Huroof
Alif Laam Meem Ka Amal Nasooti
Sufiyo.n Aur Darwesho.n Ke Who Aamal Jo Sina Basina Chale Aarahe Hain
Yeh who
huroof hain jin se kalamullah ki shuruat hoti hai Allah tala ki bheji hui
aakhri kitab ka sab se pehla hurf alif hai huroof e muqatteaat me alif aur ya
ka bohat bada darja hai kiyon ke alif huroof e tahajji ka sab se pehla aur ya
sab me aakhir hurf hai ye dono huroof nida me jama hokar apni ahmiyat ko zahir
karte hain jab insaan Allah ko pukarta hai to hurfe nida yak e saath pukarta
hai lafze ya me huroof e tahajji ka pehla aur aakhri hurf maujood hai
Buzugho.n
ne farmaya hai ke Alif Lam Meem ka amal tamam maddi zaroorto.n aur jismani
bimaryo.n ke liye teer bahidaf ki haisiyat rakhta hai aur kaisa bhi khatarnaak
aur mohlak maraz ho alif laam meem ka amil is maraz se mareez ko nijat dilane
me kaamyab hojata hai .
Alif
Laam Meem ka amil banne ke liye alif laam meem arbi rasmul khat me qadre mota
kar k eek gate pe likhwaya jaye ya safed kaghaz par likhwa kar ia computer se
kisi achche font me print out karwakar isko gate par chaspa kardia jaye phir is
gate ko kisi diwar par laga dia jaye aur teen ghaz ke faasle par do zaanu baith
kar alif laam meem 5000 martaba parhe parhne ki jagah aur waqt muqarrar ho aur
lagatar is amal ko 40 din tak jari rakhen.
Is amal
me kisi bhi tarha ka koi parhez karni ki koi hajat nahi albatta jagah ,waqt aur
tadad ki pabandi zaruri hai ,paak saaf kapdo.n me amal karna bhi shart ki
haisiyat rakhta hai iske elawa kisi bhi tarha ki shart aur pabandi ki zarurat
nahi ,agar 40 din me ek din bhi nagha hojaye gay a jagah aur waqt ki pabandi ek
din bhi barqarar nahi rahegi to amal bekar hokar rah jayega .
Agar 39
din tak parha aur ek din kisi waja se chhot gaya to 39 din ki mehnat bekar
hojayegi ,is liye amal ki shruat us waqt kare.n jab 40 din me ek din bhi nagha
hone ka andesha na ho albatta is amal ko karne ke baad agar kisi wajah se chhod
dia to amil ki taraf kisi tarha ki rajat nahi hoti tahum baghair kisi uzr kea mal ko paya e takmeel
tak pohchaye baghair chhodna kam himmati aur namuradi ki dalil hai .
40
din pure hone ke baad amail ki nighah aur zaban me zabardast taseer aur roohani
quwat paida hogi is ke baad aamil agar kisi mareez par 3 minut
nazar jama kar dekh kar dil hi dil me alif laam meem parh lega to mareez
befazle Khuda acha hojayega kitna bhi khatarnak maraz ho agar amil mareez ko 11
din tak jhaad de aur alif laam meem parh kar dam karde to mareez tandurust
hojayega .
Jhaadne
ka tareeqa yeh hai ,mareez ko bilkul chit lita de aura mil apne chehre ko
maghrib ki taraf kar le aur mareez ke ghutno ke pas baithe iske bad 30 bar alif
laam meem parh kar sar se par ki taraf dam kare sirf ek martaba dam kardena
kaafi hai isi tarha lagatar 11 din dam kare.
Is amal
ki niaz yeh hai kea mil mareez se rozana 90 rupai wasool kare is me se 70 rupai
apne sarfe me laaye aur 20 rupai kisi majboor ko khairat karde isse ziada agar
amil wasool karega to amal bekar hojayega
muhaida ki khilaf warzi ki wajah se .
Chillah
ki takmeel ke bad amil apne haath se alif laam meem ka naqsh likh kar mareez ko
de sakta hai ek naqsh gulab o zafran se likhe is naqsh ko botal me dal kar pani
bhar de aur 11 din subh o sham iska pani mareez ko pine ki takeed karde aur
rozana waqt muqarrar kar ke mareez par mazkoora tareeqe se dam karta rahe insha
Allah bohat tezi ke saath mareez sehat ki taraf palte ga.
Gale me
dalne wala naqsh kale kapde me silne ki takeed ki jaye yeh naqsh aur yeh amal tanan
bimaryou.n me befazle Rabbul aalameen teer ki tarha kaam karta hai aur mareez
ko hairat nak taur par shifa hojati hai lekin amileen ke liye zaroori hai ke who
pehle iski zakaat ada kare aur niyaz marizo.n se utni wasool kare jitni humne
takeed ki hai aur isme se bhi gharibon ka haq zaroor nikale .
Note:
Agar mareez
kisi dusre mulk ya shahar me ho to is amal se faida na hoga kiyonke is amal me
mareez ka qareeb hona zaroori hai dam karne ke liye is ke liye ek doosra Nasooti
Amal hai jo aainda mazkoor hoga.
|