Dawat Surah Ikhlas Ba Moakkil Baraye
Futooh o Usat e Rizq.
Nauchandi
jumerat ko roza rakhe.n aur bad nmaz fajar naha kar kisi se kalaam na kare.n
aur khilwat me paak kapde pahan kar khusboo sulgaye.n arw aur do rikat
tahiyatulwozu parh kar is etesam ko 300 martaba parhe.n ۔بسم اللہ الرحمن الرحیم اللھم
اجعلنی من المخلصین بحر متہ سورتہ الاخلاص ویسرلی مایلیف بھا بین الخواص الشریفتہ
والمواھباتہ الا لھیتہ وصلی اللہ تعالی علی سید نا محمد والہ اجمعین برحمتک یا
ارحم الراحمین
Iske baad 1000
martaba surah ikhlas is tariqa se parhe.n بسم اللہ الرحمن
الرحیم قل ھو اللہ احد اجب یا جبرئیل اللہ الصمد اجب یا میکائیل لم یلد ولم یولد
اجب یا اسرافیل ولم یکن لہ کفوااحد اجب یاعزرائیل
Aur parhne ke
waqt qul huallah ka naqsh zanu par rakhe.n iske baad 100 martaba is ikhtetam ko
parhe.n یاحنان انت الذی
وسعت کل شئی رحمتہ وعلمایاحنان
iske baad 100
bar is dua ko parhe.n
اللھم انی اسلک
سخرلی خد ام ھذا السورتہ بحق لاالہ الااللہ محمد رسول اللہ
Isi tarha baad
namaz zohar,asar maghrib,isha aur tahajjud k eke k hazar ma etesam o ikhtetam
ke parhe.n majmua 6000 martaba rozana ka hua aur kul 14 din parhe is tarha 84
hazar marta hua phir pandhravi din jumerat ko bad namaz fajar hazar bar parhe
isi din bedari ya khwab me 3 farishte hazir honge unka naam Abdullah,
Abdulahad,Abdussamad hai who salaam karke kahenge aye abdussaleh tum
hamare bhai hogaye kisi musalman ki burai na karna aur har jumerat ko qaboor e
muslimeen ki ziarat kw jana aur hamesha surah ikhlas parhte rahna humlog
tumhari hajato.n ke kafeel hain aur behtar yeh hai ke dawat ke zamane me 15
roza rakhe aur iftar siah angoor se kare agar siah angoor na mile to munaqqah
ia kishmish ,maghaz badam khaye aur khane me chawal o shkar khaye namak bilkul
na khaye aur khilwat me rahe agarbatti o khushbu ka istemal rakhe phir chilla
ke baad rozana 111 bar parhta rahe naqsh yeh hai
Note-
Is amal ko har
shakhs nahi kar sakta siwaye uske jis ne mukhtalif amal ke chille baandhe ho
aur is silsile me khoob waqfiyat rakhta ho ,yeh amal lajawab hai aur baaz
auqaat riyazat ke dauran muakkil ki mauoodgi ka ehsaas aise hota hai ke haibat
taari hojati hai lekin yeh moakkilan bohat raham dil aur meharban hote hain
zarar nahi pohchate lekin khud se dar gaye to pagal hojane ka andehsa qawee
hota hai behtar hai ustad ya peer e kamil ki ijazat aur unki negehdasht me mal
kare.n insha Allah 100 fisadi kaamyabi naseeb hogi zindagi me kabhi bhi
tangdast na hoga aur jisko bhi naqsh likh kar dega uska rizq bhi kushada hoga
aur behtar hai ke jumla maqasid ke liye Lohe Surah ikhlas tanbe par kanda karke
dia kare ke asar iska saalon qaim rahta hai.