Aaseb Aur Jinn Se Rihai Ka Amal
agar kisi mariz par deo pari jin ya arwaah e khabisa ka asar ho to amil ko chahiye ke aise mariz ko behte hue panime ghauta deaur phir iske gosh e raast me ayat mandarja zeil ko tin martaba parhe aur buland awaz se parhe phr aabe rawa me is mariz ko ghauta zan kare phir bahar nikal kar gosh e chap me aayat mazkoora ko tin martaba parhe aur iske badan par hath phere aur aayat e mazkoor ko tin martaba parhe agar aurat ya jwan ladki ghair mehram ho to hath na lagaye ishara kafi hai aur is dua ko tin martaba parhe ...insha Allah usi waqt fauran woh rooh e khabis ,hamzad ya jin pari ya deo is mariz ke badan se nikal jayega phir chahiye ke mariz ka hisar kar de aur loh e tahaffuz gale me dal de aur chahal kaf ka ganda kamar me bandheiske sath in ayat e mubarka ke aadad nikal kar in me mariz ka nam shamil karke 40 naqsh e musallas aatishi chal se likh kar pine ko den agar asar qawi hone ka andesha ho to naqsh chahar qul ka jalane ke waaste de ,aksar yeh chize dafa hone ke bad phir laut aati hain lihaza is taur par agar nuqoosh istemal karaye gaye to in sha Allah kabhi na kautenge aise marizon ka ilaj karne se qabal amil apna aur apne ahal ka hisar kar lena chahiye ke yeh khabis arwaah inko apna dushman bana leti hain ,woh ayat yeh hai
بسم اللہ الرحمن الرحیم
یا معشر الجن والانس ان استطعتم ان تنفذوا من اقطار السموات والارض فانفذوا لا تنفذوا الا بسلطن فبا ی الآ ربکما تکذبن یرسل علیکما شواظ من نار و نحاس فلا تنتصیران
یا معشر الجن والانس ان استطعتم ان تنفذوا من اقطار السموات والارض فانفذوا لا تنفذوا الا بسلطن فبا ی الآ ربکما تکذبن یرسل علیکما شواظ من نار و نحاس فلا تنتصیران