Sunday, November 15, 2015

Aulad ke Husool Ke Liye Amal o Wazifa اولاد کے حصول کے لئے عمل و وظیفہ (Quranic Remedy For Obtaining Child)


Aulad ke Husool Ke Liye Amal o Wazifa

رب ھب لی من لدنک ذریۃ طیبۃ انک سمیع الدعاء
jiski aulad na hoti ho woh is ayat ko bakasrat parhe to in sha Allah maqsad pura hoga tariqa yeh hai ke roana shab me hambistari se qabal ayat e sharifa shohar aur biwi dono mil kar 111 bar parhen bad iske hambistar ho elawa iske har waqt be shumar bar jab bhi mauqa mile wird e zuban rakhen.

Deegar
Aulad ki paidaish ke liye dusra amal yeh hai ke shab e juma me nisf shab ke bad muthai ya halwe ke tukre par kisi aisi jagah baith kar jahan koi na dekhe mandraja zeil ayat likhe aur ise aurat ko khilaye aur phir jama me mashghool ho tin bar shabe juma me yeh amal kare in sha Allah is amal ki barkat se zaroor bacha paida hoga ayat yeh hai
یا یھا الناس اتقواربکم الذی خلقکم من نفس واحدہ و خلق منھا زوجھا و بث منھا رجالا کثیرا و نسا ء واتقوااللہ الذی تساء لون بہ والارحام ان اللہ کان علیکم رقیبا

Deegar
Agar mian biwi par kisi qisam ki bandish na karai gai ho aur medical report bhi saheeh ho bawajood iske hamal na taharta ho

 to is amal kobaja layen rab tala aulad ki khushi se nawazega , tariqa yeh hai ke desi murghi ke do ande ubal kar unke chhhilke utar ken inme se ek ande parوالسماء بنینھا باید و انا لموسعوlikhe aur dusre ande par ر شنھا فنعم المھدونlikhe pehla nada mard khaye dusra anda aurat ko khana hai yeh amal musalsal chalis dino tak jari rakhe aur is dauran jama bhi karta rahe in sha Allah hamal zaroor tehrega.

Deegar
Isreqrar e hamal ke liye jab aurat haiz se pak ho jaye to fauran mandraj azeil tin Qurani ayat ko alag alag kaghaz ke tukron par mushk o zafran se likh kar aurat ko pilayen pehli ayat ke pilane se hi hamal tahar jata hai warna dusri dusri pilaye agar phir bhi na ho to tisri pilaye mard ke qarib jate hi aurat hamila ho jayegi in sha Allah
Pheli ayat

الحمد للہ الذی خلق السموت والارض وجعل الظلمت والنور ثم الذین کفروا بربھم یعدلون ھو الذی خلقکم من طین ثم قضی اجلا واجلامسمی عندہ ثم انتم تمترون

Dusri ayat 

الحمد للہ الذی خلق السموت والارض وجعل الظلمت والنور ثم الذین کفروا بربھم یعدلون ھو الذی خلقکم من طین ثم قضی اجلا واجلامسمی عندہ ثم انتم تمترون یا اھیا 
اشراھیا


Tisri ayat
الحمد للہ الذی خلق السموت والارض وجعل الظلمت والنور ثم الذین کفروا بربھم یعدلون ھو الذی خلقکم من طین ثم قضی اجلا واجلامسمی عندہ ثم انتم تمترون اھیا ازونی اصباوتوف اللھم بحق یا مالک یوم الدین ایاک نعبدوایاک نستعین و کان اللہ غفورا رحیما و کان اللہ عزیزا حکیما و ذالک ھو الفوز العظیم برحمتک یا ار حم الرحمین

Deegar
Banjh aurat ko hamila hone ke waaste zeil ki Qurani ayat ko chini ke plate par ya kaghaz par likh kar rozana pilaya jaye aur ek naqsh itwar ke din pehli saat me likh kar kamar me bandh dia jaye be fazlehi tala hamal tahar jayega zafran aur ambar se likhna shart hai ayat yeh hai 
بسم اللہ الرحمن الرحیم للہ ملک السموت والارض یخلق ما یشا ء یھب لمن یشاء انشا و یھب لمن یشا ء عقیما انہ علیم قدیر

Deegar
jis aurat ko hamal na taharta ho jab woh haiz se pak hokar ghusul kare usi din ek bakri ka bacha jo ke farba ho zibah karke degcha me pakayen aur shorba ziada kare aur aurat ko shorba is gosht ka pilaya jaye aur ek shishe ke zurf me zeil ki ayat likh kar waqt e qurbat se qabal shohar pi le in sha Allah hamal qaim hoga ayat yeh hai

قال انما انا رسول ربک لا ھب لک غلاما زکیا قال ربک ھو علی ھین و لنجعلہ آیۃ للناس رحمۃ منا وکان امرا مقضیا فحملتہ بعون اللہ فحملتہ بلطف اللہ فحملتہ بلاحول ولا قوۃ الا با للہ فانتبذت بہ مکانا قصیا انما امرہ اذااراد ان یقول لہ کن فیکون

Deegar
Isteqrar e hamal ke waaste rehan ke sat patton par ayat e sharifa likh kar aurat ek ek patta nigal jaye aur har patta ke nigalne par gaaye ka doodh ek ghont pia kare dhiyan rakhna hai ke patte ko chabana nahi hai sirf nigalna hai in sha Allah hamal qarar payega.
و لقد خلقنا الانسان من سللۃ من طین ثم جعلنہ نطفۃ فی قرار مکین ثم خلقنا النطفۃ علقۃ فخلقنا العلقۃ مضغۃ فخلقنا المضغۃ عظما فسکونا العظیم لحما ثم انشا نہ خلقا آخر فتبارک اللہ احسن الخلقین

Deegar
ism Al Bari Al Musauwiru ka wird isteqrar e hamal ke liye ajeeb asar rakhta hai bakasrat as ka zikar karne se sanaaye ajiba ka ijad asan ho aur gar banjh aurat sat roz tak roza rakhe aur pani se iftar kare aur bad iftar ke 21 martaba Al Bariu Al Musauwiru parhe to hamal qarar payega aur aulad hogi.

Note : ijazat hasil karke amal baja layen aur naqoosh istemal me layen Allah tala kamyab kare.

Wednesday, November 11, 2015

Bhaage Hue Ko Bulane Ka Tilism بھاگے ہوئے کو بلانے کا طلسم (Talisman For The Escape Person)



Bhaage Hue Ko Bulane Ka Tilism


agar koi shakhsh bhage ya khawand biwi se,biwi khawand se rooth kar chali jaye ya aulad ma bap se nara hokar chali jaye ya aur isi trah jaiz taur par kisi ko bulana maqsood ho to bhaagne wale ya jisko bulana ho uska naam alahida alahida hurfo me likhe.n har hurf ko qaaf aur seen ke dramiyan likhte jayen maslan ek shakhsh ka nam ali hai to you likhe.n ق ع س ق ل س ق ی س inka tilism yeh banega قعس- قلس- قیس yeh ek taweez hoga aise 75 taweez likhen inme se 12 darya me dale.n 21 ko hararat de,n 21 ko hawa me latka de.n 21 ko kisi andhere makan me bhari pathar ke nichedaba den kisi khas din waqt aur parhe ki zarurat nahi albatta qamar munqalab burjon me ho to amal karen aur ijazat zaroor hasil karen.

Saturday, November 7, 2015

Lohe Taraqqi e Rizq Ka Tariqa e Kaar لوح ترقی رزق کا طریقہ کار(The Method Of Taweez For Increment In Wealth)

Lohe Taraqqi e Rizq Ka Tariqa e Kaar



Quran e Muqaddas ki baz ayaat taraqqi e rizq aur khair o barkat ke liye mashhoor hai in hi me se ek ayat
ولقد مکنا کم فی الارض وجعلنا لکم فیھا معایش
hai jise amileen ne apne tajurbat se nihayat zood asar aur teer bahidaf paya is ayat sharifa ko naqsh e mukuammas ya murabba ya musallas me zulkitabat pur karna chahiye tariqa wahi rahega jo amileen sad amaal ke liye muqarrar karte hain yani saad saiyaron ke qawi nazrat e taslees ya tasdees waghaira din juma ya jumerat behtar hai albatta mangal aur sanichar ke ilawa kabhi bhi likh sakte hain waqt bad fajar ka afzal hai lekin nazrat agar chasht ke waqt ban rahe hain to isi waqt ko tarjeeh di jayegi ek amal ya naqsh ke liye saheeh wqt ka intekhab ek mushkil amar hai lihaza agar koi iski istedad nahi rakhta to juma ya jumerat ke din awal saat me likh le ,zafran aur mushk o ambar se likhen ya sirf zafran istemal karen qalam naya ho hiran ke khal par is naqsh ki taseer sau guna badh jati hai albatta kaghaz par bhi had darja taseer ka hamil hoga tanbe ki takhti par bhi kanda kar sakte hain yeh kaghaz aur khale hiran ke darmiyan asar rakhta hai aur humare Idare ka mamool hai bakhoor mushtari ka raushan kare rajalulghaib ko janib e chap ya pusht ke piche rakhen qabal tayrai naqsh ke kuch sheerni pas rakh len bad khatam fateha dekar ghar walon me taqseem kar de do lohe tyar karni hai ek ko tijarti mal o mataa me mahfoo rakhna hai chahe frame karwa len ya chahe to safed ya hare reshmi kapde me sil kar onchi jagah muallaq karen aur dusra apne bazu e rast par bandhe phir chand dino ke bad khudaye tala ki qudrat e kamila ka zuhoor apni ankho se dekhe ga sal guzarte is loh ka hamil sahib e nisab o zakat ho jayega aur muashi tang haali ka aise khatima hoga jaise kabhi tha hi nahi ,tijarat pesha afrad,dukandar.qarazdar,be barkat ghar wale ko aur mulazimat ke talib ko is loh ki zaroorat hai fil waqe nihayat mujarrabul mujarrab loh hai ,is loh ki tyari me jo sharte ya chize batai gai hai agar inme se kuch miyassar na ho to koi haraj nahi kisi bhi tariqa se likhe kuch to asar zaroor hoga Allah kisi ki mehnat zaya nahi karta naqsh ki shakal yeh hai.


Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668