Taweez Kaam Kiyoun Nahi Karta
Alwah Sazi Aur Naqsh Nawesi ka Ek Gosha
Alwah Sazi Aur Naqsh Nawesi ka Ek Gosha
Naqsh bharna bazabta ek funn hai aisa nahi ke qalam uthaya aur kaghaz par lakeer khench khench kar koi taweez nawes ban jata hai balke iske liye husool e ijazat ke bad zakat e naqoosh ki jin dushwar guzar aur sabar aazma marhalon se guzarna parta hai yeh ek kohna maqsh Amil hi bata payega ,naqoosh aur alwaah ki tyari me kis qadar ehtyat barta jata hai aur kaisi hazir dimagi darkaar hoti hai yeh fun se waqif afrad bakhoobi jante hain ,behamdihi tala main apni 17 sala roohani safar me naqsh nawesi ke talluq se be shumar poshida haqaiq aur ma'auarif se ashna hua hun jisey ahata e tahreer me lane ke liye mujhe ek lambi tateel aur fursat ke lamhat chahiye fil waqt main ap hazraat ko sirf itna batana chahta hun ke jab ap taweez likh rahe hote hain to us waqt apke qalam par do qisam ki qoowaten mtasarrif hona chahti hain ek roohani quwat aur dusri shaitani quwat har do quat apne kam me lagi rahti hai jab roohani quwat ke zer e asar apka qalam chalta hai to apko farhat o anbisat aur suroor hasil hota hai aur naqsh ke aadad ya huroof bilkul sahee sahee tahreer ho rahe hote hain aur jab qalam par shaitani quwat apna tasurruf jama leti hai to na chah kar bhi qalam se laghzish hona shuru ho jati hai ap likhna chahenge 6 likha jayega 5 ayat kuch likh rahe honge beech me izafi lafz jud jayega,aur sath hi mizaj me uljhan paida ho jati hai phir aap jab chahenge ke is ghalat likhe ko saheeh kar lia jaye to isse mazeed roohani bechaini me izafa hojata hai kiyon ke jaise hi ap naqsh par overwrite karenge woh naqsh bejan o be asar hokar rah jayega ek aham nukte ki taraf ishara kar dun kabhi aisa hota hai ke apne koi adad ghalat likh dia maslan 2 likha use 3 hona tha to agar baghair overwrite ke yeh 3 ban jata hai to khair warna Loh ya naqsh bekar samjhen isi par huroof ko bhi qayas kijye ,Loh sazi aur naqsh nawesi ke dauran yeh kashmakash aur ankh micholi ka khel sarkash jinnat aur naqsh ya loh ke taabe noori mawakkilan ke darmiyan jari rahta hai ,baharhaal agar khuda nkhwasta naqsh overwrite hogaya to samjhe ke mehnat akarat ho gai phir se dobara likhna hoga ,mai bade bade naqoosh banata hu aur mujhe aksar aisi surat e haal se do char hona pada hai natijatan 4 ghante ki mehnat 4 minute me khatam ho jati hai humare yeha kisi bhi naqsh ya loh ki taiyari me in jaisi baton ka khas khayal rakha jata hai yeh to ek jhalak thi naqsh nawesi aur alwah sazi ke talluq se jo ke ek aam insan ko bhi ghaur karne par dikhta hai lekin is tarah ke sainkdon asraar aise hain jin se likhne ke waqt sabqa parta hai jin ka bayan karu to mustaqil ek kitab ban jaye..yaad rakhe.n Naqsh Nawesi aur Alwaah sazi ka fun aur iske asrar baghair kamil ustad ke kisi ko meassar nahi aaskta chahe jitni naqal karta phire.