Taskheer
e Haazirat Ke Tilismati Amaliyat
Haazirat ki
taskheer ke in amaliyat me kisi qisam ki koi pabandi nahi balke har shakhsh
apni zauq e taba ke mutabiq kamyab ho sakta hai
Hazirat
ka Tilismati Aaina
Taskheer e
haazirat o roohaniyat ke tilismati aina ki madad se aamil har qisam ke sawalat
ka qabal az waqt mukammal jawab hasil kar sakta hai amal ke liye ksi saaf
shisha par khusboo dar itar laga kar zail ki ibarat kw sat martaba tilawat kare
aur aaina par dam kare tilismati aaina ka amal yeh haiبسم اللہ
لما مطیثا رحیم برحمۃ العالی انوخ الوھاخ طیبوا بھا ما فو خادا اللہم یسر و سھل
ولا تعسر والھم لنا بروح القدس یا کن لہ لا الہ الا ہو ولا معبود سوا ہء یا شکوت
علیٰ ذالک النوت بحق حقک العظیم و برحمۃ اسمائک الکرام الرحمن علم القرآن
Amal ke liye
das bara sal ke khubsoorat ladke ya ladki ko kisi saaf aur umdah maqam par
baitha den aur aaina ko uske samne karke bache ko aina me dekhne ka hukm den
chand lamhe bad bache ko aaina me ek maidan nazar aayega jab maidan nazar aaye
to bache ko kahe ke khakaroob ko bulaye aisa kehne par bache ko maloom hoga ke
khakaroob maidan saaf kar raha hai iske bad bache ko maidan me farsh bichhta
nazar aayega jab farsh par takht aarasta kar dia jaye to bache ko kahe ke
badshah e jinnat ko hazir hone ka hukm de bache ke hukm karne par ek buzurgh
aur roohani shakhsh ki rooh hazir hoti hai is wqt zaroori hai bacha is buzurgh
ko nihayat saliqa se salaam w aadab pesh kare aur jo sawal karna hai is hazir
buzurgh se bache kea rye daryaft kare .
Ek
Doosra Tilismati Aaina
Zeil ke
tilismati amal ko chand ek bar tilawat karke ek aaina par dam kare.n aur kisi na baligh umar ke bache ko aaina me
dekhne ky liye kahe aaina me haazirat maujoood honge unse jo chahe daryaft kare
haziraat apke har qisam ke sawalaat ka tasalli bakhsh jawab denge ibarat e amal
youn haiبسم اللہ عاماطہ ما لنا علیک بسم
اللہ عاسفۃ ما سعۃ اللہ بسم اللہ ھو خالق السماء و ننزل من القرآن بسم اللہ من
وراءھم محیط بل ھو قرآن مجید فی لوح محفوظ یا رفیق بسم اللہ حضارا مجیدا۔
Maroof
Haazirat
Das bara sal
tak ki umar ke kisi saaf suthre ladke ya ladki ke dayen nakhun par siyahi
lagayen aur khushk hone par tel laga kar zeil kea mal ko tilawat karke bache
par phoonke aur naakhun me dekhne ka hukm de nakhun me haazirat ka nuzool hoga
jin se aap gumshuda insaan ,chori ,tashkhis maraz aur iske ilawa job hi sawalat
daryaft karne ho bache ke zarye haazirat se pooch sakte hai jin ke bilkul
durust aur mukammal jawab maloom honge alam ki ibarat yeh hai عزمت
علیکم یا معشر الروحانیون ان تنزلوا نھق لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہ و بحق
سلیمان ابن داود علیہما السلام و بھق کھیعص و بحق حم عسق و بحق یسین و بحق
فسیکفیکھم اللہ و ھو السمیع العلیم و بحق یا حی یا قیوم برحمتک یا ار حم الراحمین
Haazirat
Takht e Sulaimani
Ek paak o
saaf makan ko muattar karke amal ke waqt looban sandal aur kaafoor ka bakhoor
raushan kare aur bara sal se kam umar ladke ya ladki ko jo burai se mehfooz ho
pak o saaf libas pahna kar sabz rang k eek naye chiragh me chambeli ka tel dal
kar raushan kare aur bache ko chiragh ke saamne bitha kar raushan fateela ke
darmiyan ghaur se dekhne ko kahe aur khud asmaye roohaniyat ki tilawat karke
bache par dam karte jayen asamaye roohaniyah yeh hainحا قا
ماقفا حاقفا ساقفا فقات معاتقا ما فقات بھرمتہ سلیمان ابن داود علیھما السلام اھیا
و بحق لہ ما سکن فی اللیل والنھار و ھو السمیع العلیم قل اغیر اللہ اتتخذو نا فاطر
السمٰوٰت والارض و ھو یطعم ویطعمaura mal ke saath bache ko
kahe koi nazar aata hia ya nahi jab bache ko batti me koi surat nazar aaye to
pehle safai wale ko bulaye phir Takht e Sulaimani talab kare takht aane par
bimar par jaadu ya aaseb karne wale gumshuda insane ka pata chalaye ,dafeena ki
jagah ka taiyun karane aur chori shuda maal o asbab ke churane wale ka naam
jagah milne ya na milne ke bare me har sawal ka saheeh aur tasalli baksh jawab
milega.
Haazirat
ki Angoothi
Raughan e
kunjad me gandum ka saf aata mila kar khoob bareek karlen aur khushk hone par
ek angoothi me angina ki jagah par lagaye aur upar se shisha rakh kar daba den
take iski satah hamwaar ho jaye yeh tilismati angoothi hai jiske zarye aap har
qisam ke sawalat aur hal talab masail ke bare me saheeh jawab maloom kar sakte
hain amal ke liye ibarat e zeil tilawat karke angina ki jagah ko kisi
khusboodar itar se moattar Karen aur bache ke zarye apne hal talab masail ke
bare me maloomat hasil kar len ibarat e amal hasb zeil haiبسم اللہ
الرحمن الرحیم نزل بہ الروح الامین علی قلبک لتکون من المنذرین بلسان عربی مبین یا
حی یا حین لا حی فی دیمومتہ ملکہ و بقآۂ یا حی
Haazirat
Aalam e Khwab
Haazirat o
roohaniyat se aalam e khwab me mulaqat ke liye zeil ki roohani aayat ko chandi
ke waraq par hudhud ke khoon se namaz e maghrib ke waqt jabke qamar banazar e
taslees zohra ko naazir ho lakdi ke qalam se tahreer karle.n raat ko sote waqt
is waraq ko hareer safed ke parcha me lappet kar sarhane rakh le khwab me
haazirat o roohaniyat ka mushahida hoga
aayat darj zeil hai
یا بنی
انھا ان تک مثقال حبتہ من خر دل فتکن فی صخرۃ او فی السموت او فی الارض یا ت بھا ء
اللہ یا معشر الاعوان الاما امر تم من یقضی حاجتی و ینصرف فی رضائی الا تعلوم علی
و اتونی فی نومی بحق ما تلوتہ علیکم و طاعتھا الدیکم
Note:
Haazirat ki
yeh Loh bohat hi ajeeb o gharib hai isse bohat saare muamme sulajh sakte hain aur
qabal az waqt muamlaat se aagahi mil jaya karti hai agar kisi hazraat ko
banwana ho to rabta kare.n