Sehar Jadu Ki Tabah Kaariyan Aur Uski Pehchan
Mukhtasar pehchan sehar ki bayan karta hu taake shaiqeen amaliyat ko baja e dushwari ke asani ho aur amileen hazraat ke ilm aur tajurbe me khasa izafa ho jaye
Awal Alamat
yeh hai ke do mia biwi apas me mohabbat o ulfat se zindagi guzar rahe hain yakayak mard w aurat me tanazo ki shakal khadi ho jaye aur ek dusre ki shakal se bezar ho jaye.
Dusri Alamat
yeh hai ke aurat apne shohar ki mohabbat me farefta ho aur sehar karke usko bargasta kardia jata hai aur woh shohar ki shakal dekh kar aag bagola ho jati hai.
Teesri Alamat
tessri alamat yeh hai ke aurat apne shohar ke ausaaf bayan karte karte nahi thakti balke rat din shohar ki mohabbat ka dam bharti hai magar sifli sehar ke zarye usko badzan aur mutanaffir kar dia jata hai aur uske shohar ki shakal misl kutte aur khinjeer ke nazar ane lagti hai.
Chauthi Alamat
yeh hai ke naujawan khubsoorat haseen ladki hone ke bawajood rishta wale ladki dekh kar uchat ho jate hain aur rishta se inkar kar dete hain is tarah arsa daraz guzar jata hai,
Panchwi Alamat
yeh hai ke ladkiyon ke rishta aana band ho jate hain yani baghair dekhe hi log bad zan ho jate hain uske zikr se dil me nafrat aur uchat pan hone lagta hai.
Chhati Alamat
Mard apni biwi bacho par mohabbat me jan deta hai magar sehar zada hone ke bad nafrat karne lagta hai aur samjhane wala bhi dushman lagta hai.
Saatween Alamat
yeh hai ke bhed bakriyan gaye bhains yani doodh dene wale janwaron par kia jata hai uske rasta me dal dete hain in janwaron ka doodh sookh jata hai bacha mar jata hai doodh pine wale bimar ho jate hai
Aathwin Alamat
yeh hai ke jo ke chaupayon ke liye makhsoss hai is sehar ke karne se janwar ke jodo me dard hota hai aur janwar ghas khana chhor dete hain aur barwaqt unka ilaj na hua to mar jate hain.
Nawin Alamat
yeh hai ke yeh sehar doodh dene wale janwar aur bacha janne wali maaon par kia jata hai khwah janwar ho ya aurten iske karne ke bad bacha pet se be waqt zaya ho jata hai.
Daswin Alamat
yeh hai ke sehar ke zarye khas kar aulad ko nishana banay jata hai yani nau molood aur sheer khwar bache par yeh sehar kia jata hai aur bache sookh kar mar jate hain.
Giyarweeh Alamat
yeh hai ke taale sunbla me baroz mangal ya juma ek putla atarad ka raaste me dal dete hain woh putla jis aurta ke pairon me aayega us aurat ke yehan ladkian hi paida hongi ladka na hoga.
Barhwin Alamat
yeh hai ke mard ko basta katdia jata hai yani woh mard humbistari ke qabil nahi rahta.
Terhwin Alamat
yeh hai ke dulhan ko apne shohar se ya jisse basta kia hai uske sath hum bistari se nafrat hojati hai.
Chodhwin Alamat
yeh hai ke mard ke jodo me dard paida kardia jata hai aur mard bekar ho jata hai
Pndhrawin Alamat
yeh hai ke aurat ke pet me ya sar me pani paida kia jata hai.
Solhwin Alamat
yeh hai ke sehar zada hone ke bad aurat rang badalne lagti hai thodi der ke bad tabdeeli ronuma hoti hai aur shakal bhayanak ho jati hai.
Satrahwin Alamat
yeh hai ke aurat ko bandh dia jata hai aur aurat aqeema yani banjh honjati hai mahwaari bhi hoti rahti hai magar isteqrar e hamal nahi hopata
Atharwin Alamat
yeh hai ke sehar ke zarye kisi bhi shakhsh ke rozgar ko band dia jata hai aur sehar zada ka mal o asbab talf ho jata hai maweshi mar jate hain aaye din nuqsan ka samna rahta hai.
Uniswin Alamat
yeh hai ke rishta e azdwaji munqata kardia jata hai aur mard o aurat juda juda ho jate hain.
Biswin Alamat
yeh hai ke is qisam ke sehar ke zarye kisi ghar ko wiran o barbad kar dia jata hai us ghar ki khair o barkat ud jati hai mohabbat o ulfat jati rahti hai ek dusre ko log dushman samjhte hain rat din jhagda rahta hai.
Ikeeswin Alamat
yeh hai ke matlooba shakhsh ko khwah mard ho ya aurat shadeed qisam ki bimari me mubtala kardia jata hai aur kisi surta bhi sehat yab nahi ho pate.
Baiswin Alamat
yeh hai ke is sehar ke zarye mard ho ya aurta usko zalil o khwar kar dia jata har koi unse bila waja nafrat karne lagta hai aur koi aetbar nahi karta.
Teiswin Alamat
yeh hai ke sehar ke zarye kisi afsar ya hakim ya mulazim ko nokri se ya afsar ko ohde se hata dia jata hai sehar zada hone par nokri o ohde se muattal ho jata hai.
Chobiswin Alamat
yeh hai ke ameer ko , raees ko , tejjar ko , wazeer ko, ohde se gira dia jata hai aur faqeer o kangal bana di jata hai .
Pachiswin Alamat
yeh hai ke is sehar me aurto ko ujad dia jata hai yani talaq dila di jati hai jab tak is sehar ka dafiyah na hoga to kitne hi nikah karti jaye sab munqata hote rahte hain.
Chhabbiswin Alamat
yeh hai ke is sehar ke arye hakim ya afsar ko tabadle par pohcha dia jata hai aur shahar se door kar dia jata hai.
Sataiswin Alamat
yeh hai ke sehar ke zarye khubsoorat haseen aurat ke husn o jamal ko kharab kardia jata hai jis ki waja se woh apne paraye ki nigah me zalil o khwar ho jati hai.
Athaiswin Alamat
yeh hai is sehar ke zarye har taraqii ko masdood katdia jata hai yehan tak ke tameer shuda makan ujad dia jata hai us ghar me koi abad nahi ho pata balke wiran rahta hai jo bhi makan me ata hai jald hi chhod kar bhag jata hai.
sehar ki aur bhi bahut qisme hainitni hi alamto par iktefa karta hun taake mazmoon ziada taweel na ho jaye aamileen ko chahiye ke har woh amal noori ho ya sifli makhlooq e khuda ko zarar pohchane ke liye na karen ,aamileen jahan makhlooq e Khuda ki hiofazat aur behtari o falah o bahboodi ke liye koshish karta hai awal apni hifazat karn abhi zaruri hai yani ikl e halal sidq e maqal aur pabandi e shariyat som o salat ka ehtemam rakhna az had zaruri hai tabhi makhlooq e khuda ki saheeh mano me khidmat anjam de sakta hai aur swab e darain hasil kar skta hai ,wehmmiyat aur laghwiyat se darogh goi se aur khurafat o wahiyat se door rahna chahiye imraz ka ilaj aur aqaid i islah karni chahiye taake apna aur dusro ka bhi iman mehfooz salamt rahe.