Kaala Jaadu Paltane Ka Tilismi Amal
Rujatssehar ka jo amal is waqt hamara mauzoo hai iski
tafseel yeh hai ke aamil sab se pehle apnea mal ki quwat se yeh maloom kare ke
jaadu karne aur karwane wala kaun hai neez asar andaz jadu kis noiyat o
kaifiyat ka hai yeh janne ke liye aamil jis bhi tariqa se chahe mukammal haalat
jaan le phir jab ussey tamam tar maloomat ka ilm ho jaye to phir Khuda ka naam
lekar rujatussehar ke is amal ki zeil ki tarkeeb se kaam ley dushman ke kiye
sehar jaadu ko usi ki taraf palta den eke amal ka aaghaz kare tarkeeb e amal ke
mutabiq aamil qamar zaidunnoor ke dino me shab panjshunba ko zohra aur atarad
ki taslees ke auqaat me amal ke liye muntakhab karda makan me ood o ambar ka
khushbu dar dukhna jalaye ,amal ki baja aawari ke liye shaitani o jinnati quwaton
aur balaaon se mehfooz rahne ke liye sadqaat o khairaat kare amal baja lane se qabal ghusul karke paak o
paakiza libas pehne jism o libaas ko khushbuyat se moattar kare hisaar bandhe
aur ek faulaadi chhuri apne daahine haath me lekar shumal ki taraf muhn karke
khada ho jaye apne dushmano ka pukhta khayal kare aur aur uske kiye hue jaadu
ko unhi ki taraf palta den eke pukhta azm o irada ke saath zeil ki ibarat e
amal ko 707 martaba pardh kar hisaar ke andr aur bahr apne charo taraf phonke is amal ke bad apni aankhon ko band karle aur
intezar kare to kuch hi lahme me aamil mehsoos kare ga ke mukhtalif qisam ki
chizen jaise kaghzaat, haddiyan, gosht saiyaal ashia.n jaise Khoon pani ,khak
aur masaan waghairah khud ba khud uske dono haatho.n me kisi ghaibi quwat ke
zarye di ja rahi hai ,jab yeh soorat e haal zahir hone lage to aamil ko chahiye
ke kisi qisam ke ghabrahat ka koi muzaahira na kare aankho ko band hi rakhe aur
jab uske haathon me koi cheez lage to sehar jaadu ki mutallaqa ashiya khayal
karte hue is shai ko apne amal o irada ki quwat se dushman ki taraf wapas palat
den eke irada ke saath fiza me phenk de is tarah jab tak aamil ke haathon me
makhfi taur par mukhtalif chizen aati rahe aamil inko apnea mal ke irada ke
saath phenkta rahe aur khabar daar aankh na khole warna nuqsaan uthaye ga,phir
jab aamil yeh maloom kare kea b uske haath me koi chee nahi arahi hai to uske
baad apnea mal ko khatam karde ,sab se pehle aankh khole phir hisaar ko khatam
kar de aur hisaar se nikalte waqt khudaye buzurgh o bartar ke asmaaye jamila o
jaleela ko parh kar apne jism o libas me dam kare aur khamoshi ke saath wapas
chala jaye,is amal ke natija me rujatussehar kea mal ki ibarat ke makhfi o roohani moakkilat dushman ke sehar o jaadu
ko uske shaitani o jinnati quwat ke saath sehar karne wale ya karwane wale ki
taraf palat dete hain jisse dushman khud apne kiye ka shikar hokar mubtalaye
masaaib o aalam ho jata hai amal rujatussehar ki ibarat yeh hai,
یاتا ھشنا ئیل یا شرطا ھو تائیل یا طیھیتا ئیل ثو ھو طو نا یا لیلغا
ئیل مقو شطائیل ایاھر شمخطا ئیل ھر سو قسا یا ابر عاز لز لا مو نو طسا وافعلو ایا
ایھا المو کلمون المو کلون من الاروح المطھرات برد السحرالی اھلھہ فی ھذا السا عتہ
طحق حقکمہ و یحر مت اسما یکم یا میططر ونا یا ھمکفا رو ونا یا صمکفا سونا کفا ئیل
ھمائیل اجیبو ایا ملا یکت الکرام بحق کھیعص و بحمعسق فسیکفیکھمہ اللہ وھو السمیع
العلیم یا بیطر وقشا بطھیو قشا قد اسا قدر سا الوحا العجل بز مھو لا یر مھو لا ھو
لا حولا مستعا نا۔
Rujattusehar ki is amal ki taskheer ka tariqa yeh hai
ke aamil urooj maah ke nauchande itwaar se amal ko rozana 1200 martaba ki
muqarrara o muaiyena tadad ke mutabiq ek chillah kaamil tak parh kar khatam kare
aamil ho jaayega amal ke baad amal ki quwat o taaseer ko barqarar rakhne ke
liye amal par mudawamat karna zaruri qarar dia gaya hai ,rujatussehar ka yeh
jalilulqadr amal apne haqaaiq ke etbaar se har qisam ke sehar jaadu ko dushman
o saahir ki taraf wapas palat dene ki zabardast quwat ka haamil hai aisa sehar
jaadu ka aamil jisme dushman ko hilaak karne ke liye shaitani quwaton ke zarye
dushman par handiya ke aatishi gola ko dushman ki taraf uda de aur us waqt agar
rujatussehar ka amil us khabees saahir ke us shaitani amal se waaqif ho jaye to
who mehaz is amal ko wapas palat den eke irada ke saath fizaaye aasman par
parwaaz karti hui handia ki taraf ek nazar hi kare to khuda tala ke hukm se who
aatishi gola saahir ke matlooba nishane par girne ke bajaye khud us par aur use
jadu karwane wale par jaa padega .goya rujatussehar ka yeh amal ek roohani
mojeza hai jo majloom ka hisaar bhi hai aur zaalim ko saza den eke liye
zabardast qisam ki sifli amaliyat se badh kar ek roohani amal hai yeh ek aisa
amal hai jiski nazeer milna muhaal hai jaanna chahiye ke jaadu sehar ki
beshumar qisme hain jinme sab se ziada khatar naak sehar dushman ki hilakat ka
hota hai ke akhir kisi se dushmani ki inteha yehi hai ke usko jaan se mar dala
jaye iske liye saahir mukhtalif andaaz ke jaadu karta hai yani jiska jo tariqa
ho usi par amal paira hota hai lihaaza saahir ke jaadu ko jane baghair uske
paltane ka amal baaz auqaat kamyab nahi hota aur matlab hasil hone me diqqat
pesh aati hai is liye zaruri hai ke sab se pehle jaadu ki noiyat ka saheeh
andaza lagaya jaye aur phir mazkoora bala amal ki baja aawari ka qasad o irada
kia jaye haan yeh zaroor hai ke baaz auqaat mareez ke aqraba jaadu karaane wale
ka naam poochhte hain to is silsile me ehteyat chahiye ke aksar fitna o fasad
ki surat ban jati hai.ehteyat chahiye ke aksar fitna o fasad
ki surat ban jati hai.