Lohe Taskheer e Khalq ka tareeqa e kaar aur
iske lauh ki mukhtasar khaasiyat darj ki jati hai.
Is
Loh ko pas rakh kar jis mehfil me jaayen logon ki tawajja ka markaz bane
Is
Loh ke haamil ke liye har mard o aurat ke dil me be panah izzat qaaim ho
Loh
e mazkoor ko apne paas rakhne wala kisi se kuch talab kare to usey zaroor mil
jaye
Agar
kisi hakim ya leader se apni baat manwani ho to who zaroor mane ga
Kisi
jaani dushman ka saamna karna pare to is loh ko apne paas rakhen koi nuqsaan
harghiz na ho
Agar
kisi par rupai nikal raha ho to is loh ki barkat se uska dil paise dene par
aamada ho jayega
Koi
shakhsh bank se qarz lena chahta ho to is Loh ke wasile se rukawat door ho
jayengi
Apne
pasand ki jagah shadi karne ke liye is Loh ko apne pas rakhen
Agar
ladki ya ladke ke baaz rishtedaar shadi me rukawat bante ho to iska hall nikal
jaye
Susraal
me jin bahuwon ko izzat nahi milti yeh Loh unke liye bepanah izzat aur hifazat
ka sabab banta hai
Doctor
,wakeel , samaji leader dokandar waghaira aise log jinki aamdan ka madaar
logon ki aamad o raft par ho yeh Loh unke liye ek nemat hai
Is
Loh ka haamil khwah mard ho ya aurat uske chehre me ek ajeeb si kashish paida
ho jati hai
Khubsoorti
me mazeed izafe ki khatir is loh ka istemal nihayat mujarrab hai
Jisne
purani dushmani ho unke dil bhi is loh ke rakhne wale ke liye pighal jate hain
Is
loh ko istemal me laane wale ki aisi shohrat ho ke har shanasa hairaan o shasisdr
rah jaye
Gharaz
yeh ke taskheer e makhlooq ka ek ajeeb tilism hai jiske khwas bohat ziada hain
aqalmand ke liye mahaz ishara kafi hota hai ab aaiye is loh ke banane ka
tareeqa mufassal mulahiza kare’n jo youn hai
aayat
taskheer me se kisi aayat ka intekhab kia jaye maslan لقد جاءکم رسول الخ le iske adad me apne naam ma walida
ke adad shamil karle’n aur phir 41 tafreeq kar dale’n aur jo bar aamad ho unko
huroof bana kar aage kalma eil lagaaye’n jisse moakkil ban jayega phir ek
takseeri satar is taur par taiyar kare’n ke pehle naam ma walida ke huroof
likhen iske baad aayat taskheer ke huroof e mufarradah ab is takseer ko sadr
moakkhar kare’n iske bad is takseer ke pehlooye raast aur pehlooye chap ke
huroof utha le’n aur inko alaahida alaahida sutoor me likhen aur huroof ko shumar
karte jaayen agar ek satar me juft huroof hon to char char kalme aur taaq
huroof hon to teen ya panch kalme bana len jis qadar jumle hon unke aage kalma
yoosh یوش lagaye’n is tarah a’waanul amal bar aamad ho jayega iske bad takseer ke
jumla huroof ke aadad abjad e qamri se nikal kar inme se 319 adad tafreeq kare’n
aur baqaaya adad ke huroof bana kar isme kalma taesh طیش lagade’n yeh jinnatul amal
ka naam bar aamad hua ab chahiye ke kul takseer ke aadad qamri ko naqsh e
mukhammas me pur karen aur naqsh ke har chahar janib aewanul amal ke asmaa ko
likhen aur naqsh ki doosri janib ek farzi taswer banayen jisme shakal o surat
waazeh na ho ke yeh shariyat me mamnoo balke haraam hai bas aisi ke lage han
kuch mabham si baghair naak ankh ke ho ,ek mard kursi nasheen aur iske
saamne khilqat ka hujoom ho ab mard ke sar par moakkil ka naam likhen aur
makhlooq ke saro’n par jinnatul amal ka naam tahreer karen aur is mabham
tasweer ke ird gird oopar niche daaye’n baaye’n a’waanul amal ke asmaa ko likh
dijye (agar badshah ki taswir na bhi banaye to koi khas faraq nahi parega yeh nukta zehan nasheen kar lijye) bas yeh LAUHE TASKHEER KHALQ JAFRI taiyar
hai
is
loh ki tyari me aksar ghalati waaqe ho jaya karti hai kyonke isme takseeri amal
hai jis me zara si ujlat ya la prwahi se sari mehnat akarat ho jati hai lihaza
iska khas khyal rakhna hai Allah Tala hume ilm naafe ata farmaye Ameen.