Amaliyat me ek bunyadi mas'ala zakat ka hai aksar aamileen isko nazar andaz kar dete hain natije ke taur par unhe jagah jagah nakami ka samna karna parta hai peshawar aamileen to nakam hone par bhi jhoot sach bol kar kaam chala lete hain lekin pareshani aur mayoosi moahqqiqeen aur un awamunnas ko gher leti hai jo apni masaail ke liye aamileen ke pas aate hain isliye un tamam hazraat ke liye zakat ki adayegi zaroori hai jo is raah me qadam rakhne ka irada rakhte hain akabireen ki tahqeeq ke mutabiq zakat ki haqiqat yeh hai ke Haq ta'ala ne apni qudrat e kamila se har har urf par Qur'an ki har har ayat par aur apne tamam asma par malaika ko musallat kar dia hai aur har har hurf ka talluq kisi na kisi firishte se wabista hai phir har woh firishta jo kisi ayat ya hurf par nigran ho woh haisiyat bamanzila sardar ke hota hai phir uske matahat aur bhi firishte hua karte hain jo Allah ke banaye hue qanoon aur zabte ke mutabiq apne sardar ke hukm ki tamil karne par majboor hain aur har hukm baja laate hain yeh bat bilkul aam faham hai ke humare hukm ki taamil wahi shakhsh karega jisse koi talluq ya ta'ruf hoga be talluq aur bila ta'ruf agar koi kam aajaye to yeh mahaz ek ittefaqi amar hai warna is dunya me kam usi ka kia jata hai jisse koi shanasai ho aur kisi tarah ka uns bhi is haqiqat ke pesh e nazar zara sochen jin muakkileen ya malaika se humara kisi bhi tarah ka koi ta'ruf ya talluq na ho aur hum us ayat ka amal karne chalen jis ayat par woh bataur e nigehban ya hukmara.n musallat hai to bhla yeh kaise mumkin hai ke amal me taseer paida ho jaye yeh chiz apni jagah atal hai ke har chiz marziyat e khudawandi hai lekin yeh bat bhi apni jagah musallam hai ke asbab o alal ki is dunya me jab kisi afsar ki safarish se humara kam banta hai tab bhi
marzi e maula ko isme dakhal hota hai malik e haqiqi ki marzi ke baghair na kabhi kuch hua hai na kabhi kuch hoga isi tarah amaliyat ki rah me firishton aur moakkilat ke zarye koi kam banta ho ya ban jaye tab bhi usme marzi e maula o izn ka usme dakhal hoga lekin jis tarah asbab ki is dunya me yeh aqidah rakhte hue ke Allah hi ki marzi se sab kuch hota hai hum balai logon se safarish karate hain aur afsaran ki khusamad karte hain isi tarah amaliyat me taseer paida karne ke liye malaika aur muakkileen se shanasai paida karna aur unke zarye kam karane ki jiddo johad karna tauheed ke manafi nahi yaqeen baharhaal dil me yeh hona chahiye ke karne wali zaat Haq Ta'ala ki hai han usne apne muqarrab bandon ko quwat bakhshi hai beiznillah woh bhi mutasarrif hain ap ne dekha hoga beshumar log is dunya me amal karte hain lekin aksar log apne amal me nakam ho jate hain aur matlooba taseer samne nahi aati to iska saf matlab yeh hai ke amal me kahin na kahin koi kami baqi rah jati hai jis ki waja se amal be taseer hokar rah jata hai warna is dunya me koi bhi chiz aisi nahi hai jo beiznillah moassar na ho lekin har chiz apna asar usi waqt dikhati hai jab usey qaide aur tareeqe se istemal me laya jaye kisi chiz se faida uthane ke liye neki aur badi bhi koi mufeed ya maane nahi banti agar tareeqe se kaam kia jaye to bura aadmi bhi kuch na kuch le udega aur agar be qaida kam kia jaye to nek aur parsa admi bhi kamyabi se mehroom rahega islye asbab ki is dunya me kamyabi se hamkanar hone ke liye manzil ki taraf saheeh qadam uthana zaroori hai zahar ka piyala nek admi piye ya badkaar admi zahar apna asar dikha kar rahe ga aur isi tarah taryaaq ka istemal bura admi kare ya bhala admi .uska asar bhi zahir hokar rahega sheerni sab ke liye mithi hoti hai namak sab ke liye namkeen hota hai neem sab ke liye kadwa hota hai aisa nahi hai ke neem nek admi ke munh me ja kar apna zaiqa badal de aur mithi ho jaye aur aisa bhi nahi ke koi meethi chiz bad kirdar admi ke munh me jakar apna maza badal de aur talkh ho jaye bahar hal asbab o alal ki is dunia me agar hum apne maqasid me kamyabi chahte hain to mehnat ,lagan aur saheeh raaste ko ikhtyar karna zaroori hai warna masiwa nakami aur waqti kamyabi ke siwa kuch bhi hath na lagega
amaliyat me zakaat ki adayegi usi trah zaroori hai jis tarah nama me wozu shart hai bahair wozu ke jo namaz ada ki jayegi woh bazahir to namaz ho gi lekin aisi namaz be rooh hogi aur iska koi natija deen o dunya me zahir nahi hoga aisi namaz humare af'al o kirdar par koi asar nahi chhodegi aur akhirat me bhi uspar koi ajar murattab nahi hoga isi tarah amaliyat jo zakat bina tajurbe me laye.n jayenge woh be rooh rahenge inka koi musbat asar zahir nahi hoga aur agar zahir hoga to sirf ittefaqi jis tarah is dunya me insan zahar pi kar bhi nahi marta halanke zahar kaam bhi mat dalna hai kabhi kabhi Allah ki marzi nahi hoti to chhuri aur aag bhi apna kaam nahi karti lekin yeh koi qaida kulliya nahi bahar haal jo log amil banne ke aarzumand hain woh yeh bat apne dil me utar le.n ke amaliyat se puri tarah mustafeez hone ke liye zakat ki adayegi nihayat zaroori hai zakat ki adayegi ka mashhoor o maroof tariqa to yeh hai ke murshid e kamil ya ustad ki ijazat aur nigrani me jis isme bari tala ya jis ayat ya azeemat ki zakat nikalni ho usey sawa lakh martaba ek waqt muqarrar karke parha jaye kam se kam ek chillah yani 40 dino me aur ziada se ziada 120 dino me sawa lakh ki tadad poori ki jaye lekin aamileen kamileen ne zakat ki mukhtalif qismen batai hain hum un par insha Allah tafseel se roshni dalenge yeh bat yad rakhni chahiye ke yeh akat jo amal ke liye ada ki jati hai iski shari koi haisiyat nahi hai yeh amal ko mazboot karne ke liye hai aur arbab e tajarba ne isey ijad kia hai aamileen kamileen ne zakat kimukhtalif qisme bayan ki hai aur iske alag alag asarat bhi bataye hain maslan zakat ki ek qisam yeh bhi hai ke amil apne nam ke adaad nikale aur Quran kareem ki koi ayat ko jiske zarye koi amal karna chahta hai apne nam ke adad ke mutabiq ek rat parhe isi tarah 40 rat parhne se zakat ada ho jayegi lekin yeh zakat sirf ek hi bar amal ke liye kaar amad sabit hogi aur ek hi bar amal karne se batil ho jayegi ab isme asar baqi nahi rahega.