Lohe Sharaf e Aaftab
Izzat o azmat , jaah o hashmat, taraqqi madarij , rob
o dabdaba , sarbulandi, izzat o martaba, ghalba o tasallut ke husool ke liye
yeh zinda tilism ka kam deta hai , who log jo dusron se piche rah gaye hain ya
aala maqam hasil nahi kar sake ,halqaye ahbab aur kam ki jagho me koi izzat
nahi aise logo ke lye ek ruhani tohfa hai iske hamil par koi shakhsh ghalib
nahi aasakta election me kamyabi ,
muqabla jati imtehanat , futoohat ki azim taseer rakhta hai ,zamana e qadeem se
tamam hukama ka is naqsh par etemad hai aur mera barso ka tajarba hai.
Taskheer khalq aur taraqii e darajat ka muassar waqt
Shamsh burj e hamal me harkat karta hua jab 19 win
darja par pohachta hai to usey sharaf hasil hota hai sal me sirf ek bar yeh
sunehra mauqa hath ata hai ye tamam halaton me saadat darja me qawi hota hai
shamsh saiyargan e falki me sab se bada shahanshah ka darja rkhta hai sab se
ziyada noorani aur aur taqatwar asar zamin par dalne wala hota hai zindagi aur
rooh ki twanai isse quwat pati hai, isliye iska sharaf aamilin o kamilin ke
nazdeek hamehsa se tawajjo ke qabil raha hai is waqt jo makhfi quwaten zamin
par asar andaz hoti hain usko agar zabt me laya jaye to who apni beiznillah
apni taqat se hamil ke liye azeem haibat rob aur quwat paida karta hai aur ek
mumtaz maqam tak lata hai jisse saakinaan e maujoodat me iska rutba buland tar
hota chala jata hai ,lihaza har sal aise
mauqe par hum aise amaliyat tyar karte
hain jo taskheer khalaiq , afzooni e rizq , jaaho martaba aur musalsal
taraqi lane wale hote hain har sal april ke mahine me yeh waqt ata hai aur
kaseer tadad me naqoosh o talism tyar kiye jate hain zaroorat mand hazraat o
khwateen rabta kare ,waajeh rah eke sharaf e aftab me mukhtalif qisam ke
naqoosh o tilism tyar kiaye jate hai maslan ba muakkil naqsh batariq ilm e
jafar jo ke sail ken am aur uski walida ken am se banaye jate hain aise naqoosh
ke liye sharaf se pehle rabta karna zaroori hai kyunke takseer waghaira bnane
me kafi waqt lagta hai aur qabal az waqt mukammal tyari chahiye iske elawa jo
naqsh bante hain who hare k sail ko kifayat karta hai aur Alhamdulillah sare
naqoosh hi sharaf e aftab ke lajwab hote hain hazaron afrad har sal isse
mustafeed hote hain
Sharaf e aftab me mandarja zail maqasid ke husool ki
khatir alwah o tilism aur jafri naqoosh banaye jate hain
@Muqablajati imtehanat me kamyabi ke liye
@Karobar ko urooj tak pohchane ke liye
@Maqam o martaba me bulandi ke liye
@Har qisam ke muqaddme me kamyabi ke liye
@Berozgari ke khatma ke liye
@Kisi firm ya company ki shohrat ke liye
@Kisi bhi kam me ghaibi madad hasil karne ke lye
@Shohrat aur namwari ke liye
@Daulatmand aur ameer e kabeer banne ke liye
@Hamesha taraqqi karte rahne ke lye
@Aulad e narina ke husool ke liye.