Monday, June 1, 2015

Tilism Khatimul Uyoon Aur Nazar Bandi Ke Das Tilismati Aamal طلسم خاتم العیون اور نظر بندی کے دس طلسماتی اعمال (Tilism Khatim Ul Ayoon And Ten Magical Spell For Detention)



Tilism Khatimul Uyoon 
Dunya e Tilismat Ke Das Hairat Anghez Tilismati Aamal 
Bara e Nazar Bandi

Ulamaye Tilismat o Rohhaniyaat ne tilism khatimul uyoon ko nazar bandi ke silsile ke amaliyat ke bab me ek aisa jaame ul kamalat amal ki haisiyat se bayan kia hai ,is amal se mukhtalif tarakeeb par mushtamil bahut se amaliyat wabista hain is aetbar se is amal ko nazar bandi ke tamam tar aamal ki bunyad qarar dia jata hai.
Ulamaye fann ke irshadat o aqwal ke mutabiq jo shakhs is tilism ke mutalliqa aamal me se kisi ek amal ka amil ban jayega to sara jahan uska khidmat guzar aur taabe dar ban jayega aur woh amil har qisam ke amal se be parwaah ho jayega ke koi hajat uski baqi na rahegi eil me tilism khatimul uyoon ki ibarat e amal aur amal ke mtalliqa tarakeeb ke haamil mukhtalif amaliyat ki tafseel ko darj kia jata hai
ibarat e amal mulahiza ho


Nazar Bandi Ka Pehla SarTaj Amal

Saahib e Madarijul Burooj  hakeem Jildaqi tilism Khatimul uyoon se wabista zeil ke amal ki tarkeeb ko bayan karte hue mazkoora tilism aur iske mutalliqa tarkeeb ki tafseel ke silsile me tahreer karte hai ke yeh tilism jaameul aamal tilism hai aisa tilism ke nazar bandi ke tamam asrar o ajaibat isme poshida hai hakeem farmate hain ke tilism khatimul uyoon ke mutalliqa amaliyat ke bab e nzar bandi ke haqaiq ka jame amal zeil ki tarkeeb ka tariqa mera zati taur par mujarrab o aazmuda hai jisko kaam me lakar saahiban e ilm o tadbeer jumla qisam ke amaliyat se be niyaz ho sakte hai.
madarijul burooj me mandarja zeil tarkeeb ke mutabiq is amal ke liye insani pitte ki zaroorat hai ,amil ko chahiye ke zohra ke mustaqimussair hone ke auqat me insani pitte aur apni khoon e fisad dono ko masawiul wazan hasil karke pees kar khushk kar le phir is sufoof ko roi me lapet kar iska fateela banaye aur insani khopdi me insani charbi ya gaye ki charbi ya gaye ka ghee dal kar fateela ko chiragh me jala kar iska kajal tyar kare is kajal ko bahifazat rakhe is kajl ka nam ramadul uyoon hai
jab is ramd ka amal karna maqsood ho to amil ko chahiye ke is kajal ko apni dono aankho ke lagaye aur tilism khatimul uyoon ko tilawat karte hue hazireen e majlis ki aankho me aankhe dal kar jis bhi manzar ka tasuwor pesh karega ,arbab e majlis us manzar ko ape ankho ke samne payenge ,hakeem raqam taraz hai ke amil yeh dikhana chahe ke woh asman par charh raha hai to iske liye radul uyoon ko ankho me laga kar tilism ke asma e mutazikkara ko parhe aur ek rasi lekar usey asman ki taraf phenke aur buland awa ke sath kahe ke hazireen e majlis mulahiza farmaye main is rassi ki madad se asman par parwaz karne jata hun,ispar logo ko yeh maloom hoga ke amil inke samne rassi pakar kar asman ki taraf ja raha hai halanki haqiqat me aisa nahi hota kiyunke amil to hazireen ke darmian hi baitha rahta hai lekin hazireen e majlis amil ki taraf se pesh karda manzar ke tasuworaat ko haqiqat me mushahida karrahe hote hain.
yeh amal humne bataur e namuna pesh tahreer kia warna is tarkeeb me amil apne quwat e iradi se jo bhi manzar hazireen ke samne pesh karna chahe kar skta hai ,jilan atras apni kitab assahar wal bayan me likhte hain ke is amal ke liye insani pitte ka husool na mumkin ho to iske badal par ban manus janwar jiska talluq bandar ki nasal se hota hai ,iska pitte ko bhi kam me laya ja skta hai yeh pitta bhi apne afaal o o khwas ke aetbar se ansani pitta ki jumla khususiyat ke barabar mufeed aur kar amad sabit hota hai.
chunanche jilan atras tahreer farmate hain ke nazar bandi ke is amal ki tarkeeb ke liye ban manus ke pitte se ramadul uyoon tyar karke mtaddid bar isko azmaya aur insani pitte se murakkab ramad ke barabar taseer paya hai,ashrah maqalat me hakeem hunain bin ishaq bhi is amal ke mutalliq bayan karte hain ke jildaqi ke is amal ko maine dono tariqo ke mutabiq azmaya hai chunanche ek martaba to ban manus ke pitte tarkeeb dekar aur dusri martaba insani pitta se tyar karke alahida alahida taur par iski haqiqat ka mushahida kia hai aur is natija par pohcha hun ke jildaqi aur atras dono akbireen ki taraf se bayan karda dono tarakeeb ke mutalliqa ajzaa is amal ke liye apne apne taur par nihayat saheeh aur motebar hain.



Nazar Bandi Ka Dusra Amal

Allama ba alki alaihirrahma khwasul huroof me tahreer farmate haike sanichar ke din sat atarad me jabke qmar masoodul haal ho amil sang e pusht yani kachhwe ko pakad kar jis trah munasib ho halak kare iska khoon hasil kare aur is khoon ko nihayat hi hifazat se sanbhal kar rakhe nazar bandi ke amal ka jab muzahira karna maqsood ho to is khoon ko amil pane dono hatho par male aur khushk hone de is amal ke bad amil hazireen e majlis ke samne khade hokar asmaye khatimul uyoon ko tila wat kare aur dono hatho ko khol kar majma ke samne karde hazireen me se jo shakhsh bhi amil ki kisi ek hath ki hatheli par ek martaba hi nazar dale ga to ski nazar bandh jayegi aur jis bhi manzar ka nam lekar pukare ga dekhne walo ko wahi manar nazar aayega ,raqimul huroof arz karta hai nazar bandi ke woh tamam kamyab o bekhata aamal jo tilism khatimul uyoon ke amal se wabista karke bayan kiye gaye hain agarcha inke kamyab o bekhata hone ke mutalliq kisi ka koi shak shuba nahi kia ja skta hai tahum unme nazar bandi ke is mal ko maine intehai sehlul husool samajhte hue khud azmaya aur tajarba ke bad sau fisad sahee paya  meri taraf se sahiban e ilm o fun ke liye dawat aam hai ke woh is amal ko apne taur par aazmaye aur haqiqat e tilismat o roohaniyat ka mushahida karke in uloom ki sadaqat o haqqaniyat par itmenan e qalb hasil kare.


Nazar Bandi Ka Teesra Amal

qazi saaid apni mashhoor kitab niabeuttilismat me raqam taraz hai ke jisko nazar bandi ke amal ka shauq ho to woh zeil ke amal ko baja laye yeh amal asrar e tilismat se hai jiski madad se huzzar e majsil ke samne ajeeb o ghareeb manazir pesh kia ja skta hai qazi saaid ke tehqiqat ke mutabiq is amal ki sadaqat is bat se sabit hoti hai ke Ulame mutaqaddimeen o mutakhireen ne is tarkeeb ko apne apne mamulat o mujarrabat me badi tareef ke sath bayan kia hai qazi saaid likhta hai amil is amal
us waqt baja laye jab aftab burj e hamal ,asad ya qaus me ho ya shamsh o qamar dono kwakib nehas saiyargaan ki nazrat se pak ho.
tarkeeb ke mutabiq khar e pusht yani sehah janwar jiske badan par nokile qisam ke kante paye jate hain pakar kar halak kare aur uski charbi jis qadar bhi hasil ho sake bahifazat nikal kar rakhe yeh charbi nazar bandi ke liye nihayat mufeed chiz hai ,amil is charbi se katan yani alsi ke kapde ko tar karke batti banaye aur tanbe ya chandi ke chiragh me isi charbi ko bataur e tel dal kar amal ke liye rat ke waqt jis majlis me is chiragh ko raushan karega aur asmaye khatimul uyoon ko tilawat karte hue jis bhi manzar ke mutalliq jo bhi ajaibat pesh karne ka irada rakhta hoga uske mutalliq hazireen e majlis ke samne jo kuch bayan karega hazireen e majlis us manzar ko apne roo ba roo payenge  aur khoob lutf andoz honge sahib e sirre maktoon o shamileen aur imam harmas ne apne rasail me is tarkeeb ki bahut tareef ki hai aur isey nazar bandi ke silsile ke amaliyat me mumkinul amal qisam ke tilism ke taur par bayan karte hue iski sehat par ittefaq kia hai .


Nazar Bandi Ka Chauthha Amal

Hukmaye fun kehte hain ke nazar bandi ke liye siah batakh ki khal khhench kar aur asfahani surma se dabaghat dekar mehfooz rakhen,is amal ke bad jab chand grahan lage to is khal par asmaye khatimul uyoon ke asmaye amal ko tahreer kare phir khal ki topi tyar kare amal ke waqt is topi ko sar par pehan kar hazireen e majlis ke darmiyan khade ho kar nazron se ghaib hojane ke manzar ka elan kare aur amal ki ibarat ko tilawat karke charo taraf phunke iske bad khud ankhe band karke khamoshi ke sath zamin par baith jaye amil jab tak apni ankhe band kiye zamin par baitha rahega us waqt tak woh ahle majlis ki nazro se ghaib rahega phir jab zahir hona chahe to topi ko sar par se utar kar alahida karde aur ankhe khol de nazar ane lagega , kitab duales me hakim suqrat is amal ko tehreer karte hue iski tafseel me likhte hain agarcha nazar bandi ka amal nazron se aojhal hojane ke liye makhsoos hai lekin iske bawajood is amal ka amil apne irade ki quwat se jo manzar bhi pesh karna chahe pesh kar skta hai hakem farmate hai yeh ajeeb o ghareeb amal mere amal o tajarba me khwas o fawaid ke etbar se ek lajawab amal sabit hua hai jiska amil darya ke kinare khade hokar pani par chalne ,rat ko din ,din ko rat kar dikhane ka manzar pesh kar sakta hai uyoonussehar aur kitab ibn e hallaj me bhi tilism khatimul uyoon ke amal ke mutalliq is tarkeeb ka zikr badi sharh o bast ke sath kia gaya hai.


Nazar Bandi Ka Panchwa Amal

Hakeem Qunyan bin anoosh apni kitab dosem me tehreer karte hain ke main ek taweel muddat tak mukhfiyat o roohaniyat ke bab me is fun ke asrar o nukat aur haqaiq o daqaiq o ghaur o fikr karne ke bad is natije par pohcha hun ke yeh ilm o fun sona aur chandi banane ki sanat se bhi ziada mufeed o akseer hai,hakim kehta hai ke yeh khudaye tala ka mujh par ek khas ehsan hai main ulamaye fun ki khidmat o tabedari aur mehnat o riyazat ke bad uloom e makhfia ke behre zakhkhar se maqdoor bhar hissah hasil karne me kamyab ho gaya hun ab jabke in uloom ke mutalliqa haqaiq mujh par munkashif ho gaye hain to iske sath hi main yeh zaroorat mehsoos karta hun ke apni kitab dosem me in uloom ka kuch hissah makhlooq e khuda ki behtari ke liye bayan kardun taake yeh zakhira faiz rasa.n hamesha ke liye baqi rahe hakeem is silsile ki tafseel ka zikr karte hue muqaddmatulkitab ke aakhiri hissah me likhte hain mere nazdeek uloom e makhfiyat ke jumla haqaiq ka raaz nazar bandi ke amaliyat me pinha hai,chunanche hakeem mausoof ne kitab dosem me nazar bandi ke maliyat ka ek azeem zakhira jama kardia hai in amaliyat me tilism khatimul uyoon ke amal ka bhi zikr milta hai jiski ajeeb o ghareeb tarakeeb ki tafseel ke liye hakeem ne ek lag bab likha hai,is haqeer raqimul huroof ne nazar bandi ke amaliyat se apni dilchaspi ke sabab jab is kitab ke amaliyat ka tarjama kia ti afsos nak surat e hal samne aai ke in amaliyat ke beshtar hissah par amal dar aamad nihayat mushkil hai kiyonke inme istemal hone wale anasir o haiwanat ka husool fi zamana nihayat mushkil ho gaya hai isliye is ziman me kitab dosem ke chand ek aise amal ko bayan kia gaya hai jo humare amal pazeer ho sakte hain zeil me tilism khatimul uyoon ke mutalliqa amal me se ek mujarrabul mujarrab amal ki tarkeeb o tafseel darj hai jiske mutalliq hakeem raqamtaraz hai ke nazar bandi ke amal me yeh amal sab se badh kar mufeed aur akseerul asar paya gaya hai is amal ke husool ke liye amil ko chahiye ke woh mausam garma me aise sehrai bakre ko jo gosht khor ban chuka ho pakad kar zibah kare aur uske bad darkht anjeer ki lakriyon ki aag jala kar is zabihah bakre ko us aag me dale ,amil bade ehtiyat ke saath is amal ke dauran barabar aag raushan rakhe aur jab maloom kare ke is bakre ke jism ka tamam gosht post aur haddiyan waghairah sab jal kar raakh ho chuke hain to aag ka jalana band kar de aur intezar kare ke aag bilkul thandi pad jaye jab aisa ho jaye to amil is janwar ki jali hui haddiyan ko ek ek karke uthata jaye is amal ke dauran in haddiyon me ek aisi haddi bhi amil ke hath lagegi jo bilkul saheeh o saalim halat me hogi aur ispar aag waghaira ka koi asar nahi hua hoga yehi haddi amil ka maqsood hoti hai, chunanche amil is haddi ko qabu karle aur baqi jo kuch mawad waghaira maujood ho usse pada rahne de ,hakeem kehta hai ke amil is haddi ko pehle pani se dhokar saaf karle phir tilism khatimul uyoon ki ibarat ko ispar tahreer karke apne pas mehfooz rakhe ,yeh haddi apne khasiyat ke etbar se nazar bandi ke is amal ki asal hai bawaqt e zaroorat amil is hadi ko ahle majlis ke samne karke jis bhi manzar ke liye kahega wahi manzar dekhne me aayega nazar bandi ka yeh sareeuttaseer amal el aisa amal hai jise ulamaye fun ki taraf se mujarrabul mujarrabn hone ki sanad hasil hai.


Nazar Bandi ka Saatwa.n Amal

Hakeem ladin tarabilsi kitab sirrul asrar me tilism khatimul uyoon ke ziman me  insan ko haiwan ki soorat me tabdeel kar dene ka haqaiq ke hamil ek amal ko badi tareef ke sath pesh karte hue uski tarkeeb me tahreer karta hai ,urooj maah qamri me taslees zohra o atarad ke waqt garbah siyah nar o mada ko pakar kar zibah kar ke khoon ko kisi mitti ke bartan me ehtyat ke sath sanbhal kar rakhen ,is amal ke sar anjam dene ke bad dono janwar ko nai mitti ki handia me dal kar gul e hikmat karke ek shabana roz aag par rakhen taake bartan me maujood har ek chiz jal kar khak ho jaye ,phir handia ko aag par se utar le isme maujood mawad ko bahar nikale aur isme khoon e mazkoora bala shamil karke khoob pees kar safoof bana kar bahifazat rakh len , is raakh ko tilismat me ramad ka nam dia jata hai aur yehi rama nazar bandi ke is amal ki asal hai ,hakeem bayan karta hai jab amal karna maqsood ho to amil is ramd me se ek chutki bhar lekar hazireen e majlis ke se jis kisi ek shakhsh ke sar par isko dal kar asmaye tilismat ko parhe aur us shakhsh ko pukar kar kahe aey fulan haiwan ban ja ,baqudrat e ilahi woh shakhsh logo ko wahi haiwan maloom hoga jiska amil ne nam lia hoga.



Nazar bandi Ka Aathwa Amal

Harmus ne ifadaat me likha hai ke jab mushtari burj e sartan ke pandhrawi darja par nuzool kare to girgit ko pakar kar halak kar dalen lekin yeh ehteyat rakhen ke na uska sar zakhmi ho ne paye aur na hi uski koi haddi toote warna amal batil ho jayega iske bad is janwar ko amal e hunoot ke tariqa par khushk karke kamal e ehtyat ke sath sambhal kar rakh chhoden phir jab kabhi nazar bandi ke amal ko baja lana chahhe to is hunoot shuda janwar ko hazireen e majlis ke samne kisi chiz par buland karke rakhe ke tamam logo ki nigah ka markaz bana rahe amal baja late waqt sab se pehle asmaye khatimul uyoon ko tilawat karke charo taraf phoonke aur jis manzar ko pesh karna chahe uski tafseel bayan kare ,hazireen e majlis apne samne amil ke bayan karda ajaibat ko maujood payenge ,yeh manar us waqt tak baqi rahega jab tak janwarv mazkoor majma ke samne pada rahega aur amil ibarat e tilism ke kalemat ko tilawat karta rahega nihayat ajeeb o ghareeb amal hai.


Nazar Bandi Ka Nawa Amal

nazar bandi ke liye istekhwan e adam kohna jama karke pees le aur chalees roz tak chaurahe me dafan rakhe ,phir bahar nikal kar khushk karke safoof banakar rakh le.n , amal ke liye is safoof ko koilo par sulgaye aur tilism khatimul uyoon ko tilawat karke jis manzar ka tasuwoor pesh karenge dekhne walo ko wahi manzar dekhai dega, sahib e shumailussehar likhta hai is amal ka rat ke waqt baja lana nihayat pur ltf rehta hai.


Nazar Bandi Ka Daswa Amal

mushaf e bughdadi me mastooker hai ke zeil ka amal sab se badh kar ajeeb o ghareeb hai hukamaye unan aur ahl e kaldu suryan nazar bandi ke asal aamal ko isi amal par mauqoof samajhte hain,is amal ka aamil insani quloob o khayalat par ghalba hasil karke unke weham par tasullut kar leta hai aur is trah apne irade ki quwat se hazireen ke samne jo manzar pesh karna chahe pesh kar skta hai tarkeeb is amal ki yeh hai ke mosh dasti ko halak karke khushk kar le aur khushk karke pees le is trah jo safoof tyar ho usme shehad khalis ko shamil karke goliyan banaye har goli ek ratal ki ho zarurat ke waqt darakht kaneer ki lakdiyon ke koilo ki aag par jalaye aur asmaye tilism ka wird karna shuru karde ,yeh dukhna jis mehfil me raushan kia jayega arbab e mehfil amil ki taraf se bayan karda manazir ke ajaibat ka mushahida karenge wasil bin ata raqam taraz hain ke yeh amal mujarrabul mujarrab hai.


Zaroori Wazahat

is qisam ke tilismati aamal me baaz auqat aisi chizo ki zaroorat pesh ati hai jinke nam sunkar log shadeed mughalte ka shikar ho jate hain,aur apni kam fehmi aur la ilmi ki bina par aise aamal ko sifli amal kehna shuru kar dete hain samajhne ki bat yeh hai ke aise tilismati aamal ka talluq ilm e seemiyah se hai aur is amal ke zarye kisi ki hajat barari nahi hoti balke mahaz tamsha beeni hai jise dikha kar logo ko hairat me dalna aur daad wasool karna maqsad hota hai, han agar in aamal ko koi amil logo ko bewaqoof bana kar lootne ke liye istemal karega to goya zulm karega.aur jaha tak sifli aamal ka talluq hai to alag hai jiski tafseel kisi aur mauqa se pesh ki jayegi aam log yeh nahi jante ke shobdah bazi kise kehte hain aur sifli uloom kia hain lihaza nazar bandi ke in tilismati amal ko sifli ilm kehna durust nahi han yeh bat zaroor hai ke baaz aamal me woh ajzaa darkar hain kis ke husool par shariyat pabandi lagati hai to usse bachna bahar haal chahiye aur is qisam ke aamal darj karna takmeel e bab hai jise ahl e fun bakhoobi jante hain.



Featured Post

AL AUFAAQ (Vol-14) الاوفاق

Book Your Copy Now +91-9883021668