Thursday, July 6, 2023

NAQSH SURAH FATIHA

 

Yeh Naqsh Surah fatiha Ka Shifa e Amraaz , Talab e Hidayat aur har maqsad me kamyabi ke liye umdah hai isey jumerat ke din subh ke waqt likha jaye aur 41 martaba surah fatiha parh kar dam kia jaye aur istemal me layen 

      har banda e khuda khud apne liye likh sakta hai ya kisi likhne wale se likha le Allah tala barkat farmaye.

Note: Naqsh ke a'daad mutabiq Amal e Raza ke hain , jisme digar tamam choti badi surto.n ke adaad mahalle nazar hai , chunke aksar nuqoosh tajribe se mossar sabit hue islye awamunnas aur amileen ko istifaade se gharaz hona chahiye.

         Ha.n albatta  har ek surat haaye quran ke  adaad ka saheeh istikhraaj  bila shubha ek fanni zarurat hai , Arsa Qabal faqeer e Quadri ne apne mamool ke kai ek badi surto.n ke adaad az khud nikale, aur ab bhi yeh mamool e matab hai.n.

          ab thoda thoda karke har ek surat par kaam jari hai Allah ne chaha to ek mustaanad bayaz Nuqoosh e Quraani ki tarteeb de di jayegi . jise hum AL AUFAAQ me.n gaahe gaahe shaya karte rahenge in shah Allah.

Sufi Muhammad Imran Razvi Al Quadri


Never miss out on future posts by Follow this blog

 نئے پوسٹ اور مضامین سے باخبر رہنے کے لئے فالو کیجئے

Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668