Istekhara Bismillah Shareef
Ek Aasan Aur Mujarrab Istekhara
aksar log asan aur mujarrab istekhara poochhte hain wese to bahut sare asan aur mujarrab istekhare hain lekin yeh istekhara nihayat asan aur aazmoda hai ,jis kisi ko ksi kam me hath dalna ho aur nahi janta ke isme iske liye khair hai ya nahi to chahiye ke do rakat nafl ba niyat e istekhara ada kare har do rakat me surah fateha ke bad surah ikhlas 40 bar parhe bad salam pherne ke ek hazar martaba Ya Khabeeru Akhbirni parhe awal akhir durood sharif 11 bar phir pak bistar par baith kar bayen hath se dayen hath ki hatheli par kali siyahi se mandarja zeil naqsh likhy aur apna hath apne sar ke niche rakh kar so jaye aur apne maqsad ko zehan me rakhen ke maslan fulan kam mere liye kaisa hai , fulan kam me mere liye kia hukm hai ان شا اللہ pehle ro hi ap ko khwab me jwab mil jayega warna tisre din to zaroor bizzaroor mil jata hai baz auqat bajaye alam e roya ke jwab bedari me bhi mil jati hai woh naqsh jo hatheli par likha jayega yeh hai.