Hamzad Ki Makhfi Taskheer Ka Ek Naadir Amal
Jo shakhsh apne hamzad ko makhfi taur par taskheer
karna chahta ho to usko chahiye is amal ko urooj maah ke kisi bhi nauchandi din
se shuru kareaur zeil ke kalemat ko 25 ro tak har roz 700 martaba padhe to uska
hamzad makhfi taur par uske liye masakhar ho jayega
یا ھیو اھقور را ھیو قا ھیو ما ھز ھا شا ھر قا شا شا قو ھا شا ھز ھا ما یو ھا قا یو ھا راقو ھا یا یوا ھا احسنا اموسا جنوھا اجیبو ا یا ھمذاد ا ھیا ا ھیا ۔
Tarkib e amal ke mutabiq is amal ke liye alaahidgi ke
kisi ek aise pur sukoon makaan ki zaroorat hai jahan aamil ke elawa kisi bhi
ghair shakhsh ki mudakhilat ka ehsaas tak bhi mumkin na ho sake amal ko kisi
bhi mahine ki kisi bhi nauchande din se shuru kia ja sakta hai aamil apne
swabdeed aur sahulat ke mutabiq raat ke elawa din ke waqt bhi jab chahe is amal
ko baja la sakta hai is silsile me kisi qisam ki koi pabandi maujood nahi hai
,aamil chahiye ke amal se pehle amal ke makaan me raughan kunjad ka chiragh
jalayen amal ke waqt qibla ki taraf munh karke baithe aur chiragh ki rashni se
paida hone wale apne saaye par nazar jama kar apne hamzad ki makhfi taskheer ke
kaamil yaqeen o irada ke saath kalimaat e amal ko padhna shuru kare ,rasaail e
hilaaliyah me is amal ki tafseel ke mutalliq mastoor hai ke jab aamil amal ki
muqarrarah miyad ke mutabiq amal ke akhri roz amal ka waifa khatam kar leta hai
to aamil ka charagh ki roshni me nazar aane wala apna saaya uski nazron se
ghaib ho jata hai aur uske saath hi aamil ka hamzad apne makhfi aur roohani
jism ke saath aamil ke huzoor mutee o farmanbardaar ban kar haazir ho
jayega aur nihayat sheeree.n aawaz ke
saath aamil ki khidmat me salaam o aadab pesh karega ,is waqt aamil ke liye
zaroori hai ke who apne makhfi hamzad se muhaaidah jaat ki takmeel kare jab tak
hamzaad apne batini wajood ke saath aamil ke saamne haazir rahta hai is waqt
tak iska saaya ghaib rahta hai aur jab hamzaad amil se ijazat lekar wapas chala
jata hai to uske jaate hi aamil ka aojhal ho kaane wala saaya dobara zaahir ho
jata hai ,taskheer ke is amal ka makhfi hamzad agarcha zahiri taur par nahi
aata lekin yeh hamzad quwat o taqat me kisi taur par bhi zahiri hamzad se kam
tar nahi hota makhfi hamzaad apni
khususiyat ke aetbar se zahiri taur par masakhar hone wale hamzad ki tarah na
to har waqt aamil ke pas haazir rahta hai aur na hi aamil ko kisi qisam ka koi
nuqsaan pohchane ki koshish karta hai balke amil ke talab karne par hi haazir
hota hai aur aamil ko pesh aane wale tamam tar muamlaat se qabal az waqt khabar
daar karta rahta hai makhfi hamzaad aamil ke liye wabaal e jaan sabit nahi hota
,balke aamil ka behtareen saathi haqeeqi dost aur qaabil e aetemad ghulam ban
kar rahta hai ,is hamzaad ki ek sab se badi khubi yeh bayan ki gayi hai ke iska
aamil amal ke baad jalali o jamaali har qisam ki pabandiyon se hamesha ke liye
aazad ho jata hai.
NOTE
Mere paas aksar ahbaab hamzaad aur jinnat ko taabe banana
ke mutalliq amal daryaft karte rahte hain jin me ziada tar log amaliyat ki bunyadi
riyazat se hi nabalad hote hain phir usko agar kisi mujarrab amal e hamzad ki
ijazat di jaye to yeh bilkul aisa hoga jaise kisi andhe kuen me Dhakka dena
liahaza agar kisi sahib ko is qisam ke aamal ka shauq ho to usko chahiye ke
kisi kaamil ustaad ki shagirdi ikhtyar kare jis ki saheeh rahbari aur kaamil roohani
tawajjo kamyabi ki asal kunji ssabit ho.