Amal Surah Fateha Batareeq e Khaas عمل سورۃ فاتحہ بطریق خاص
surah fateha is khas tarkeeb se mashaikh e qadriyah se manqool hai aur jumla maqasid ke husool ki khatir iska wird tamam buzugho.n ka mamool hai Hazrat Shaikh Ibn e Arbi aur Imam Mohammad Ghaali alaihirrahama is surat ko sabah masani kehte hain yani sat aayat aur farmaya har aayat ke liye do ism hai is tarha الحمد للہ رب العالمین یا حی یا قیوم الرحمن الرحیم یا رؤف یا عطوف مالک یوم الدین یا عالم السرائر یا مقلب القلوب والابصار ایاک نعبدو ایاک نستعین یا سریع یا قریب اھد نا الصراط المستقیم یا قادر یا مقتدرصراط الذین انعمت علیہم یا حکیم یا قدیرغیر المغضوب علیہم ولضالین یا قاھر یا عزیز hahiye ke har namaz ke bad 10 se 41 martaba is tarteeb se padhe ke har ayat aur har ism ko das das bar aur is qasam ko das bar padhe qasam yeh hai بسم اللہ الرحمن الرحیم اللہم انی اسئلک بحق سبع مثانی و بحق قرآن العظیم بسم اللہ الرحمن الرحیم و بحق کھیٰعص و بحق حٰمعسق وبحق دعاء نبیک و حبیبک سیدنا محمد و الجاء فی کھفک و استوطن فی حرزک ولم یثق الا بک اقسمت علیکمiske elawa ek tariqa padhne ka yeh hai ke bad namaz isha 110 bar surah fateha aur 10 bar qasam padhe auwal aakhir 11 bar durood shareef kisi bhi jaiz maqsad ke husool ki khatir is amal ko karne wala kabhi nakam nahi hota chahiye ke naye chand me amal shuru kare ke jab qamar nahusat se pak ho amal ki muddat 41 yum hai khushboo ka istemal rakhe aur khilwat me bahuzoor e qalb padhe duran qira at guftagu karne se amal aya ho jayega har woh shakhs khwah amil ho ya na ho is amal se faida utha sakta hai han agar bazabta iski zakat ada karli jaye to amal qabu me aajayega aur iska amil har kisi ka kam ahasan tariqe se kar sake ga zakat ka tariqa inda mazkoor hoga.
Mohammad Imran Razvee Al Quadri