Hazirat Surah Muzzammil
Awal iski akat ada kare aur tariqa yeh hai ke panj shunba se shuru kare awal kuch naqdi sadqa kare phir har namaz ke bad 3-3 bar aur isha ke bad 41 martaba surah muzammil bila nagha chalis dino tak parhta rahe har martaba awal akhir durood sharif lazmi jane ,chaliswen roz tamam ka isal e swab kare aur mithai bachon me taqseem kare ab amil ho gaye aur zakat ada ho gai ab jab bhi hazirat karna chahen surah muzammil ka ek naqsh tyar kare jo ke musallas hoga is naqsh ke darmiyani khane me siyahi bhar den phir woh naqsh mariz ko deden ke woh is siyahi wale khane ko baghaur dekhe ,ab amil surah muzammil parhna shuru kare chand hi lamho ke bad is surat ke tabe muakkilan hazir honge unke nam yeh hain
LOMAIL LOKHAIL ROYAIL TATAIL
jab marizko yeh dikhai de.n to inki awaz bhi sunai degi chahye ke mariz ke zarye apna salam kahlaye aur phir mariz par qabiz aaseb, sehar, jadu,asarat waghairah aur shiyateen ko is muakkilan ke zarye qaid karaye ya jalaye ya dafa karaye yeh amil ke swabdid aur maraz aur mariz ki kaifyat par munhasir hai...naqsh surah muzammil yeh hai.