Ghaibi Madad Haasil karne Ka Ajeeb Jafri Amal
Har maqsad me kaamyabi ke liye is jafri amal se
mustafeed ho sakte hai tareeqa nihayat sehal hai apne naam ke huroof ko
mufarrad kar ke likhe ab inko shumar kar lijye phir nam bari tala me se koi
aisa ism ya dw asma nikaale jinke huroof ki taadad apke naam ke huroof ke
mutabiq ho phir ism ilahi ko bhi ek satar me mufarrad likh lijye ab dono satoor
e mufarrad ko aapas me imtezaaj de len phir teen teen huroof ke aage kalam eil
laga kar moakkil banayen aur satoor e mumazzaja ke aadad bahisaab abjad qamri ke haasil karke ek
musallas baadi chal se khaalis taanbe ki takhti par kanadah karen aur musallas
ke chaaro goshon par asmaaye moakkilaat tahreer kare bas ek laa jawab
jafri tilism tyar hai isko looban
buraada surkh o safed aur kaafoor waghaira ka bakhoor de kar sabz reshmi kapde
ke taweez me band karke hamesha apne paas rakhen ab asmmaye moakkilat se ek ibarat e amal tyar
karen jis ka qaida yeh hoga ke pehle lafz Ajeeboo phir asmaaye muakkilaat phir
ism ilaahi is ibarat e amal ko rozaana ek waqt e muqarrah aur jagah ki pabandi
ke saath shuru kare din peer , jumeraat , juma ya budh ho saa at mushtari ya
shamsh ki behtar hai yeh amal satar e mamzooja ke aadad e qamri ke mutabiq padhna hai aur jitne huroof satar me hain
utne hi dino ka amal hoga , ibarat e amal ki misaal lijye , Hamid ko agar
mufarrad me likha jaye to yuon likha jayega
Haa meem yaa daal
char huroof hue khudaye tala ke asmaa me se mughni lia aur hamid me
imtezaj de dia to satar bani
Inke asmaa e muakkilaat yeh bane
محغائیل ، انمائیل
، یدائیل
Is satar ke aadad 1153 hain aur huroof 8 hain liahaza
aath dino ka amal hai jise saat mazkoora me pabandi ke saath padhna hai bahukme
Rab aath dinon me is amal ke muakkil ghaibi taur par aamil ke dost ban jaayenge
aur jis maqsad ki khatir aamil ne padhna shuru kia uske hussol me madad karenge
iske elaawa is tilism ki khaasiyat yeh bhi hai ke isko paas rakhne wala hardil
azeez hojata hai aur izzat o khushi ghaib se milti hai aur sab kaamo me ek ghaibi
madad shamil haal rahti hai ,amal ki ibarat yeh bani
اجیبوا یا محغائِل یا انمائیل یا یدائیل بحق یا مغنی
Aur misali musallas baadi yeh hai
786
381
|
387
|
385
|
389
|
384
|
380
|
383
|
382
|
388
|
اجیبوا یا محغائِل یا انمائیل یا یدائیل بحق یا مغنی
Musallas ko bewat e naqsh ke andar pur karna hai jis
ke charo taraf firishton ke sardaaron ke asmaa honge aur zila ……قولہ الحق ولہ الملک ke banaye
baaqi qaida wahi hai jo kisi bhi musbat aur saad amal ki tyari me darkaar hua
karte hain.
Allah tala humen ilm e naafe ata farmaaye aamin.