Saanp Kate ka Do Amal Aur Shab e Aashura
PEHLA AMAL
قال القھا یموسی فاالقھا فا ذا ھی ھیۃ تسعی قال خذ ھا ولا تخف سنعیدھا سیر تھا الا ولی
(surah Taha ayat 19-20-21)
is amal ko muharramul haraam ki shabe Ashurah me panch sau martaba 500 parh len awal akhir durood sharif sat sat martaba phir kisi shirni par fateha dekar pehle khud khaye phir bachon me taqseem karden ab aap amil ho gaye nihayat sehal tariqa hai bas har sal isi tareekh me amal ki zakat ka isis trah iadah karte rahen amal qabu me rahega jab kisi mar gazida ko dam karna ho to amil ko chahiye ke tin martaba durood sharif parh kar ayat mazkoor ko panch martaba parhen phir tin martaba durood sharif parhen is tarah kul panch martaba dam karen yeh ek din ka dam hua isis tarah musalsal tin din tak dam karen shifa kamil ho.
DUSRA AMAL
اول نام خدا دا دوجا نام محمد رسول دا دہائی چار کبار دی ہدا پیران پیر دستگیر دا اذن گوگے پیر دا
is azimat ko ashurah ki shab me ek sau ekees 121 martaba parh len ap amil ban jayenge agar kisi ko sanp ne kat lia ho to azimat ko 121 martaba parh kar dam karen aur tin din lagatar dam karen zehar ka asar mukammal zail hoga aur maar gazida shifayab hoga ,is amal ki tajdeed har sal shab e ashurah me lazmi hai warna amal ek sal ke bad kam nahi karega .yeh dono aamal nihayat saheeh aur mujarrab hain.