bazu par
bandh le to jisse mohabbat ka irada
rakhta hai woh beqarar hojaye hiran ki khal me asmaye muakkilat tahreer kiye
jayenge.
(17)
Hudhud ka khoon agar kisi seepi me lekar us aankh me tapka
dia jaye jisme baal jam gaya ho to woh bal door ho jayega.
(18)
Saad nazraat me hudhud zibah karke uska dimagh nikal kar
sukha lia jaye aur usey bareek pees kar pisi hui mustagi roomi me mila kar 21
adad hudhud waraq aas koot chan kar usme mil alia jaye yeh safoof e mohabbat
tayar hai jise bhi sungha dia jaye woh mohabbat me diwana ho jaye.
(19)
Hudhud ke dahine aankh ko kisi naye kapde me lappet kar koi
shaksh usko apne dahine bazu par bandh le to jiske pas bhi jaye woh ussey
mohabbat karne lage ga aur jo dekhe fida ho.
(20)
Jis kisi ko apne bal siyah rakhne ho to chahiye ke hudhud
ki aanten lekar unko sukhaye phir roghan kunjad me mila kar darhi ya sar ke bal
me teen din tak male bal siyah rahenge.
(21)
Agar hudhud zibah karke pure ka pura hiran ki khal me
lappet kar kisi makan me latka dia jaye to wahan maujood sifli alwi jadoo
hamesha ke liye khatam ho jaye aur ainda hifazat rahe post aahu pa r aayat
radde sehar ma saifi tahreer karna hoga.
(22)
Hudhud ke jabde ka nichla hissa apne upar latkaye to log
ussey mohabbat karne lagen.
(23)
Agar kisi pagal ko hudhud ke taj ki dhooni di jaye to uska
pagal pan jata rahe.
(24)
Agar koi namard ho ya sehar zada ho to hudhud ki dhooni se
faida pohnche.
(25)
Hudhud ka dil bhoon kar sandab ke hamrah khana quwat e
hafiza ke liye ikseer hai.
(26)
Hudhud ke bayen bazu ke tin par lekar kisi ke ghar ke
darwaze par tin din suraj nikalne se qabal jhadu de aur jhadu dene wala yeh
kahe ke jis trah is darwae se dhool aur gard o ghubar door ho gaya isis trah is
ghar se fulan bin fulan hamesha ke liye door ho jaye is amal ke asar se woh
shaksh jiska nam lia gaya is makan se door chala jayega aur kabhi bhi wapas na
ayega.
(27)
Agar hudhud ke bayen bazu ko jala kar uski rakh ko apne
mahboob ke raaste me chhidak de to us par pair rakhne ke bad matloob talib ban
jayega.
(28)
Agar hudhud ka dahina ek par aur chonch post aahu me band
karke apne gale me latkaye aur latkate waqt apna mehboob ka aur uski ma ka nam
le to kamyab ho.
(29)
Hudhud ke dahine bazu ka sab se bada par maqbooliyat aur
taskheer khalq ke liye hota hai.
(30)
Agar koi khoon e hudhud se kaghaz Hariri par tilismat likhe
aur apne bazu par bandhe ,badsha ya kisi ameer ya hakim ke pas jaye to nihayat
izzat o martaba paye aur koi dushman ghalib na aye.
(31)
Agar kisi shaksh ki mardana quwat bandh di gai ho to itwar
ki shab ko maghaz e hudhud par asmaye tilismat parhe aur qusaib par tila kare
fauran hi khul jaye.
(32)
Agar kisi shaksh ki zuban band karni maqsood ho hudhud ke
paron par itwar ke din asmaye tilismat parhe aur tanawor me dal de zuban us
shaksh ki band ho jayegi.
(33)
Agar kisi ki uban kund ho to zuban e hudhud par woh tilism
malooma parhe aur apne bazu par bandh le nihayat faseeh balke fasahat o
balaghat me mashhoor ho jaye.
(34)
Kisi shaksh ki zuban band karne ke liye ninqar e hudhud par
itwar ke din tilism parh kar degdan ke niche dafan kare.
(35)
Agar koi chahe ke mera darja buland ho aur chashm e khalaiq
me aziz ho hudhud ke taj par asmaye tilismat parh kar us taj ko apne kalah me
poshida rakhe in sha Allah zi izzat aur jaleelulqadr hoga martaba buland hoga.
(36)
Agar kisi shaksh ko shab kori ho aur kisi trah aram na aata
ho to chahiye ke dahine ankh hudhud par wahi ism dam kare aur dahine bau par
bismullah parh kar bandh le zaroor shifa hogi.
(37)
Mahboob ko apne upar diwana karne ke liye chasm e chap
hudhud ko apne garden me latkaye tilism bhi tilawat karta rahe aur jumah ke din
yeh amal kare jabke qamar zaidunnor me ho.
(38)
Agar kisi ko bad e kham ho jaye to paye rast hudhud par
tilism ek bar parh kar apne bazu par bandhe khuda chahe to bad kham dafa ho.
(39)
Dushman ki zuban bandi ke liye paye chap hudhud par niyat
dushman ki kare aur ek bar tilism parhe to dushman ki zuban band ho jayegi.
(40)
Agar chahe ke kisi aurat ki shehwat bandhe to charm e
hudhud par ek bar tilism parhe fauran aurat basta ho jaye.
(41)
Phir agar chahe ke aisi aurat ko khol de to nakhun e hudhud
par ek bar parhe aur aurat ko bandhe filfaur kushada hogi.
(42)
Kisi se dosti karne ke waste teen par dahine bazu ke laye
aur ek bar tilism parh kar masjid me dafan kare in sha Allah zaroor dosti hogi.
(43)
Agar chahe ke do shaksh ke darmiyan judai ho jaye to teen
par hudhud ke bayen bazu ke laye aur tilism ek bar parh kar kisi ek band eke
mkan me daba de dono me judai waaqe ho jayegi.
(44)
Agar kisi mard ya aurat ka bazu shakista ho to hudhud ke
bayen bazu par tilism ek bar parh kar bandh len Khuda chahe to fauran bau thik
ho jaye.
(45)
Agar koi aurat banjh ho to hudhud ke dahine bazu ka gosht laye
aur aurat aqima ke kamar me bandhe to in sha Allah hamal tahar jaye aur aulad
ki khushi naseeb ho.
(46)
Agar kisi ko bao lag gai ho to istekhwan e hudhud par ism
dam karke bazu par bandhe shifa yab ho.
(47)
Agar kisi ko susti aur kasal ho to chahe ke hudhud ko zibah
karke khaye susti aur kasal jati rahegi.
(48)
Kisi ko bad sor ho gaya ho to post hudhud par ek bar tilism
parhe aur bandh le shifa yab ho.
(49)
Agar chahe ke do tan me judai ho to nok zereen hudhud aur
usko kisi mithi mashroob me hall karke dono ko khilaye fauran judai ho jaye.
(50)
Agar kisi ne zahar khala lia ho to lawe hudhud ko aur
khushk karke zahar khorda ko khilaye in sha Allah zahar kaargar na hoga.
(51)
Istekhwan e paye hudhud ko jo koi apne ghar me rakhe ga us
ghar se tamam balliyat door ho jayenge aur koi dushman uspar zafaryab na ho
sake.
(52)
Hudhud ki garden ko baryan karke khaye mariz sehat yab ho
aur quwat paye.
(53)
Istekhwan e hudhud ko ghise aur apne chehre par male phir
kisi sardar ya hakim ke samne jaye to martaba ziada ho.
(54)
Hudhud ki ankhon ko ghis kar apne ankho me lagaye to paryan
nazar aayen aur masakhkhar ho.
(55)
Hudhud ke khaba ko kahne wale har chand mujameat kare kabhi
maandah na ho.
(56)
Jo koi dahine taraf par hudhud ko apne pas ma tilism ke
rakhe chasme khalaiq me aziz ho aur kisi trah ka jadu tona ka asar na ho
dushman dost ban jaye.
(57)
Zuban e hudhud ko saya me khushk karke ladke ke gale me
daalen jo sune gay ad rakhega aur fasahat ho balaghat me mashhoor hoga.
(58)
Jo shakhsh hudhud ke tamam paron ko apne ghar me rakhega tamam
khawesh o aqrabah me aziz o mukarram hoga.
(59)
Khoon e hudhud ko gulab me milaye aur jisko apne ishq me
diwana karna ho uske ghar me dalwa de .
(60)
Hudhud ki zuban ko nauchandi jumerat ko naye roi me lappet
kar charagh e mohabbat me chanbeli ka tel dal kar kajal upare jab tak charagh
jalta rahe amal parhta rahe jab kam mukammal ho jaye,ab us kajal me rozana isha
ke 303 martaba amal parh kar dam karta rahe 21 din tak kare bad iske kajal tyar
hai jab bhi kajal lagana ho is bat ka khayal rakhe ke aaina dekh kar kajal na
lagaye jiske samne jayega woh piche piche khincha chala aayega.
(61)
Hdud ke dahine par se hub ka naqsh likhne se asar dobala ho
jata hai
(62)
Khoon e hudhud ko mushk o zafran me mila kar apne muhn par
male aur niyat uski kare jisey musakhkhar karna hai.
(63)
Maghaz hudhud ka khane me mila kar jisko khilaye woh
farmanbardar ho jaye.
(64)
Hudhud ka taj apne pas rakhe aur niyat apne mehboob ki taskheer
ka kare beshak musakhkhar ho.
(65)
Dahini ankh hudhud ko saya me khushk karke surma ke sath
ghis kar ankh me lagaye jo dekhe dost rakhe.
(66)
Agar bayen aankh hudhud ki nagina angushtari me rakhe jiske
names karna chahe meharban hoga
(67)
Jisko diwangi kamal ki ho sar e hudhud ko mushk o afran me
mila kar khilaye to diwangi jati rahe.
(68)
Agar kisi ko kam dikhai deta ho to lawe charbi hudhud ki
aur aur ankhon me lagaye Khuda cahahe to shufa yab ho.
(69)
Istekhwan e sina e hudhud ko apne pas rakhe chashm e
khalaiq me aziz ho har koi izat kare.
(70)
Gosht paye hudhud ka dushman ke ghar me jaleye to bilkul
wiran ho jaye.
(71)
Jo shaksh hudhud ke pair ko apne pas rakhe chashme khalaiq
me izzat paye
(72)
Istekhwane paye chap huduhd ko apne pas rakhe raaste me
kabhi na thake aur chalne me thakaan na ho.
(73)
Jo koi zuban hudhud ko apne pas rakhe aur aurat se mujameat
kare kabhi na thake.
(74)
Jo koi hudhud ka dil soti hui aurat ke dil par rakhe jo kam
usne kiye honge sab bata degi.
(75)
Maghaz hudhud ko taam me mila kar kisi ko khila de to woh
khate hi uska diwana ho jaye.
(76)
Jo koi huhud ka taj apne pas rakhe aur niyat apne mahboob
kare beshak aashiq ho.
(77)
Dahni aankh hudhud ki saya me khushk kare aur surma ke sath
ghis kar aankho me lagaye jo dekhe fida ho.
(78)
Agar bayen aankh hudhud ki tawiz bana kar bazu par bandhe
ya gale dale phir matloob ke pas jaye izat se pesh aaye aura z khud mohabbat
kare.
(79)
Hudhud ke nakhun aur apne bayen paon ke nakhun mitti ke
bartan me jalaye aur pees kar sharbat ka kisi sheerin chiz me mila kar ji kisi
shaksh ko pilaye to woh shaksh pilane wale ka mutee ho jaye.
(80)
Baroz yakshanba bad namaz zohar ba wozu ho kar hudhud ki
choti kaate aur qand siyaah me ya kisi sherni me mila kar mahboob ko khilaye ta
hayat juda na ho.
(81)
Itwar ya mangal ko ek hudhd nar jwan lekar zibah kare aur
uski zuban hasil kare jab zuban mil jaye uspar 21 martaba kalemat e zeil parh
kar dam kare phir usey gosht ke sath pakaye jab pak jaye to apne pas rakh le
jab jisko bhi woh zubna khila di jayegi woh musakhkhar ho jayega woh kaelmat
yeh hai .....
(82)
jo shakhsh hudhud ke nakhun aur apne nakhun jalakar kisi
aisi aurat ko khilaye ya pani me jisse
woh mohabbat klarna chahhta hai to woh aurat uski taraf aisi mail hogi ke uske
baghair ek saat bhi na rah sake
(83)
agar koi shakhsh hudhud aur ababeel ki ankh apne pas bataur
e tawiz rakhe to jo use mas karega fil faur use mohabbat karega,aur jo ussey
ladega maghloob hoga.
(84)
Agar insane aur hudhud ke dayen pasli ki haddi soye huye
admi ya aurat ke sar ke niche rakhi jaye to woh apne dil ka tamam hal bayan
karde.
(85)
Jis aurat ko hamal na teharta ho to haiz se pak hone ke bad
chand roz tak hudhud ke gosht ka shorba nihar mohn pina chahye faida hoga.
(86)
Huduhd ka taj lekar aag me jalaye aur tel me mila kar sar
me lagaye jowon ka khatema hoga
(87)
Hudhud paka ka rkhana marz e qaulenj ke dafiya ke liye
ikseer hai .
(88)
Hudhud ke khoon me jahan aur ausaf hain wahan yeh khasiyat
bhi hai hudhd ke khoon kko bataur e surma ankho me lagaya jaye to woh shakhsh
rat ko baghair roshni ke parhe .
(89)
Mohabbat ke liye hudhud ka dil e muzakkar aurta ko to
farefta ho aur agar uannas mard ka dil mard ko khilaye to mutee o farma bardar
ho.
(90)
Sehar ke zarye bandhe hue mard aurat ko kholne ke liye
........ sat andon par likhe aur tin tin ande dono khaye akhri ko chhuri se kat
kar adha mard khaye adha aurat insha
allah dono khul jayenge .
(91)
Agar gaye apne bache se nafrat karti ho to hudhud ki chonch
uske gale me latka di jaye woh bache se mohabbat karne lage.
(92)
Agar bacha neend me jhatke leta ho hudhud ke dayen paon ko
bache ke gale me dale jab yeh gale me latka rahe gfa yeh maraz na hoga.
(93)
Hudhud ke dayen pair ko gale me bandhe to gehri neend ayegi
aur bayan pai bandhe to qatan nind nahi ayegi.
(94)
Logon ke nazron se poshida hone ke liye hudhd ke pitte aur
ankh ko baham mila kar pure jism me malish kare aur uske khal ko do hiss akare
dahine hissa ko apne pas rakhe koi na dekh sake ga jahan chahe jaye.
(95)
Huduhd ki ankh aur uske pitte ko baham mila kar surma bana
len aur ankho me lagaye to khufia makhlooq nazar aye.
(96)
Agar kisi majma ko mutashar karna ho to us jagah hudhud ka
pitta chhidak de waha jama tamam afrad bhag jayenge.
(97)
Purani khansi ke liye hudhu ke par aur gosht ko jala kar
isye shehad me mila le nihar muhn chate khansi khatam ho jayegi aur jima ke
liye bhi mufid hai .
(98)
Jiski nazar kamor ho hudhd ka sar pareek pees kar ankh me
lagaye nazar tez hogi.
(99)
hudhud ka khoon supari me mila kar koot le phir jisko bhi
ek ratti usme se khilayenge woh apka wala o shaid aho jayega.
Note : tilismat e hudud ke talluq se jitney tibbi fwaid likhen hai
unko baghair kisi hakeem ya doctor ke mashwara ke na apnaye .wese in amal me
koi shuba nahi lekin fi zamana log utni feham nahi rakhte isliye ehtiyat se kam
le.
Isme mukarram jiska upar barha zirk aya hai woh ism e mukarram yeh
hai iska pehle amil banna chhaiye aura mil banne ke liye zakat deni shart hai
lihaza challis dino tadad swa lakh ki puri kare phir jisko jo karke dega
fdauran asar zahir hoga aur hudud se mutalliqa tamam roohaniyat musakkhar hogi.
Monday, June 1, 2015
Tilism Khatimul Uyoon Aur Nazar Bandi Ke Das Tilismati Aamal طلسم خاتم العیون اور نظر بندی کے دس طلسماتی اعمال (Tilism Khatim Ul Ayoon And Ten Magical Spell For Detention)
Tilism Khatimul Uyoon
Dunya e Tilismat Ke Das Hairat Anghez Tilismati Aamal
Bara e Nazar Bandi
Ulamaye Tilismat o Rohhaniyaat ne tilism khatimul uyoon ko nazar bandi ke silsile ke amaliyat ke bab me ek aisa jaame ul kamalat amal ki haisiyat se bayan kia hai ,is amal se mukhtalif tarakeeb par mushtamil bahut se amaliyat wabista hain is aetbar se is amal ko nazar bandi ke tamam tar aamal ki bunyad qarar dia jata hai.
Ulamaye fann ke irshadat o aqwal ke mutabiq jo shakhs is tilism ke mutalliqa aamal me se kisi ek amal ka amil ban jayega to sara jahan uska khidmat guzar aur taabe dar ban jayega aur woh amil har qisam ke amal se be parwaah ho jayega ke koi hajat uski baqi na rahegi eil me tilism khatimul uyoon ki ibarat e amal aur amal ke mtalliqa tarakeeb ke haamil mukhtalif amaliyat ki tafseel ko darj kia jata hai
ibarat e amal mulahiza ho
Nazar Bandi Ka Pehla SarTaj Amal
Saahib e Madarijul Burooj hakeem Jildaqi tilism Khatimul uyoon se wabista zeil ke amal ki tarkeeb ko bayan karte hue mazkoora tilism aur iske mutalliqa tarkeeb ki tafseel ke silsile me tahreer karte hai ke yeh tilism jaameul aamal tilism hai aisa tilism ke nazar bandi ke tamam asrar o ajaibat isme poshida hai hakeem farmate hain ke tilism khatimul uyoon ke mutalliqa amaliyat ke bab e nzar bandi ke haqaiq ka jame amal zeil ki tarkeeb ka tariqa mera zati taur par mujarrab o aazmuda hai jisko kaam me lakar saahiban e ilm o tadbeer jumla qisam ke amaliyat se be niyaz ho sakte hai.
madarijul burooj me mandarja zeil tarkeeb ke mutabiq is amal ke liye insani pitte ki zaroorat hai ,amil ko chahiye ke zohra ke mustaqimussair hone ke auqat me insani pitte aur apni khoon e fisad dono ko masawiul wazan hasil karke pees kar khushk kar le phir is sufoof ko roi me lapet kar iska fateela banaye aur insani khopdi me insani charbi ya gaye ki charbi ya gaye ka ghee dal kar fateela ko chiragh me jala kar iska kajal tyar kare is kajal ko bahifazat rakhe is kajl ka nam ramadul uyoon hai
jab is ramd ka amal karna maqsood ho to amil ko chahiye ke is kajal ko apni dono aankho ke lagaye aur tilism khatimul uyoon ko tilawat karte hue hazireen e majlis ki aankho me aankhe dal kar jis bhi manzar ka tasuwor pesh karega ,arbab e majlis us manzar ko ape ankho ke samne payenge ,hakeem raqam taraz hai ke amil yeh dikhana chahe ke woh asman par charh raha hai to iske liye radul uyoon ko ankho me laga kar tilism ke asma e mutazikkara ko parhe aur ek rasi lekar usey asman ki taraf phenke aur buland awa ke sath kahe ke hazireen e majlis mulahiza farmaye main is rassi ki madad se asman par parwaz karne jata hun,ispar logo ko yeh maloom hoga ke amil inke samne rassi pakar kar asman ki taraf ja raha hai halanki haqiqat me aisa nahi hota kiyunke amil to hazireen ke darmian hi baitha rahta hai lekin hazireen e majlis amil ki taraf se pesh karda manzar ke tasuworaat ko haqiqat me mushahida karrahe hote hain.
yeh amal humne bataur e namuna pesh tahreer kia warna is tarkeeb me amil apne quwat e iradi se jo bhi manzar hazireen ke samne pesh karna chahe kar skta hai ,jilan atras apni kitab assahar wal bayan me likhte hain ke is amal ke liye insani pitte ka husool na mumkin ho to iske badal par ban manus janwar jiska talluq bandar ki nasal se hota hai ,iska pitte ko bhi kam me laya ja skta hai yeh pitta bhi apne afaal o o khwas ke aetbar se ansani pitta ki jumla khususiyat ke barabar mufeed aur kar amad sabit hota hai.
chunanche jilan atras tahreer farmate hain ke nazar bandi ke is amal ki tarkeeb ke liye ban manus ke pitte se ramadul uyoon tyar karke mtaddid bar isko azmaya aur insani pitte se murakkab ramad ke barabar taseer paya hai,ashrah maqalat me hakeem hunain bin ishaq bhi is amal ke mutalliq bayan karte hain ke jildaqi ke is amal ko maine dono tariqo ke mutabiq azmaya hai chunanche ek martaba to ban manus ke pitte tarkeeb dekar aur dusri martaba insani pitta se tyar karke alahida alahida taur par iski haqiqat ka mushahida kia hai aur is natija par pohcha hun ke jildaqi aur atras dono akbireen ki taraf se bayan karda dono tarakeeb ke mutalliqa ajzaa is amal ke liye apne apne taur par nihayat saheeh aur motebar hain.
Nazar Bandi Ka Dusra Amal
Allama ba alki alaihirrahma khwasul huroof me tahreer farmate haike sanichar ke din sat atarad me jabke qmar masoodul haal ho amil sang e pusht yani kachhwe ko pakad kar jis trah munasib ho halak kare iska khoon hasil kare aur is khoon ko nihayat hi hifazat se sanbhal kar rakhe nazar bandi ke amal ka jab muzahira karna maqsood ho to is khoon ko amil pane dono hatho par male aur khushk hone de is amal ke bad amil hazireen e majlis ke samne khade hokar asmaye khatimul uyoon ko tila wat kare aur dono hatho ko khol kar majma ke samne karde hazireen me se jo shakhsh bhi amil ki kisi ek hath ki hatheli par ek martaba hi nazar dale ga to ski nazar bandh jayegi aur jis bhi manzar ka nam lekar pukare ga dekhne walo ko wahi manar nazar aayega ,raqimul huroof arz karta hai nazar bandi ke woh tamam kamyab o bekhata aamal jo tilism khatimul uyoon ke amal se wabista karke bayan kiye gaye hain agarcha inke kamyab o bekhata hone ke mutalliq kisi ka koi shak shuba nahi kia ja skta hai tahum unme nazar bandi ke is mal ko maine intehai sehlul husool samajhte hue khud azmaya aur tajarba ke bad sau fisad sahee paya meri taraf se sahiban e ilm o fun ke liye dawat aam hai ke woh is amal ko apne taur par aazmaye aur haqiqat e tilismat o roohaniyat ka mushahida karke in uloom ki sadaqat o haqqaniyat par itmenan e qalb hasil kare.
Nazar Bandi Ka Teesra Amal
qazi saaid apni mashhoor kitab niabeuttilismat me raqam taraz hai ke jisko nazar bandi ke amal ka shauq ho to woh zeil ke amal ko baja laye yeh amal asrar e tilismat se hai jiski madad se huzzar e majsil ke samne ajeeb o ghareeb manazir pesh kia ja skta hai qazi saaid ke tehqiqat ke mutabiq is amal ki sadaqat is bat se sabit hoti hai ke Ulame mutaqaddimeen o mutakhireen ne is tarkeeb ko apne apne mamulat o mujarrabat me badi tareef ke sath bayan kia hai qazi saaid likhta hai amil is amal
us waqt baja laye jab aftab burj e hamal ,asad ya qaus me ho ya shamsh o qamar dono kwakib nehas saiyargaan ki nazrat se pak ho.
tarkeeb ke mutabiq khar e pusht yani sehah janwar jiske badan par nokile qisam ke kante paye jate hain pakar kar halak kare aur uski charbi jis qadar bhi hasil ho sake bahifazat nikal kar rakhe yeh charbi nazar bandi ke liye nihayat mufeed chiz hai ,amil is charbi se katan yani alsi ke kapde ko tar karke batti banaye aur tanbe ya chandi ke chiragh me isi charbi ko bataur e tel dal kar amal ke liye rat ke waqt jis majlis me is chiragh ko raushan karega aur asmaye khatimul uyoon ko tilawat karte hue jis bhi manzar ke mutalliq jo bhi ajaibat pesh karne ka irada rakhta hoga uske mutalliq hazireen e majlis ke samne jo kuch bayan karega hazireen e majlis us manzar ko apne roo ba roo payenge aur khoob lutf andoz honge sahib e sirre maktoon o shamileen aur imam harmas ne apne rasail me is tarkeeb ki bahut tareef ki hai aur isey nazar bandi ke silsile ke amaliyat me mumkinul amal qisam ke tilism ke taur par bayan karte hue iski sehat par ittefaq kia hai .
Nazar Bandi Ka Chauthha Amal
Hukmaye fun kehte hain ke nazar bandi ke liye siah batakh ki khal khhench kar aur asfahani surma se dabaghat dekar mehfooz rakhen,is amal ke bad jab chand grahan lage to is khal par asmaye khatimul uyoon ke asmaye amal ko tahreer kare phir khal ki topi tyar kare amal ke waqt is topi ko sar par pehan kar hazireen e majlis ke darmiyan khade ho kar nazron se ghaib hojane ke manzar ka elan kare aur amal ki ibarat ko tilawat karke charo taraf phunke iske bad khud ankhe band karke khamoshi ke sath zamin par baith jaye amil jab tak apni ankhe band kiye zamin par baitha rahega us waqt tak woh ahle majlis ki nazro se ghaib rahega phir jab zahir hona chahe to topi ko sar par se utar kar alahida karde aur ankhe khol de nazar ane lagega , kitab duales me hakim suqrat is amal ko tehreer karte hue iski tafseel me likhte hain agarcha nazar bandi ka amal nazron se aojhal hojane ke liye makhsoos hai lekin iske bawajood is amal ka amil apne irade ki quwat se jo manzar bhi pesh karna chahe pesh kar skta hai hakem farmate hai yeh ajeeb o ghareeb amal mere amal o tajarba me khwas o fawaid ke etbar se ek lajawab amal sabit hua hai jiska amil darya ke kinare khade hokar pani par chalne ,rat ko din ,din ko rat kar dikhane ka manzar pesh kar sakta hai uyoonussehar aur kitab ibn e hallaj me bhi tilism khatimul uyoon ke amal ke mutalliq is tarkeeb ka zikr badi sharh o bast ke sath kia gaya hai.
Nazar Bandi Ka Panchwa Amal
Hakeem Qunyan bin anoosh apni kitab dosem me tehreer karte hain ke main ek taweel muddat tak mukhfiyat o roohaniyat ke bab me is fun ke asrar o nukat aur haqaiq o daqaiq o ghaur o fikr karne ke bad is natije par pohcha hun ke yeh ilm o fun sona aur chandi banane ki sanat se bhi ziada mufeed o akseer hai,hakim kehta hai ke yeh khudaye tala ka mujh par ek khas ehsan hai main ulamaye fun ki khidmat o tabedari aur mehnat o riyazat ke bad uloom e makhfia ke behre zakhkhar se maqdoor bhar hissah hasil karne me kamyab ho gaya hun ab jabke in uloom ke mutalliqa haqaiq mujh par munkashif ho gaye hain to iske sath hi main yeh zaroorat mehsoos karta hun ke apni kitab dosem me in uloom ka kuch hissah makhlooq e khuda ki behtari ke liye bayan kardun taake yeh zakhira faiz rasa.n hamesha ke liye baqi rahe hakeem is silsile ki tafseel ka zikr karte hue muqaddmatulkitab ke aakhiri hissah me likhte hain mere nazdeek uloom e makhfiyat ke jumla haqaiq ka raaz nazar bandi ke amaliyat me pinha hai,chunanche hakeem mausoof ne kitab dosem me nazar bandi ke maliyat ka ek azeem zakhira jama kardia hai in amaliyat me tilism khatimul uyoon ke amal ka bhi zikr milta hai jiski ajeeb o ghareeb tarakeeb ki tafseel ke liye hakeem ne ek lag bab likha hai,is haqeer raqimul huroof ne nazar bandi ke amaliyat se apni dilchaspi ke sabab jab is kitab ke amaliyat ka tarjama kia ti afsos nak surat e hal samne aai ke in amaliyat ke beshtar hissah par amal dar aamad nihayat mushkil hai kiyonke inme istemal hone wale anasir o haiwanat ka husool fi zamana nihayat mushkil ho gaya hai isliye is ziman me kitab dosem ke chand ek aise amal ko bayan kia gaya hai jo humare amal pazeer ho sakte hain zeil me tilism khatimul uyoon ke mutalliqa amal me se ek mujarrabul mujarrab amal ki tarkeeb o tafseel darj hai jiske mutalliq hakeem raqamtaraz hai ke nazar bandi ke amal me yeh amal sab se badh kar mufeed aur akseerul asar paya gaya hai is amal ke husool ke liye amil ko chahiye ke woh mausam garma me aise sehrai bakre ko jo gosht khor ban chuka ho pakad kar zibah kare aur uske bad darkht anjeer ki lakriyon ki aag jala kar is zabihah bakre ko us aag me dale ,amil bade ehtiyat ke saath is amal ke dauran barabar aag raushan rakhe aur jab maloom kare ke is bakre ke jism ka tamam gosht post aur haddiyan waghairah sab jal kar raakh ho chuke hain to aag ka jalana band kar de aur intezar kare ke aag bilkul thandi pad jaye jab aisa ho jaye to amil is janwar ki jali hui haddiyan ko ek ek karke uthata jaye is amal ke dauran in haddiyon me ek aisi haddi bhi amil ke hath lagegi jo bilkul saheeh o saalim halat me hogi aur ispar aag waghaira ka koi asar nahi hua hoga yehi haddi amil ka maqsood hoti hai, chunanche amil is haddi ko qabu karle aur baqi jo kuch mawad waghaira maujood ho usse pada rahne de ,hakeem kehta hai ke amil is haddi ko pehle pani se dhokar saaf karle phir tilism khatimul uyoon ki ibarat ko ispar tahreer karke apne pas mehfooz rakhe ,yeh haddi apne khasiyat ke etbar se nazar bandi ke is amal ki asal hai bawaqt e zaroorat amil is hadi ko ahle majlis ke samne karke jis bhi manzar ke liye kahega wahi manzar dekhne me aayega nazar bandi ka yeh sareeuttaseer amal el aisa amal hai jise ulamaye fun ki taraf se mujarrabul mujarrabn hone ki sanad hasil hai.
Nazar Bandi ka Saatwa.n Amal
Hakeem ladin tarabilsi kitab sirrul asrar me tilism khatimul uyoon ke ziman me insan ko haiwan ki soorat me tabdeel kar dene ka haqaiq ke hamil ek amal ko badi tareef ke sath pesh karte hue uski tarkeeb me tahreer karta hai ,urooj maah qamri me taslees zohra o atarad ke waqt garbah siyah nar o mada ko pakar kar zibah kar ke khoon ko kisi mitti ke bartan me ehtyat ke sath sanbhal kar rakhen ,is amal ke sar anjam dene ke bad dono janwar ko nai mitti ki handia me dal kar gul e hikmat karke ek shabana roz aag par rakhen taake bartan me maujood har ek chiz jal kar khak ho jaye ,phir handia ko aag par se utar le isme maujood mawad ko bahar nikale aur isme khoon e mazkoora bala shamil karke khoob pees kar safoof bana kar bahifazat rakh len , is raakh ko tilismat me ramad ka nam dia jata hai aur yehi rama nazar bandi ke is amal ki asal hai ,hakeem bayan karta hai jab amal karna maqsood ho to amil is ramd me se ek chutki bhar lekar hazireen e majlis ke se jis kisi ek shakhsh ke sar par isko dal kar asmaye tilismat ko parhe aur us shakhsh ko pukar kar kahe aey fulan haiwan ban ja ,baqudrat e ilahi woh shakhsh logo ko wahi haiwan maloom hoga jiska amil ne nam lia hoga.
Nazar bandi Ka Aathwa Amal
Harmus ne ifadaat me likha hai ke jab mushtari burj e sartan ke pandhrawi darja par nuzool kare to girgit ko pakar kar halak kar dalen lekin yeh ehteyat rakhen ke na uska sar zakhmi ho ne paye aur na hi uski koi haddi toote warna amal batil ho jayega iske bad is janwar ko amal e hunoot ke tariqa par khushk karke kamal e ehtyat ke sath sambhal kar rakh chhoden phir jab kabhi nazar bandi ke amal ko baja lana chahhe to is hunoot shuda janwar ko hazireen e majlis ke samne kisi chiz par buland karke rakhe ke tamam logo ki nigah ka markaz bana rahe amal baja late waqt sab se pehle asmaye khatimul uyoon ko tilawat karke charo taraf phoonke aur jis manzar ko pesh karna chahe uski tafseel bayan kare ,hazireen e majlis apne samne amil ke bayan karda ajaibat ko maujood payenge ,yeh manar us waqt tak baqi rahega jab tak janwarv mazkoor majma ke samne pada rahega aur amil ibarat e tilism ke kalemat ko tilawat karta rahega nihayat ajeeb o ghareeb amal hai.
Nazar Bandi Ka Nawa Amal
nazar bandi ke liye istekhwan e adam kohna jama karke pees le aur chalees roz tak chaurahe me dafan rakhe ,phir bahar nikal kar khushk karke safoof banakar rakh le.n , amal ke liye is safoof ko koilo par sulgaye aur tilism khatimul uyoon ko tilawat karke jis manzar ka tasuwoor pesh karenge dekhne walo ko wahi manzar dekhai dega, sahib e shumailussehar likhta hai is amal ka rat ke waqt baja lana nihayat pur ltf rehta hai.
Nazar Bandi Ka Daswa Amal
mushaf e bughdadi me mastooker hai ke zeil ka amal sab se badh kar ajeeb o ghareeb hai hukamaye unan aur ahl e kaldu suryan nazar bandi ke asal aamal ko isi amal par mauqoof samajhte hain,is amal ka aamil insani quloob o khayalat par ghalba hasil karke unke weham par tasullut kar leta hai aur is trah apne irade ki quwat se hazireen ke samne jo manzar pesh karna chahe pesh kar skta hai tarkeeb is amal ki yeh hai ke mosh dasti ko halak karke khushk kar le aur khushk karke pees le is trah jo safoof tyar ho usme shehad khalis ko shamil karke goliyan banaye har goli ek ratal ki ho zarurat ke waqt darakht kaneer ki lakdiyon ke koilo ki aag par jalaye aur asmaye tilism ka wird karna shuru karde ,yeh dukhna jis mehfil me raushan kia jayega arbab e mehfil amil ki taraf se bayan karda manazir ke ajaibat ka mushahida karenge wasil bin ata raqam taraz hain ke yeh amal mujarrabul mujarrab hai.
Zaroori Wazahat
is qisam ke tilismati aamal me baaz auqat aisi chizo ki zaroorat pesh ati hai jinke nam sunkar log shadeed mughalte ka shikar ho jate hain,aur apni kam fehmi aur la ilmi ki bina par aise aamal ko sifli amal kehna shuru kar dete hain samajhne ki bat yeh hai ke aise tilismati aamal ka talluq ilm e seemiyah se hai aur is amal ke zarye kisi ki hajat barari nahi hoti balke mahaz tamsha beeni hai jise dikha kar logo ko hairat me dalna aur daad wasool karna maqsad hota hai, han agar in aamal ko koi amil logo ko bewaqoof bana kar lootne ke liye istemal karega to goya zulm karega.aur jaha tak sifli aamal ka talluq hai to alag hai jiski tafseel kisi aur mauqa se pesh ki jayegi aam log yeh nahi jante ke shobdah bazi kise kehte hain aur sifli uloom kia hain lihaza nazar bandi ke in tilismati amal ko sifli ilm kehna durust nahi han yeh bat zaroor hai ke baaz aamal me woh ajzaa darkar hain kis ke husool par shariyat pabandi lagati hai to usse bachna bahar haal chahiye aur is qisam ke aamal darj karna takmeel e bab hai jise ahl e fun bakhoobi jante hain.
Subscribe to:
Posts (Atom)
Featured Post
AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق
Book Your Copy Now +91-9883021668
-
ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA KISI BHI NAAM KA ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA YEH HAI KE NAAM KE HUROOF KO MUFARRAD YANI ALAG ALAG LIKH ...