Agar kisi ke maal , zamin ya kisi aur asbaab par ya izzat o aabru ka koi naa haq daawe daar ban kar zulm kar raha hai aur mazloom chahta ho ke us zalim qaabiz ke naa haq qabza se najaat mile to usey chahiye ke 7 din tak zohar ki namaz ke bad 1100 martaba ba wuzu ye aayat parh kar dushman ke dafa hone ki dua kare in sha Allah ek hafta ke musalsal amal se dushman se najaat mile gi.