Ism Budooh Ke Moakkil Se Kaam Lene Ka Amal
Budooh ke moakkil
bade jalali hua karte hain inse kaam lena ka ek tariqa darj kia jata hai
khayal rahe ke tarkeeb amal jalali hai lihaza 15 adad naqsh musallas khaki chal
se rozana pur kia karte raho ke jalal me kuch kami waaqe ho awr amal bhi zordar
ho jaye lekin agar aap se kuch bad parhezi ho gai to nuqsaan zaroor hoga haan
naqsh ki waja se nuqsaan me kami ho jayegi amal youn hai ke isha ke bad raat 12
baje tak kisi waqt e muqarrara par dw zaanu baithe aur zeil ke amal ko 360 martaba
padha jaaye …
Amal ke dauran apko khwab me bisharaten honi shuru ho
jayengi aur pakiza shaklen ,haseen soorten nazar aayengi kabhi dauran amal bhi
yeh shakle bilkul saamne aa jaya karengi usse darne ki zaroorat nahi bas amal
ki ibarat ko zor zor se padhte jana hai insha Allah 40 din ke andar jis maqsad
e khaas ke waaste padha gaya who zaroor bizzaroor pura hoga haan agar khuda
nakhwasta dar gaya to pagal ho jayega phir kuch ilaj kaargar na hoga ,is amal
ke dauran parhez laazmi hai har qisam ke ghusht, kachcha lahsun, kachcha piaz
,doodh dahi, ghee, goya parhez jalali o jamali kare khana khud pakaye agar aisa
karna mushkil maloom ho to kisi khadim parhegaar ko rakh le pani daria ka
istemal kare ia kam az kam kuyen ka ,amal ke dauraan looban ki dhooni bhi amal
ke sharait me se hain naqsh musallas maghrib ke baad likha jaaye baad khatam
chilla sab ko aate me lapet kar darya me daale is amal se har jaaiz maqsad pura
kia ja sakta hai is amal ke taabe muakkil sirf ek baar hi kisi kaam ko anjaam
dene ke paband hote hain who hamesha ke liye khadim nahi bante iske liye tareeq
e amal juda hai.
|