LOHE ISM ZAAT KA MUKHTSAR
TA’RUF
ISM AZAM ALLAH BARAYE AFZONI MARTABA O AZEEZ KHALAIQ
O HUSOOL E DAULAT
LOHE ISM ZAAT KA MUKHTSAR TA’RUF AZMAT O BARTARI HASIL KARNE KHILQAT ME
MOAZZAZ O MOHTARAM HONE MARTABA O UROOJ HASIL KARNE , KAAM AUR KAROBAR ME MAALI
USAT PANE KE LIYE ISM ZAAT BARI TALA KI LOH ZAHIR KI JATI HAI JA ZAMANA QADEEM
SE APNI HAIRAT ANGEZ BARTARI AUR ASAR KE LEHAZ SE MUTA’ADDID QAUMO ME RAIJ THI
,HAZARHA SAAL PESHTAR 66 KE ADAD KO JAADO KA ADAD GINTE THE MISR KE QADEEM
TAKHTIYON PAR AKSAR LOHEN MILI HAI JIN PAR 66 KE ADAD NAQOOSH THEY SHAHI KATBO
AUR JHANDO.N ME IS ADAD KA KANDA KIA JANA BAAISE BARKAT ,IFTEKHAR AUR AZMAT GINA JATA THA BUTO.N KE GALE ME BHI
66 KE ADAD KI TAKHTIYA.N DALA KARTE THEY UNKA AQEEDA THA KE 66 KE ADAD KI
ROOHANI QUWAT SE KHILQAT JHUK JATI HAI AUR HAMESHA MUTEE RAHTI HAI ,AISI
TAKHTIYA.N MURDO.N KE SINE PAR BHI RAKHTE THEY TAKE DOOSRI DUNIA ME UNKO RAHAT
MILE ZAMANA QADEEM KE LOG 66 KE ADAD KO KIN WAJOHAT KI BINA PAR JADOO KA ADAD
GINTE THEY MUJHE ISKI TAHQEEQ NAHI HO SAKI LEKIN ISLAM KI SAR BULANDI PAR IS
RAAZ KA BHI INKESHAF HO GAYA KE YEH ISM ZAAT ALLAH KE ADAD HAIN ,AUR YEH
HAQEEQAT HAI KE JIS SHAKS NE BHI IN ADAD KI QUWAT SE MADAD LI AUR APNI AZMAT
AUR HIFAZAT KE LIYE ISEY IKHTIYAR KIA WHO DUNIA KE TAMAM MASAIB AUR DUSHMANO SE
MEHFOOZ HOKAR SARBULAND AUR MOAZZAZ HUA ,ISM ZAAT ALLAH TAMAM ASMA PAR HAAWI
HAI QUR’AN HAKEEM ME SAB SE PEHLE ISI ISM KA ZIKR HAI,ISKA HURF ALIF TAMAM
HUROOF PAR MUQADDAM HAI ,ISM ALLAH KI SIFAAT O KAIFYAAT KE ASARTA KE MUTALLIQ
LIKHNA KISI INSAAN KI TAQAT NAHI ,HAR ,MUSALMAAN IS ISM SE WAQIF HIA ILM JAFAR
KE MAHIREEN IS HURF KI QUWAT SE KAAM LENE KE TARIQO.N SE BHI BA KHABAR HAIN ,IS
LOH KI BOHAT KHUBIYAN HAIN ISKE ADFAAQ HAIRAT ANGHEZ HAIN ISI LEHAZ SE ISKE
ASRAR BOHAT HAIN LEH KA HISABI KAMAL YEH HAI KE EK ADAD SE SHURU HOKAR 32 PAR
KHATAM HOTA HAI, (1) ITRAF SE KOI KOI SA 4 NUMBER EK LINE ME LE.N MAJMUA 66
HOGA (2) KONO KE CHAR CHAR KHANO KA MAJMUA 66 HAI (3) ISKI HAR MUSALLAS KE ADAD
66 HAIN (4) ISKE MARKAZ KE KHANO KA MAJMUA 66 HAI (5) AUR BHI MUTA’ADDID CHAR
NUMBER 66 KA MAJMUA HAI (6) ISM ALLAH ME CHAR HUROOF HAIN IS LOH ME CHAR
MURABBA HAI UPAR CHAR NICHE CHAR (7) KUL ADAD 528 KA MUFARRAD 15 HAI 15 ADAD MUSALLAS KE HAIN IS LOH ME 8
MUSALLISEEN HAIN HAR MUSALLAS KE ADAD KA MAJMUA 66 HAI (8) HAR MUSALAAS 1 2 3 4
5 6 7 8 KE ADAD SE SHURU HOTI HAI IS LIYE HAR SHAKS KI ISME SE WHO KHATIM BHI
BAN SAKTI HAI JO ISM ALLAH KI HAI LIHAZA HAR SHAKHS KE NAAM KA MUFARRAD ADAD
ISI KHATIM ME MAUJOOD HOGA TARIQA YEH HAI KE AP APNE NAAM KE HURF AUWAL KE ADAD
KE MUFARRAD ADAD LE.N WHO MUFARRAD ADAD JIS MUSALLAS KE KONE PAR HAI ISKE ADAD
LEKAR ANGUSHTARI TYAR KAR WA LE.N MASLAN YAD RAKHE.N JO KHATIM NUMBER 8 KI HAI
WAHI KHATIM NUMBER 9 KIBHI HAI KIYONKE HAR DO EK HI MUSALLAS ME MAUJOOD HAI .
YEH TO HUA LOH KI AKMALIYAT KA MUKHTASAR KHAKA ISKE KHWAS AUR FAWAID LIKHNE SE
MERA QALAM QAASIR HAI HAR MUSALMAAN ALLAH KE ISM KI QUWAT SE BA KHABAR HAI JIS
SHAKHS KE PAAS YEH LOH HOGI WHO JAHANDARI ,TASKHIR E UMARA , DAULAT MANDI
,TARAQQI IZZAT O MARATIB KI PURI IMDAD HASIL KAR SAKE GA AUR KHILQAT ME AISA
MAQBOOL O MUQTADAR HOGA KE HAM ASAR HAIRAN RAH JAYENGE DUSHMAN MAQHOOR HONGE AUR MUFSIDO ME SE AMAN
ME RAHEGA HAMIL E LOH KE LIYE ASBAB PAIDA HOTE RAHENGE JIN SE TARAQQI AUR
SARFARAZI KE DARWAZE KHUL JAYENGE IS LOH ALLAH KO MAINE EK ANGREZI KITAB BELIEVE
IT OR NOT ME BHI DEKHA HAI WAHAN ISE MAJIC SQUARE LIKHA HAIYANI JADOO KA
MURABBA YEH BHI TAHREER HAI KE MASEEH ALAIHISSALAM SE HAZAARO.N SAAL PESHTAR MISR KE QADEEM
KATBO.N PAR ISE LIKHA HUIA PAYA GAYA HAI ,IS LOH KO SONE KI TAKHTI PAR BANWANA
AFZAL HAI AUR SAREEHUL ASAR AGAR SONA MEASSAR NA HO TO CHANDI YA TANBE KI LOH PAR BANWAYE.N AUR YEH BHI NA HOSAKE TO
SUNEHRE KAGHAZ PAR BAN WALE.N JIS SHAKHS KI QISMAT KAMZOR HO AUR DUNIA ME NAKAM
ZINDAGI BASAR KAR RAHA HAI ISKO ZAROOR ISM ZAAT KI LOH YA ANGUSHTARI BANWANA
CHAHIYE ISSE KISI BHI SAIYARE KE AUJ YA SHARAF ME TYAR KIA JASAKTA HAI .HUMARE
YEHA LOHE ISM ZAAT AUR TILISMI MUSALLAS BARAYE ANGUSHTARI KHAS AUQAAT ME TYAR
KIA JATA HAI.
|