Rooh Ko Haazir Karne Ka Amal o Naqsh روح کو حاضر کرنے کا عمل و نقش (Process To Present Of Soul)
ROOH KO HAAZIR KARNE KA AMAL
Agar koi shakhsh is bat ka khwaha ho ke sayeed roohon se talluq paida
kare jis ki badaulat who apne kaamon me unki madad hasil kar sake jaise apni
zindagi me khushhaali ka talab gar ho aur chahta ho ke ghaib se ussey rozi
hasil ho jaya kare to usko chahiye ke uska kam sirf Allah ki raa joi ki khatir
ho warna halakat e jaan ka khatra hai aise saalik ko chahiye ke saat din roza
rakhe aur roza rakhne ka aaghaz yakshanba ke din se kare aur hafta tak jaari
rakhen aur mukammal khilwat ikhtyar kare kisi aise goshe me baithe jahan kisi ki
madakhilat na ho aur batamam o kamal yaksoi meassar ho apne gird ek khat
khinche aur is khat ke kharij کھیعص حمعسقlikhe aur khat ke andar سلام
قولا من رب الرحیم قل ھو الرحمن امنا بہ وعلیہ توکلنا aur isi daire me baithe saath hi
oud o zafraan ki dhoni bhi ho aur ab chandi ya sone ke patre par jadwal ko
kanda kare aur ussey apne jaye nama ke niche rakhe aur char hazar martaba ayat
حسبنا اللہ و نعم الوکیل
ko padhhe aur har namaz ke bad ek hazar martaba padhhe
aur …. 118 martaba har namaz ke bad jari rakhen aur zaafran o uod ki in aiyaam
me barabar lete rahen ghiza wahi istemal karen jo tark e jalali o jamali me
istemal kar sakte hain jau ki roti injeer munaqqah khaye agar is sab baton ki
riyayat ki gai to who sab dekhega jo aankhon ne kabhi na dekha hoga ja kabhi
kanon ne suna na hoga na kabhi in baton ka khatra dil me guzra hoga siwaye us
shakhs ke jisne aise aamal baja laye hon is amal me aamil ki rooh aala illiyeen
ki paak roohon se apna talluq paida kar leti hai phir insan siwaye Khuda e
Qadeer ke kisi ka mohtaj nahi rahta aise aamal bakasrat mashaaikh e keram se
manqool hain .