Bismillah
Shareef Aur Aaamal e Khair o shar
Hadees me hai
کل امرذی بال لایبئد فیہ ببسم اللہ
فھواقطع یعنیyani jo kaam bismillah se shuru na kia jaye wo
abtar hai dusri hadis me hai من ارادان
ینجیہ اللہ من الذبا نیتہ تسعتہ عشر فلیقر اء بسم اللہ الر حمن الرحیمjo
shaksh chahe ke zabaniyah (19 farishtey jahannam ke azab dene wale ) se nijat
paye who bismillah sharif padhe.
Bismillah ki
kahsiyat bohat ziadah hai jis tarha bhi chahe wird kare khwa tanha ya bazumme
baaz azaim.
Istekhara
Mujarrab
Mutabarrak
raton me ke budh jumerat juma peer ki raten hain sone se qabal wozu karke ke
kisi se kalam na kare aur do rikat tahiyatul wozu padhkar bismillah sharif 786
martaba padhe aur duaye matlab kare muhn qibla ru sar shumal ke janib karke so
jaye agar rat me maloom ho behtar warna 3 din musalsal Karen.
Baraye
Futooh wa Kashaish .
Baraye husool
e futooh 6 haar bar ek chillah 21 roz me ya 3125 martaba 40 din me padhe kamyab
hoga phir rozana 119 bar wird me rakhen (ijazat kisi sahib e amal ki honi shart
hai)
Baraye
Qazaye hajaat w taskheer e Khalq
Qazaye hajat
ke liye urooj maah qamri me nau chandi jumerat ko roza rakhen aur iftar angoor
ya kishmish se Karen aur agar yeh chiz na mil sake to kisi shirni se phir bad
maghrib 120 martaba bismillah sharif padhe phir isha ki namaz ke bad bistar par
bismillah sharif is qadar padhe ke padhte padhet so jaye aur subh ki namaz ko
bismillah sahrif kea dad ke barabar naqsh mazhar o muzmar likh kar apne pas
rakhe.
Baraye
Jumla Maqasid
Baraye qazaye
hajat yeh duaے بسمہ اللہ الر
حمن الر حیم لا حول ولا قوتہ الا باللہ العلی العظیم بسم اللہ الرحمن الرحیم بسم
اللہ الملک الحق المبین من العبدالذلیل الی المولیٰ الجلیل مسنی الضر وانت ارحم
الراحمنkaghaz me likh kar darya me dale.n is ke bad 70 bar is dua ko padheالٰھی بحرمۃ کن فیکون فتبار ک اللہ احسن الخالقینAur
ghar laut kar aaye aur 100 martaba pehli dua padhe 21 din yehi amal kare is
amal ki buzughon ne bohat tareef ki hai. Jiska dil chahe ama ley.
Dushman Ki barbadi Ka Amal
Sarkash
mufsideen ke dafah ke liye nuzool maah me nahas din misl shanbah ya sah shanbah
naqsh mazhar bismillah likhe aur us shakhs ka naam is naqsh me dakhil kare uske
bad yeh dua 7 bar padh ke naqsh par dam kare bad azaan anguza o lahsun e khaam
ki dhuni de kar chulhe ke qareeb dafan kare ke garmi naqsh ko pohnche warna
talib ko zarar hoga who dua yeh hai
اللہم انی اسئلک باسم اعظیم الاعظم وھو بسم اللہ الرحمن الرحیم الذی
انت لہ الوجوہ و خشعت لہ الاصوات ووجلت من خشیتہ القلوب ان تصلی و تسلم علیٰ سیدنا
محمد و علیٰ الہ و صحبہ و ان تقضی حاجتی فی فلاں(یہاں اس
کا نام لکھیں) اللہم ان کنت تعلم انہ یرجع عما ھو فیہ قاھرہ و وفقہ ان کنت تعلم انہ لا یر جع فانزل علیہ بلائک وسخطک و غضبک و اہلکہ یا قاہر یا قھار یا قادر یا مقتدر یا اللہ
کا نام لکھیں) اللہم ان کنت تعلم انہ یرجع عما ھو فیہ قاھرہ و وفقہ ان کنت تعلم انہ لا یر جع فانزل علیہ بلائک وسخطک و غضبک و اہلکہ یا قاہر یا قھار یا قادر یا مقتدر یا اللہ
Bukhar
se shifa
Bukhar se
shifa ke liye dono naqsh mufeed o mujarrab hain matiz ke sirhane rakhe
Mushkil
kam aasan ho
Hazrat Ali
raziallaho anhu farmate hain mushkil kam asan karne ki dua bismillah hai aur
farmate hain bismillah har ranj ko door karti hai aur dil ko khush karti hai.
Apne
maqsad me kaamyabi ke liye
Apne maqsad
me kaamyabi ke liye jo shakhsh 786 martaba bismillah shareef padhega 7 din tak
rozana who phir apne maqsad ke liye dua kare rab tala zaroor uska maqsad pura
farmayega.
Har
Aafat o Musibat se Hifazat
Jo shakhsh
moharram ki pehili tarikh ko 311 bar bismillah likh kar apne pas rakhe who har
aafat bala musibat se mehfooz rahega.
Bismillah
Likhne Ka Faidah
Ek buzurgh ne
farmaya jo shakhsh 56 martaba bismillah likh kar apne pas rakhe ga Allah Rabbul
Izzat usko izzat ne nawaze ga aur koi insane usey nahi sataye ga aur jo koi 600
martaba bismillah sharif likh kar apne pas rakhe ga to logon ke dilon me uski
taazim hogi koi uske sath bura bartao nahi karega .
Quwat
e Hafiza ke Liye
786 martaba
ghuroob aaftab ke waqt pani par dam karke pilane se hafiza mazboot ho jayega.
Muhabbta
ke Liye
786 martaba
bismillah shareef ko padh kar kisi meethi chiz par dam karke matloob ko khila
de to uske dil me khilane wale ki mohabbat paida hojayegi najaiz maqsad harghiz
na ho warna nuqsan hoga.
Aulad
zinda rahne Ke Waste
Jis aurat ki
aulad zinda na rahti ho usko 61 martaba kisi kaghaz par likh kar bataur e
taweez us aurat ke bandhe to aulad zinda rahe.
Kheti
me Barkat Aur Hifazat
101 martaba
bismillah shareef likh kar kisi kaghaz me apne khet me dafan kar de.n to kheti
tamam aafat se mehfooz ho aur usme bartkat ho.
Tandasti
door ho Khushhali aaye.
Bismillah
shareef ka jamei ka naqsh ya takseeri tilism kisi parhe gar amil se ban wa len
insha Allah rupai paise ki tangi ka naam o nishan na rahega aur sare qarze ada
ho jayenge .(humare yehan se hadiyatan hasil kar sakte hain.
Har
jaiz Maqsad Pura Ho.
Hazrat shah
abdul azi muhaddis dehelvi ne apni tafseer me yeh mashhoor omaaroof amal naqal
kia hai bismillah shareef ko 12 hazaar martaba is tarha padhe ke jab ek hazar
ki tadad mukammal ho jaye to do rikat nafal namaz e hajat padh kar dua Karen
isi taur par ek hazar ke bad do rikat nafl padh kar dua karni hai insha Allah
maqsad pura hoga raqimul huroof Imran Razvee ghufera lahu ka tajarba yeh hai ke
aksar pehle din hi kaam ban jate hain aur bohat mushkil kaam hua to 12 din
musalsal isko kia jaye naakami ka to sawal hi paida nahi hota Rab tala ke fazal
se har mushkil se mushkil kaam ko yeh amal kaafi o waafi hai.
Suzak
ke ilaj ke liye
Jo shakhsh
suzak ke maraz me munbtala ho usko chahiye ke har namaz ke bad 7 martaba padh
le ….
Izala
e Haziyan
Namaz e fajar
ke baad sar par haath rakh kar phere aur yeh dua 7 bar padhe …..
Chori
o Shaitani asarat se Hifazat
Sone se qabal
21 martaba padhe to chori o shaitani asarat se hifazat rahe aur achanak maut se
bhi mehfooz rahe .
Zalim Par
Ghalba Pane ke Liye
Jo shakhsh
baitul khula jane se qabal bismillah padhle to jinnat aur Khabis jinni uske
satar ko na dekh sake.n
Saato.n
aaza par aag haraam ho jati hai
Insaan ka
saara jism sar sina , pust , do hath , do paun par mushtamil hai inhe aazaye
saba yani saat aaza kehte hain bismillah shareef ki yeh taseer hai ke jo
shakhsh ek laakh bar bismillah padh leta hai to who shaitan ke shar se mehfooz
ho jata hai Allah tala uske saat aaza par aag ko haram kar deta hai.
Daulat
mand banne ka nuskha
Ghar me
dakhil hote waqt bismillah padh kar ek baar surah ikhlas padh li jaye aur is
par mudawamat ki jaye to insane ke din phir jate hain aur dekhte dekhte daulat
mand ho jata hai.
Sau
zaroorten aur haajaten puri karne ka nuskha
Agar mandarja
zail dua ko ek sau bar padh li jaye allah tala padhne wale ki sau zaroorten aur
haajaten puri farma deta ha ibis dunya ki assi aakhirat ki.
Nekiyon
ka khazana
Hazrat abu
hurairah razi allaho anho ne farmya ke huzoor Aqdas sallallaho alaihi wasallam
ne farmaya wozu karte waqt bismillah padh lia karo jab tak farigh na hoga
farishte barabar nekiyan likhte rahenge.
Taskheer
e Quloob
Jo shakhsh
bismillah sharif ko 600 bar likh kar apne pas rakhe to logon ke dilon me uski
tazim o haibat qaim ho aur koi use bad sulooki se pesh na aaye.
Dard
e sar ke liye
21 martaba
likh kar dard sar wale ke gale me dale ya sar pebandhe insha Allah dard e sar
jata rahe ga.
Husool
e Daulat ka Anmol Nuskha
Is mal ko
wahikare jo himmate mardana rakhta ho kiyonke ek din bhi nagha hua to amal
saqit ho jayega aur mehnat rayega jaye gi rozana fajar ki namaz ke bad tulu
aaftab se qabal 300 bar bismillah sharif aur isi qadar durood shareef padh len
musalsal ek saal amal ko jari rakhen daulat e laazawal haath ayegi is amal me
ijazat zaroori hai who bhi aise aamil ki jisne bismillah sharif ki zakaat e
akbarul kabaair ada kar rakhi ho.
Bismillah
sharif ke mukhtalif aamaal insha Allah aainda tahreer karunga.
Bismillah shareef Rab tabarak o tala ki who nemat hai
jiska andaza lagana aam insaan ka kaam nahi iske asrar akabir auliyah par
khulte hain aap hazrat yeh jaan len ke bismillah sharif ki riyazat aur chillah
kasha ke bad ksi dusre amal ki hajat o zarurat amil ko nahi rahti ,jis khush
qismat ke naseeb me is khazane se hissah muqarrar hota hai bahar haal who hasil
kar leta hai yehan maine bismillah shareef ki akat aur uski riyazat ke tariqe
darj nahi kiye iske liye ek alag mazmoon darkaar hai jo ke aainda mazkoor hoga
jisme mukhtalif qisam ke aamal har kisi ke qawaye batini ke pesh e nazar draj
kia jayega take amaliyat se shaghaf rakhne wale hazraat o khwateen apne apne
waqt aur himmat ke mutabiq amal ka intekhab kar sake is tez raftaar dunya me
har shakhsh yehi chahta hai ke kam se kam waqt me ziada se ziada kamyabi hasil
kar le lekin kia yeh sab ke liye mumkin hai zahir hai aksar aisa nahi hota
lekin bismillah shareef ka waseela pakadne wala aur dil o jaan se Nabi Kareem
sallallaho alaihi wasallam par nazil hona wali is nemat ki khidmat karne wala
bohat kam arse me zarre se aaftab ban jata hai iski saari tamannayen ghaib se
puri hoti hain akheer me sirf itna kahunga ke bismillah shareef who kunji hai
jisse hart ala khola ja sakta hai .