IMAM FAKHRUDDIN RAZI AUR ILMUTTALISMAAT
By IMAM
FAKHRUDDIN RAAZI Rahmatullah Alaih
TLISM BARAYE IZAT O
MANSAB
AGAR JAAHO JALAL AUR
IZZAT O MANSAB KI KHATIR TILISM BANANA MAQSOOD HO TO US KE LIYE BEHTAR HAI KE
AFTAB BURJ HAMAL KE PEHLE YA CHAUTHE YA PANCHVI YA CHAUDHVI YA PANDRAVI YA
ATHARVI DARJA ME HO YA BURJ SOOR KE AATHVI DARJE ME HO YA BURJ JUZA KE PANCHVI
YA CHATTHI YA GYARHAVI DARJA ME HO YA BURJ SARTAN PANDRAVI DARJE ME HO YA BURJ
ASAD KE ATTHARVI YA SATTAISVI DARJA ME HO YA MIZAAN KE PEHLE YA DUSRE YA
UNNISVE YA BAISVE DARJA ME HO YA BURJ AQRAB KE PEHLE DARJA ME HO YA BURJ HOOT
KE PANCHVI YA TEESVI DARJA ME HO AUR MARIKH AFTAB KE NAVI YA DASVI DARJA ME
HO AUR ZOHAL UN BURJO ME SE EK ME BURJE
AFTAB SE SAQIT HO AUR AFTAB MASHRIQI KINARA ME HO LOHE CHINI KA EK NAGINA LE
KAR US PE ADMI SURAT US TARAH KANDA KARE KE WO TAJ SAR PAR RAKHE KE KURSI PAR
BAITHA HAI AUR EK ASDAHA NE USE HAR TARAF SE USE GHER RAKHA HAI US KE DAEN
HAATH ME KHANJAR AUR BAYEN HAATH KI SIYAAH UNGLI(SHAHADAT KI UNGLI )MUH ME
DABAYE BAITHA HAI YE AMAL US BURJ KE TULOO HONE KE ARSE ME KE JIS KE AFTAB
KHATAM HOJANA CHAHIYE JAB YE SHAKL ACHI TARAH TAYYAR HOJAYE TO QADRE KHALIS
SONA AUR ANGUTHI KA SANCHA APNE PAAS MAUJOOD RAKHE YA AFTAB APNI PEHLI SURAT
PAR PAHUNCHE TO ANGUTHI SANCHA ME DAAL KAR YE NAGINA USME JAD DE AUR USE JALADE
KAR SHISHE KE SAAF GLAAS JO SAFED YA ZARD HO US ME RAKH DEAUR US GLAAS KA MUH
SAAF KAPDE SE MAZBOOT BAANDH DE PHIR USE BARABAR SAAT RATIEN BURJ JOOZA KE
SAMNE LATKAYE JAB BURJ JOOZA GUROOB HO JAYA KARIEN TO GLAAS UTHA KAR MAHFOOZ
JAGAH PAR RAKH DIYA KARIEN JO SHAKHS YE ANGUTHI APNE PAAS RAKHIEN GA LOGON KI
NIGAH ME ROB AUR SAHIBE IZZAT HOGA LADAYI ME JAYEGA TO FATAH HASIL KARE GA
ALFARZ US KE QAYDE BE SHUMAR HAI AUR TAJURBA UN KI SACHAI KI MAZBOOT DALEEL HAI
DARINDON KA TILISM
JIS
WAQT MARIKH BURJ SOOR KE CHAUTHE DARJA YA BURJ JOOZA JE CHAUBISVE DARJA YA BURJ
ASAD KE ATHVE DARJA YA BURJ JADEE KE UNISVEE DARJA YA BURJ DALOO KE NAVI DARJA
ME HO AUR AFTAB MARIKH KE QAREEB HO AGAR QAREEB NA HO TO AFTAB MARIKH KE NAVI
YA DASVI YA GYARHAVI DARJA ME HO QADRE SAAF SARKH TANBA LE KAR EK AISE ADMI KI
SURAT DHALE JO SHAR PAR SAWAR HO US KE SAR PAR TAJ HO AUR US KE TEEN SEENG HO
US KE DAYEN HAATH ME LOHE KA GARZ AUR BAYEN HAATH ME MURGA HO AGAR YE TEENO
YANI ADMI MURGA AUR SHER IKATHE NA BANA SAKE TO ALHADA ALHADA BANAKAR UNHE JOD
LE PHIR US AADMI KI DONO RANO ME US ANDAZ SE SURAKH KARIEN KE WO SURAKH ME SHAR
KE SHIKAM ME AKAR CHAAR HO JAYEN PHIR LOHE KI MEEKH LE KAR US SURAKH ME DE DE
MEEKH KE DONO SARE US ANDAZE ME GADHE KE MEEKH ANDAR DHANSI HUI MALOOM NA HO
PHIR LOHE YA TAMBE KA EK DEGCHA LE KAR YE PUTLA US ME RAKH DE AUR ITNA ROGAN
ZAITOON DALE KE TEEN UNGLI KE QAREEB ROGAN UPAR RAHE BAAD ME DHIMI AANCH SHURU
KAR DE EK UBAAL AJAYE TO AAG JALANA CHOD DE KUCH DER BAAD PHIR AAG ROSHAN
KARIEN ALGARZ SAAT DAFA JOSH DE PHIR PUTLE KO SAAF KAR KE SAAT RATIEN BURJ ASAD
KE SAMNE LATKAYE BURJ ASAD GUROOB HOTO PUTLE KO MAHFOOZ JAGAH PAR RAKH DE JIS
WAQT BURJ ASAD KE SAMNE LATKAYE US WAQT
AUR IKLEELILMULK KI DHUNI DE MAHFOOZ RAHEGA AGAR DARINDON ME CHALA
JAYEGA USE KUCH NA KAHENGE AGAR YE TILISM UNKE SAMNE KAREGA TO WO US KI TAWAZA
KARENGE
MAAL O RIZK KA TILISM
MUSHTARI
BURJ HAMAL KE SATTARHAVI DARJA YA BURJ ASAD KE PANDRHAVI DARJA YA BURJ MIZAAN
PACHISVI YA UNTEESVI DARJA YA BURJ JADI KE ATHARVI DARJA ME HO MUSHTARI AFAQ
PAR HO ZOHRA AUR AFTAB USKE MUNAZIR AUR
USSE SAQIT HO AGAR YE SARI BATIEN NA HO TO USSE ZAROOR SAQIT HO ZOHRA NAZIR FAUQULARZ HO US
WAQT EK KHALIS SONE KI PATRI DHAAL LE AYE ACHI TARAH SAAF KARE MUSHTARI APNI
PEHLI HALAT PAR LAUTE TO PATRI EK TARAF MUSHTARI KI TASWEER KHINCHYE AUR DUSRI
TARAF GOYA MIMBAR PAR BAITHA HUA EK MARD HAI JIS KE BAYEN HAATH ME TARAZU DAYEN
HAATH ME RASSI LE RAKHA HAI YSE MUSHTARI KE SAMNE SAAT RATIEN LATKAYE PHIR US
PATRI KE SAR PAR SURAKH KAR KE US ME RESHAM KE DHAGA DAAL KAR GALE ME LATKALE
US KA HAATH FARAKH RAHEGA WAQT BAHUT ACHA GUZREGA MAAL BAKASRAT HAATH ME AYEGA
AUR BESHUMAR FAYEDA HASIL KAREGA
PANI AUR BARISH KA TILISM
JAB
AFTAB KA CHAND KE SAATH BURJ SOOR YA BURJ JOOZA KE PEHLE YA PANDRHAVI DARJA YA
BURJ SARTAAN KE TERVI DARJA YA BURJ AQRAB KE PANDRHAVI DARJA YA PACHISVI DARJA
YA BURJ DALU KE PANDRHAVI DARJA YA BURJ HOOT KE CHAUBISVI YA CHAUTHE YA ATHVI
YA DASVI YA SATAISVI YA CHAUBEESVI DARJA ME IJTAMA HO EK BADA MOTA SA SISHA LE
KAR US PAR US TARAH TASWEER KHINCHEN NANGA JISM SIRF TAHBAND BANDHE HUE KAMAAN
PAR TEK LAGAYE ANKHEN UPAR AUR HAATH DUA MANGNE WALON KI TARAH UTHAYE KHADA HAI
US KE SAMNE HIRAN CHAR RAHA HAI AUR EK HIRAN KI SHAKL KA MURG AUR KACHUA ABHI
MAUJOOD HAI AGAR YE TASWEER EK WAQT ME KHATM NA HO SAKE TO AFTAB KKI DOBARA US
HALAT ME MUKAMMAL KARE BAAD ME OOD ZAFRAN KUNDAR MUSTAGI
YE
TAMAM CHIZEIN HUM WAZAN LE KAR HUM KHUB PEES LE AUR MIA ME GUND KAR CHANE KE
BARABAR GOLIYAN BANA LE RAAT KE WAQT WO TASWEER ALAG GOLI BURJ HOOT KE SAMNE
RAKH DE HOOT GUROOB HO JAYE TO CHUPA DE SAAT RATIEN YAHI AMAL KARIEN PHIR SONE
CHANDI EK BAALSHAT LAMBI SILAI LE KAR BADAN SE TAMAM KAPDE AUR DASTAAR KE
SHAMLE SE BADAN DHANPE SHEESHA BAYEN HAATH ME AUR SILAI DAYEN HAATH ME PAKAD LE
AUR SILAI PAYE DAR PE SHEESHA MARTE AUR GOLIYON KI DHOONI DE BARISH SHURU HO
JAYE GI JAB TAK SHEESHA KO NA CHUPAYEGA BARISH KHATAM NA HOGI
MUHABBAT KA TILISM
JAB
ZOHRA BURJ HAMAL KE PACHISVI DARJA YA BURJ SOOR KE DUSRE YA CHAUTHE DARJA YA
BURJ ASAD KE NAVI DARJA YA SANMBLA KE NAVI DARJA YA CHAUDHVI DARJA YA MIZAAN KE
CHAUDHVI DARJA YA AQRAB KE SOLHAVE DARJA
YA BURJ DALU KE ATHARVI YA UNISVI DARJA YA BURJ HOOT KE TEESRE DARJA ME WAQE HO
AUR CHAND US KE SAATH MOHASDA ME HO YA CHAND AFTAB KE SAATH MAQARAN HO YA CHAND
ZOHRA KE TEESRE YA CHATE DARJA PAR WAQE HO AUR MARIKH YS SE SAQIT HO US WAQT EK
BADA LAJURWAHI NAGINA LE AGAR US NAGINA ME SUNHERI NISHANAT HO TO AUR BHI UMDA
HAI US NAGINA PAR DO LADKIYON KI SHAKL IS BTARAH BANAYE KE UNHONE EK DUSRE KI
GARDAN ME BAHIEN DAAL RAKHI HO AUR KABUTAR KI SHAKL JO APNE BACHE KO CHUG
(GIZA)DE RAHA HO US PAR GUL REHAN KI TEHNI KI SHAKL BHI KUNDA KARIEN JAB
KUREDNA SHURU KARIEN USE US WAQT ZOHRA AFAQ MASHRIQ ME HONA CHAHIYE NEZ YA AMAL
ZOHRA JIS BURJ ME SE US KE PURE TULOO KARNE SE PEHLE KHATAM HONA CHAHIYE AGAR
US WAQT TAK AMAL KHATAM HO TO THAIR JAYE PHIR JAB ZOHRA APNI USI HALAT PAAR
LOHE TUBAQI AMAL PURA KARIEN US BAAD NAGINA KE CHARON GOSHON ME US TARAH SURAKH
KARIEN KE EK SURAKH DUSRE ME PAHUNCH JAYE UN SURAKHON ME SONE KI MINTHI JOD DE
JAB ZOHRA APNI ASLI HALAT PAR WAPAS AYE TO KUCH SONA AUR CHANDI HUM WAZAN LE
KAR BAHAM MILA LE AUR US SE ANGUTHI BANAKAR US ME NAGINA JAD DE USE CHAMKA KAR
RAAT KE WAQT SHEESHE KE PYALE ME RAKH KAR USE DHAK DE SAAT RATIEN BARABAR
SITARA ZOHRA KE NICHE USE RAKHTA RAHE ZOHRA GUROOB HO TO USE CHUPA DIYA KARE US
KE NICHE QADRE MUSHK ZAFRAN AUR KAFUR KI DHUNI DETE RAHE SAAT RATIEN GUZAR
CHUKE TO ANGUSHTARI KO APNE PAAS RAKH LE JIS KE PAAS IS QISM KI ANGUTHI HOGI
TAMAM LOGON BILKHUSUS AURTON KO USSE ZYADA MUHABBAT HOGI YAHAN TAK KE AGAR
RASTE ME KISI AURAT SE KISI KAAM KI TALAB KARE GA TO WO WAHI USE PURA KAR DEGI
(WALLAHO ALAM)
IS ILM KI HAQIQAT
KHAYAL
RAHE KE FLASFA KE NAZDEEK ALLAH TA’ ALA NE ASMANO AUR SITARON ME KHAAS QISM KE
ASARAT RAKHE HAI YE ASARAT UN KI MUKHTALIF HARKAAT SE ALIM DUNIYA ME NAMUDAR
HOTE HAI BALKE DUNITA KE TAMAM WAQEAT AUR HADSAT APNI ALVI IJRAM KI HARKATON KE
TABE HAI HAR SIATARA KISI NA KISI WAQAE SE MUNASBAT RAKHTA HAI HAR BURJ KI
ALHADA TASEER BALKE BURJ KE HAR EK DARJA KI KUCH ALHADA TABIYAT HAI YE CHIZIEN
UNHE ZAMANA KE TAWEEL TAJURBAT KE BAAD HASIL HOTI HAI ZAHIR HAI KE FAAL MAUJOOD
HO AUR FAAL KA QUBOOL KARNE WALA MAUJOOD NAHO TO FAAL KA IZHAR ACHI TARAH NAHIN
HO SAKTA HUKMA NE SITARON KE FAAL KI TAVAH KI TO WO US MUQAAM TAK PAHUCHE
MAKHSUS ASARAT AUR KHAWAAS SE AZAD HAI INHONE UNHE ALAG KAR DIYA AUR ALIM SIFLI
KI ALIYATON SE TALLUQ RAKHNE WALE KAWAKIB KO ALHADA KAR DIYA CHUNANCHA QISM
QISM KE KHANO AUR KHUSHBUON AUR RANGON W SHAKLON ME JO CHIZIEN UN KE MUNASIB
THI UNHE BAYAN KIYAB JO SHAKHS SITARON KE AFAAL AUR HARKAAT MALUM KARTA HAI WO
QAVI ETEQAD AUR YAQEEN RASAKH KE SAATH UN ME GAURO FIKR KARTA JO SHAKHS
TILISMAT KO ISTEMAL ME LANA CHAHE USE PEHLE ILM HIKMAT AUR ASRAR TABIYAT SE
BAKHUBI WAQIF HONA CHAHIYE NEZ ILM NAJUM SE BHI WAQFIYAT HO AUR TAJURBA BHI HO
CHUNKE YE CHIZ BAHUT KAM PAYI JATI HAI LEHAZA IS ILM KI HAQEEQAT BHI LAKHJFI HO
GAYI
SITARON KI SURATIEN
ZOHAL
EK MARD KI SURAT HAI JIS KA SAR BANDAR KA AUR BADAN ADMI KA HAI US KI DUM
KHINZEER KI SI HAI US KE SAR PAR TAJ DAYEN HAATH ME CHALNI AUR BAYEN HAATH ME
SAANP HAI MUSHTARI KA CHEHRA GIDH KA AUR BAQI SURAT ADMI KI HAI US KE SAR PAR
TAJ HAI AUR TAJ PAR MURGE AUR SAANP KA SAR HAI IS KE DAYEN HAATH ME DASTAAR AUR
BAYEN HAATH ME SHAHAD KA LOTA HAI MARIKH EK MARD KI SURAT HAI JIS KE SAR PAR
SURKH RANG KA TAJ HAI WO DAYAN HAATH NICHIEN KIYE HUE AUR BAYAN UPAR UTHAYE HUE
HAI DAYEN HAATH ME KHUN ALOOD NANGI TALWAAR AUR BAYEN HAATH ME LOHE KA KODA HAI
AFTAB EK AISE MARD KI SHAKL HAI JIS KE DO SAR HAI HAR SAR PAR TAJ HAI AUR HAR
TAJ KE SAAT PHANDE HAI AUR WO GHODE PAR SAWAAR HAI US KA CHEHRA ADMI KA HAI AUR
SAANP KI DUM HAI DAYEN HAATH ME SONE KI CHADI AUR GALE ME JAWAHARAT KA HAAR HAI
ZOHRA US KI SHAKL ADMI KI RANG SURKH SAR PAR TAJ JIS KE SAAT PHANDE HAI DAYEN
HAATH ME TEL KI BOTAL AUR BAYEN HAATH ME KANGI HAI ATAARWAN KA BADAN MACHLI KA
AUR CHEHRA KHINZEER KA HAI US KA EK HAATH SIYAH AUR DUSRA SAFED HAI SAR PAR TAJ
HAI AUR US KI DUM MACHLI KI HAI DAYEN HAATH ME QALAM AUR BAYEN ME DAWAT HAI
QAMAR KI SHAKLI EK MARD KI HAI JO SAFED GAI PAR SAWAR HAI US KE SAR PAR TAJ HAI
JIS KE TEEN PHANDE HAI DONO HAATHON ME KANGAN AUR GARDAN ME SABZ TOOQ HAI DAYEN
HAATH ME YAQOOT KI CHADI AUR BAYEN HAATH ME REHAAN KI TEHNI HAI ALBUZATEES
BABLI NE IS TARAH BAYAN KIYA HAI AGARCHE NAJUMIYON IS BARE ME IKHTELAF HAI AQL
KO IS KOI DAKHL NAHIN HAI
SITARON KI DAWAT
AJAM
KE BADSHAH JINHONE NE NOOR YA NOORANI CHIZON KO APNI DUA KA QIBLA BANAYA HUA
THA HAMESHA SUTARON KI PUJA KARTE THE BILKHUSUS JAB SITARA APNE KHANA YA SHARF
ME HOTA AUR MANOOS NAZAR SE KHALI HOTA US JIN CHIZON KA TALLUQ US SITARA SE
HOTA UN SAB KO JAMA KAR KE UN KI IBADAT ME MASHGUL HO JATE CHUNANCHA AGAR KOI
SHAKHS AFTAB KI DAWAT KARNI CHAHTA ITLASI AUR ZARBAFTI KAPDE PEHEN LETA SONE KI
CHIZON SE APNE APKO ARASTA KARTA APNE TAJ ME BAHUT SE YA QUAT AHMAR RAKH LETA
BAAD ME KISI JAGAH BATH KAR TANHAI YA KHILWAT ME KAFI RIYAZAT KARTA US RIYAZAT
SE FARIG HOTA TO QURBANI KARTA AUR YE JO KAHA JATA HAI KE AJAM KE BADSHAH
HAMESHA TAJ PEHNE REHTE THE AUR ZARBAFTI LIBAS SE ARASTA AUR SAJE REHTE THE TO
USKI WAJAH YAHI THI KE WO AFTAB PARAST THE AUR USI SE APNI HAJAT RAWAI KIYA
KARTE THE MAGAR HAMARI SHARIYAT ME JO SHAKHS AISA KAAM KARE WO KAFIR HO JATA
HAI MARIZON ME SHUMAR KIYA JATA HAI AGAR LOGO ME YE CHIZ NA HOTI TO HUM IS
KITAB ME USKA ZIKR TAK NA KARTE MAGAR HUM KHABARDAR KARTE HAI KE AISE AMAL KE
QAREEB BHI NA JAYE HO SAKTA HAI KE US SE DINVI MAQSOOD HASIL HO JAYE MAGAR DEEN
TABAH HO JAYEGA AUR AQEBAT KE AITBAARSE YE GHATE KA SAUDA HAI
SITARON KE QABILE
AFTAB
MARIKH AUR MUSHTARI EK DUSRE KE MAVIN AUR MADADGAR HAI USI TARAH ZOHAL ZOHRA
AUR ATARU BHI EK DUSRE KE MADAD MAVIN HAI QAMAR MARIKH AUR MUSHTARI BHI APAS ME
DOST HAI MAGAR AFTAB AUR ZOHAL QAMAR AUR ZOHAL MARIKH AUR ZOHRA AUR MUSHTARI
AUR ATARU EK DUSRE KE DUSHMAN HAI
SITARON KE RANG
ZOHAL
KA RANG SIYAH AUR MAZA KADVA HAI MUSHTARI KA RANG KHAKI AUR ZAIKA MEETHA HAI
MARIKH KA RANG SURKH AUR MAZA TALKH HAI AFTAB KA RANG ZARD AUR MAZA TEZ HAI
ZOHRA KA RANG SAFED AUR MAZA CHARB HAI ATARU KA RANG NEELA AUR MAZA TARSH HAI
QAMAR KA RANG AUR MAZA KHARI HAI
HAR SITARA KI DHOONI
AUR PATTHAR
YAQOOT
ALMAAS AQEEQ AFTAB KI MANSOOB HAI AFTAB KI DHUNI OOD HAI CHAND KA PATTHAR JAZA
HAI JISE MAHRA SULEMANI KEHTE HAI DHUNI US KI KUNDAR HAI ZOHAL KA PATTHAR HAR
SIYAH RANG KA PATTHAR HAI US KI DHUNI MANIA HAI MUSHTARI KA PATTHAR WO HAI JIS
KA RANG KHAKI HAI US KI DHUNI SUNDARS HAI ZOHRA KA PATTHAR HAR SAFED RANG KA
PATTHAR HAI US KI DHUNI ZAFRAN HAI ATARU KA PATTHAR NEELE RANG KA PATTHAR HAI
WO UMR BHAR TAJURBAT ME MASHGUL REHTA HAI TAJURBAT KE DAURAN WO AISE ASAAR
MUSHAHEDA KARTA HAI JO TAHREER ME NAHIN ASAKTE Imam Fakhruddin Razi ka mazmoon yehan
par khatam hua ...........,is mazmoon ko ifada e ilmi ke taur par shaya kia
gaya hai aharcha isme baaz aise tilismat ka bhi zikar kia gaya hai jis ke
jandar ki shakal waghaira banai jati hai ,aur az roye sharah yeh qatan jaiz
nahi ,isse yeh na samajhna chahiye ke Imam Fakhruddin Razi aise tilismat banaya
karte they ya iske banane ki targheeb de rahe hain balke unho ne Ilmuttalismat
ki ifadiyat ke pesh e nazar falasfa aur huakama ke tariqaye tilism sazi ko
naqal kia hai ,Amileen aur is fun ke mohaqqiqeen ke ke liye is ,azmoon me bohat
kuvh poshida hai goya kooze me darya samo dia hai maslan Imam Razi ne izaat o
shorat , rob o dabdaba, mohabbat o ulfat , taskheer mastoorat , taskheer khalq
, hajat rawai aur mushkil kushai ke liye sitaro.n ke jin makhsoos darjat ka
zikar kia hai wahi is shareef ilm ki bunyadi zarurat hai ab raha tilism sazi ka
masla to is silsile me amil apne sawabdeed par aur apni tahqeeq o tajurbat ki
raushni me aise tilism tyar kare jo jandar ki shakal o surat se pak ho
huroof , anasir , asmaye ilahi aur arwahe falki ke imzajah se baaz aise
hairat anghez tilism tyar kiye jate hain jin ki quat aur taseer ko delh kar
aqal e insani warta e hairat me doob jati hai raqimusutoor Imran Razvee un aamileen
hazrat ko dawat e amal deta hai jo tilismati qawaid o zawabit ko bala e taaq
rakh kar mahaz apne qayas e fasida se amal ki tyari me lagte hain lehaza asar
zahir na hone ki surat me khud bhi pareshan hote hain aur sail ko bhi
mayoos karte hai saheeh waqt ka istekhraaj hi is fun ki jaan hai goya saheeh
waqt rooh ki tarha hai aur tilism badan ke mashaba jab rooh mutallaq bilbadan
na hoga jism bejqn tasawor kia jayega isi raaz ko Imam Fakhruddin Razi ke
mazmoon me talashna ek tajurba kaar aur kuhna mashq aamil ka kaam hai.