Jumla Hajaat Ke Liye Lajawab Takseeri Amal
is amal ke teen ek dibya me kachch mom bhar len apne maqsad ko alag alag hurfon me likh len maslan mulazimat mil jaye ,apke maqsad ki goya yeh ek satar hogi phir doosre satar me yeh huroof likh le م ف ذ ن ص ض س ق ظ ع ر غ ab in dono satoor ko apas me imtezaj de len woh is trah ke dusre satar ka aakhri hurf aur satar e awal ka pehla hurf is trah غ م ر ل ع ا ظ ز ila akhir agar kisi satar me hurf ziada ho.n to kam hurf wali satar se huroof shuru se lekar pur kare.n ,ab itwar ke din saat qamar me agar batti jala kar is teen ke dibya par satar e imtezaj kanda kare.n aur iske niche yeh ibarat kanda kare.n
کھیعص کفایتنا حمعسق حمایتنا
aur iske niche apni murad wala fiqra kanada kare.n yani mulazimat mil jaye ,ab har roz bad namz isha 378 bar suratul fateha parhna shuru karen aur dibya ko apne roo baroo rakhen doosre din dibya ko dhoop me rakh den taake huroof mit jayen ,ek din me mite ya do din me miten magar dhoop ki tapish aur garmi me mitana shart hai jab mom par se huroof kanda shuda mit jaye to dobara kanda kar len , aur alhamdu sharif parhte rahen isi trah 11 martaba huroof ko dhoop me mitayen Allah tala ke hukm se jis bhi jaiz maqsad ke liye aap is amal ko kar rahe hain woh pura hoga ,agar ap das martaba huroof ko dhoop me mita chuke hain aur koi asar zahir nahi hua to giarween martaba jo huroof tehreer karen usey bajaye dhoop me rakhne ke ap saya me hifazat se rakh choren insha Allah bahut jald maqsad poora hoga ,aur agar do char martaba hi likhne se kamyabi mil jaye to ainda likhna tark karden magar nakami par giarah bar se ziada na likhen aur na parhen insha Allah jald hi apne maqsad ko pa lenge .