Dast e Ghaib Jaari hone Ka Amal
Taalibeen dast e ghaib ki khidmat me ek mal dast ghaib
ka haazir hai jis bandaye Khuda ki qismat me isse hissa muqarrar hoga who faida
uthayega ,rozana raat ko sone se qabal tanhaai me char rikat namaz nafl ada
karen is taur par ke pehli rket me surah fateha ke bad 10 bar surah ikhlas
doosri rikat me 20 bar surah ikhlas teesri rikat me 30 bar surah ikhlas chothi
rikat me 40 bar surah ikhlas goya char rikat me majmooi taur par 100 bar surah
surah ikhlas padha jayega phir salaam pherne ke bad 100 bar koi sa astaghfaar
100 bar durood shareef padhkar 1000 ek hazar martaba hasbunallahu wa nemal
wakeel padhe ywh amal musalsal 14 dino tak jaari rakhen yeh amal nauchandi budh
se shuru karenaur jis dn raat me is amal ko baja laana ho ussi din yani
nachandi budh ko bad namaz fajr tulu aaftab ke bad ek saat ke anadr is naqsh
azeemulqadar ko taanbe ya chandi ki loh par kanda kia jaye yeh naqsh apne anadr
asraar e ajeeb rakhta hai is naqsh ko safed reshmi kapde me lapet kar dauraan e
mal apne musalle ke niche rakha karen aur baad khatam chillah is loh e muazzam
lo usi kapde me sil kar hamesha apne paas rakhen jab tak yeh loh pas rahegi
rupai paise ghaib se milte rahenge aur kabhi jeb khali na rahega yeh amal koi
shakhsh apne bete ya dost ahbab ke liye bhi kar sakta hai.