Showing posts with label Get Rid Of Bad Habits. Show all posts
Showing posts with label Get Rid Of Bad Habits. Show all posts
Thursday, July 7, 2016
Wednesday, June 29, 2016
Hifz e Qur'An Aur Ilm o Hikmat Ke Liye حفظ قرآن اور علم و حکمت کے لئے ( Remedy For Memorizing Quran And Excellency Of Knowledge)
Hifz e Qur'an Aur Ilm o Hikmat Ke Liye
Jo shakhs ya talibiilm yeh chahta ho ke usey Quran e muqaddas aur deegar uloom o hikmat ba aasani yad ho jaye aur shaitani waswase aur kahili se mahfooz rahe to usey chahiye ke is ayat e mubarka ko chini ke plate me ya butter papper par zafran aur ambar se tahreer kare aur subh nihar munh aab e zamzam aur arq e gulab se dho kar pi lia kare kahili susti aur kund zehni ka shafi ilaj hai aur quwat e hafiza aisa ho ke Quran o Sunnat aur digar uloom e dunyawi se jo yad kare kabhi na bhoole aur dil se waswasa dafa ho jaye ayat e mubarka yeh hai .
بسم اللہ الرحمن الرحیم
والنجم اذا ھوی ما ضل صاحبکم وما غوی وما ینطق عن الھوی ان ھو الا وحی یوحی علمہ شدید لقوی ذومرۃ فاستوی وھو بالافق الاعلی ثم دنا فتدلی فکان قاب قوسین او ادنی فا اوحی الی عبدہ ما اوحی ما کذب الفواد ما رای افتمرونہ علی ما یری ولقد راہ نزلۃ اخری عند سدرۃ المنتھی عندھا جنۃ الماوی اذ یغشی السدرۃ ما یغشی ما ذاغ البصر وما طغی لقد رای من ایت ربہ الکبری
والنجم اذا ھوی ما ضل صاحبکم وما غوی وما ینطق عن الھوی ان ھو الا وحی یوحی علمہ شدید لقوی ذومرۃ فاستوی وھو بالافق الاعلی ثم دنا فتدلی فکان قاب قوسین او ادنی فا اوحی الی عبدہ ما اوحی ما کذب الفواد ما رای افتمرونہ علی ما یری ولقد راہ نزلۃ اخری عند سدرۃ المنتھی عندھا جنۃ الماوی اذ یغشی السدرۃ ما یغشی ما ذاغ البصر وما طغی لقد رای من ایت ربہ الکبری
amileen hazraat is ayat ko androon e bait قولہ الحق ولہ الملک likhe aur aam log mahaz ayat likh kar kam chalayen baraoz chahar shanba saat awal me jis qadar ho sake likh kar rakh len faqeer ki janib se tamam ahbab aur membran ko ijazat hai ,behtar hai ke chalis din musalsal pilaya jaye warna 120 din aur chahe to ayat e mazkoora bala ki noorani loh Idara Roohani Imdad se mangwa len yeh loh hajatmandon ke nam ma walida se tyar ki jayegi aur jo hazraat loh mangwane ki isteta'at nahi rakhte ho.n woh in aayat ko bataur taweez likh kar bandh le.n
Tuesday, June 28, 2016
Chiragh e Adawat چراغ عداوت (Lamp For Enmity)
Chiragh e Adawat
Bughz o adawat aur tabahi o barbadi e dushmana ky liy yeh chiragh ek roohani tohfa hai is ki tyari me qahar o jalal wali chuninda Qur'ani ayat aur makhsoos asmaye suryani shamil ki gai hai,matlooba saiyargan ke nahas nazraat aur digar amaliyati qwaid kw malhooz rakhte hue is chiragh ki tyari amal me aai hai is chiragh ki mukhtasar khasiyat darj zeil hai( agarcha iske elawa bhi bahut sare mawaqe aise hain jin me yeh kam deta hai)
1.Do mard o aurat ke darmiyan najaiz rishta o talluqat ko jad se khatam karne ke liye
2.Na farman aur be haya biwi ko raahe raast par lane ke liye.
3.Naujawan ladko aur ladkiyon ko kisi ke ishq me tabah hone se bachane ke liye
4.Dushmano ko dushmani se baaz rakhne aur shikasht dene ke liye.
6.Talaq waaqe karne aur zalim shohar ya behaya biwi se chhutkara hasil karne ke liye.
7.Hasideen ke hasad se hifazat ke liye.
8.Kisi ka najaiz karobar band karane ke liye
9.Kisi jagah ya makan se najaiz qabza khatam karane ke liye
10.Zalim aur badkaar insan ko bimar dalne aur uske shar se mahfoozi ke liye.
11.Najaiz faisle ko rokne aur ghalat faisla karne walon ki saza dene ke liye.
Wednesday, April 27, 2016
Buri Adat Chhurdane Ka Amal o Taweez بری عادت چھڑانے کا عمل و تعویذ (Amulet for Rid of Bad Habits)
Buri Adat Chhurdane Ka Amal o Taweez
yeh amal khususan un logon ko raahe raast par lane ke liye hai jo af'aal e bad najaiz maslan chori,zina,sharb khori,aghlam bazi,najaiz talluqat memubtala rahte hain unke liye yeh amal manind e ikseer hai is me is qadar taseer haike pahar bhi reze reze hokar ud jaye.n lekin aroorat hai yaqeen e kamil ki ayat mubarka اھدنا الصراط المستقیم ke aadad bamojib abjad qamri nikale.n aur adad ya hadi bhi nikale.n phir us shaksh ke nam ke aadad ma walida nikal kar tamam jama kar le.n inko naqsh e muraba chal aatishi se pur kar le.n kul adad se 30 tafreeq kar ke baqi ko char se taqsim kare.n hasil qismat ko khana e awal me rakh kar naqsh pur kare.n agar baqi ek ho to khana 13 me do ho to khana 9 me tin ho to khana 5 me ek ka izafa kare.n likhne ka tariqa yeh hoga ke jis shaksh par amal kia ja raha hai uska sitara maloom kar len agar tarikh paidaish malum na ho to phir us shaksh ke nam ke adad ma walida bara se taqseem karke jo burj maloom ho uske mutalliqa sitare ko hi uska sitara tasauwor kia jaye aur jis is sitara ke sath qamar ki naqzar taslees ho is sitara ki saa'at me 41 adad naqoosh tahreer kare.n ab rozana ek naqsh pani me bhigo de.n dusre din nihar munh pani pila dia kare.n agar isko pahna sake to ek aur taweez likh len aur gale me latka de.n naqsh ke niche hasb e zeil ibarat tahreer kare اھدنا الصراط المستقیم یا ھادی فلاں بن فلاں کی فلاں بری عادت ختم ہو جائے fula.n bi fula.n ki jagah nam ma walida aur dusre fula.n ki jaga aadat ko mukhtasar likhe.n jiska chhudwana maqsood ho,ان شاء اللہ woh shaksh buri adato.n se yaqini baz aajayega aur tauba kar lega.
HAR QISAM KI BURI ADAT SE CHHUTKARE KE LIYE HUMARE YEHA SE LOH ISLA E QALB BHI MANGA SKTE HAI.
http://sufiimranrazvee.blogspot.com/2015/07/lohe-islahe-qalb.html
Subscribe to:
Posts (Atom)
Featured Post
AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق
Book Your Copy Now +91-9883021668
-
ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA KISI BHI NAAM KA ADAD NIKALNE KA AASAN TARIQA YEH HAI KE NAAM KE HUROOF KO MUFARRAD YANI ALAG ALAG LIKH ...