ISTKHARA KA SAHI TAREEQA AUR ADAAB O AHKAAM
AABO
GUL KA YE KHAMEER JISE ALLAH RABB UL IZZAT NE ADAM KI SHAKL ME TASHKEEL DIYA
AUR ILM O DANAI,AQL O FARAASAT KI BINA PAR MAKHLUQAAT ME ASHRAF AUR APNA NA’EB
MUQARAR KIYA JO AAJ CHAND O MAREEKH PAR KAMANDIE.N DALNE AUR USE ADAM KA NASHEMAN
BANANE AUR APNE ILM O TAKHLEEQ KI BUNYAD PAR MAKHLUQAAT KE HAQA’EQ SE WAQIF
HONE AUR UN KO APNE CONTROL ME KARNE KE LIYE KUSHA O SARGARDA HAI - BAAZ DAFA
MALUMAT KI WUS’AT AUR WASAYEL KI BOHTAT KE BAWAJUD US KE AISE AMOOR,WAQEAT O HAADSAT
KA SAMNA HOTA HAI JISSE USE APNI ILMI,KAM MAYEGI O AUR AQL W DANAI KE MAHDUDIAT KA EHSAAS HONE LAGTA
HAI-AUR YE APNI TAMAM SALAHIATON AUR ISTEDADO KE BAWAJUD DUSRO KI MADAD AUR
REHNUMAI KA MOHTAJ AUR MUNTAZIR HOTA HAI-EK AISE WAQT ME JAB KE INSAAN TAZBAZB
KA SHIKAR AUR REHBARI KA TALABGAAR HOTA HAI AUR KISI CHEEZ KE IKHTIYAAR W
ANTEKHAAB ME PASO PESH ME PAD JATA HAI TO SHARI’AT USE WAAHI TABAHI AMOOR SE BACHATE
HUE MAQOOL AUR PASANDIDA AMR‘ISTKHARA, KI REHNUMAI KARTI HAI MUSNADULHIND HAZRAT
SHAH WALIULLAH MUHADDIS DEHELVI RAHMATULLAH ALAIH APNI
KITAB‘HUJJATULLAHILBAALIGHAH , ME ISKI MASHRUIAT KI HIKMAT W MASLEHAT BAYAAN
KARTE HUE FARMATE HAI KE:‘‘ZAMANA JAHLIYAT ME JAB KISI KO SAFAR,NIKAH AUR
KHARIDO FAROKHT JAISE AHEM AMOOR PESH AATE TO WO‘ISTIQSAAM BILAZLAAM,KARTE- YE
ARAB ME RAYIJ EK TAREEQA THA KE JAB KOI SHAKHS KISI AHEM KAAM KA IRADAH KARTA
AUR MUSTAQBIL ME USSE MUTALLIQ BEHTARI YA KHISARAH KO MALUM KARNA CHAHTA TO WO
KHANAE KAABA KE ZIMEDAAR KE PAAS JATA USKE PAAS KUCH TEER HOTE-WO ZIMEDARAN
TEERO.N KI MADAD SE US SHAKHS KO US AMAL KE KARNE YA NAKARNE KI TAKEED KARTA-IS
TARAH KE KUCH AUR TAREEQE BHI KHAIRO SHAR KE MALUM KARNE KE UNKE DARMIYAN RAYIJ
THI-NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE US JAHILANA RASM SE MANA FARMAYA
KYUNKE ISKI NA TO KOI ASAL HAI AUR NA
KOI BUNYAD,BALKE USME KUCH BHALAAI NIKAL BHI JATI TO WO BHI ITEFAAQ HOTI BHI
AUR CHUNKE US KE BAAD YE LOG US KO KHUDAI HUKM AUR FAISLA SAMAJH KAR AMAL KARTE
YA TARK KARTE THE JISME EK TAUR PAR ALLAH RABBULIZZAT PAR BOHTAN BHI THA TO
SHARIAT NE INSAAN KI FITRI ZARURAT AUR TABEE MILAAN O KHALJAAN KO MALHUZ RAKHTE
HUE RAB E KAENAT SY REHNUMAI AUR ISTEFADA KA ZARIA ISTEKHARA KI SHAKL ME USE ATA
KIYA
·
ISTEKHARA KI HIKMAT
ISTEKHARA
KI HAQEEQAT AUR USKI RUH YE HAI KE JAB BANDA KISI AMR ME MATAHAIYER AUR MUTARDUD
HOTA HAI AUR KOI SAAF AUR WAAZE PEHLU SHARAEE AUR AQLI,MA’ASHI AUR DEENI TAUR
PAR NAZAR NAHIN AATA AUR USKA ILM REHNUMAI SE QAASIR AUR AQL BEHTAR AUR SAHI KE
INTEKHAB SE AAJIZ HO JATI HAI TO YE BANDA APNI DARMAANDGI AUR BE ILMI KA EHSAAS
O ETRAAF KARTE HUE APNE ALEEM KUL AUR
QADIR MUTLAQ MALIK SE REHNUMAI AUR NUSRAT KA KHWAHISHTGAAR HOTA HAI AUR APNE
MAAMLE KO RAHEEM W KAREEM ZAAT KE HAWALA KAR DETA HAI KE JO TERE NAZ-DEEK
BEHTAR HO BAS ISI FAISLA AUR INTEKHAAB KAR DE.
·
ISTEKHARA KI FAZILAT
ISTEKHARA
KI FAZILAT O AHMIYAT AUR BANDO KO USKI HAAJAT W ZARURAT KE PESH NAZAR,HUZOOR SALLALLAHO
ALAIHE WASALLAM ISTEKHARA KI TALEEM,USI EHTEMAM SE FARMATE THE JIS EHTEMAM SE
KE AAP SALLALLA-HO ALAIHE WASALLAM UN KO QURAN KAREEM KI SURATON KI TALQEEN
FARMAYA KARTE THE-HAZRAT JABIR RAZI ALLAHO TA’ALA ANHU SE MANQOOL HAI,FARMATE
HAI KE RASOOLALLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM HAMIEN APNE MAMLAT ME ISTEKHARA
ISI EHTEMAM SE SIKHATE THE JIS EHTEMAM SE QURAN KAREEM KI SURATON KI TALEEM
FARMATE THE-(BUKHARI)- EK DUSRI HADEES ME HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KA
IRSHAD HAI KE‘ISTEKHARA KARNE WALA KABHI NA KAAM W NA MURAAD NAHIN HOTA
THA,(MAJMA’ALZAWA’ED) KYUNKE US NE APNE MAAMLE KO AISI ZAAT KE SUPURD KIYA HAI
JO MAA SE ZYADA SHAFEEQ W MEHERBAN AURBAAP SE ZYADA MASLEHATO.N AUR HIKMATO.N
PAR NAZAR RAKHNE WALA AUR KHAIR KHWAH HAI-AGAR AISI RAHEEM W KAREEM ZAAT SE BHI
JIS KI JUDO SAKHA AUR SHAFQAT W MUHABBAT KI NA TO KOI ADEEL HAI AUR NA KOI
MISL,KOI ISTEFADAH NA KARE TO USKI HIRMA.N NASEEBI ME KYA SHUBA BAAQIREH JATA
HAI?(TIRMIZI)-AADMI KI BAD BAKHTI KE LIYE YE BAAT KAAFI HAI KE WO ALLAH SE
ISTEKHARA KARNA CHODH DE-
·
ISTEKHARA KA MASNOON TAREEQA
ISTEKHARA
KA TAREEQA JO HADEES SHARIF ME WAARID HUA HAI JO SUNNAT KI BARKATON AUR AAP
SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI TALIMAT KI NURANIYON SE MA’MUR HAI HADYAE QAARYEN
KYA JATA HAI SUNAN W MUSTAHIBAAT KI RIYAYAT KARTE HUE ACHI TARAH WAZU KARKE DO
RIK’AT NAFL ISTEKHARA KI NIYAT SE PADHE PHIR KHUB ALLAH RABBUL IZZAT KI TAAREEF
W TAMHEED KARE USKE BAAD ISTEKHARA KI YE DUA PADHE(TARJUMA)YA ALLAH MAIN TERE
ILM KE ZARYE TUJHSE KHAIR MANGTA HU.N AUR TERI QUDRAT KE ZARYE TUJHSE QUDRAT
TALAB KARTA HU.N AUR TERE BADE FAZL KA TUJHSE SAWAL KARTA HU.N KE BILA SHUBAH
TUJHE QUDRAT HIA AUR MUJHE QUDRAT NAHI AUR TU JAANTA HAI AUR MAIN NAHI JAANTA AUR
TU GHAIBO.N KO KHUB JANNE WALA HAI AYE ALLA AGAR TERE ILM ME YEH KAAM MERI
DUNYA O AAKHIRAT ME BEHTAR HAI TO ISKO MERE LIYE MUQADDAR FARMA AUR AASAN FARMA
PHIR MERE LIYE ISME BARKAT FARMA AGAR TERE ILM ME MERE LIYE YEH KAAM DUNYA O
AAKHIRAT ME SHAR YA BURA HAI TO ISKO
MUJHSE AUR MUJHKO ISSE DOOR FARMA AUR MERE LIYE KHIAR MUQADDAR FARMA JAHAN
KAHIN BHI HO PHIR MUJHKO USPAR RAAZI FARMA DE (BUKHARI SHAREEF) FUQHA O MUHA-DDISEEN
FARMATE HAIN KE ISTEKHARA KI DUA PURI KARNE KE BAAD QIBLA RUKH HO KAR BAWAZU
SOJAYE(SHAAMI)ALLAMA NAWWI REHMATULLAH ALAIHE AUR IMAM GHAZAALI REHMATULLAH
ALAIHE NE PEHLI RIK’AT ME SURAH KAFIROON AUR DUSRI RIK’AT ME SURAH IKHLAAS
PADHNE KI BAAT BHI KAHI HAI-(UMDATUL QAARI SHARAH BUKHARI)MULLA ALI QAARI
REHMAT ULLAH ALAIHE NE US KE ILAWA PEHLI RIK’AT ME(AAYAT 86 SURAH QASAS) AUR
DUSRI RIK’AT ME( AYAT 36 SURAH AHZAAB) PADHNE KA MAMUL BHI NAQL KYA HAI-(MIRQAATULMAFATEEH)-AGAR
KISI SHAKHS KO KOI KAAM ACHANAK PESH AAJAYE AUR USE ITNI MOHLAT NAHO KE WO
MAZKURA BALA TAREEQA PAR ISTEKHARA KAR SAKE TO WO SIRF DUA PAR BHI IKTIFA KAR
SAKTA HAI.
·
ISTEKHARA KA NATIJA
YE
EK AHEM MASLA HAI-IS SILSILE ME AAM LOG UMUMAN PARESHANI AUR ULJHAN KA SHIKAR
REHTE HAI KE ISTEKHARA TO KAR LIYA LEKIN UN PEHLUON ME SE KIS PEHLU KA
INTEKHAAB HAMARE HAQ ME NAAF’E AUR KAMYABI KA ZAAMIN HOGA US KO KAISE PEHCHANA
AUR JANA JAYE AUR KIN ALAMAT KO PESHE NAZAR RAKHTE HUE INTEKHAAB AUR AMAL DAR
AAMAD KIYA JAYE?IS SILSILE ME DO TARAH KI RAI MILTI HAI:(1)EK YE HAI KE NAFS
ISTEKHARA KAAFI HAI AUR ISIPAR ETEMAAD KARTE HUE AADMI JIS KISI PEHLU KO
IKHTIYAAR KAREGA INSHA ALLAH KHAIR USI ME HOGA KYUNKE ISTEKHARA EK DUA
HAI-BANDA APNE PARWARDEGAR SE ISTEKHARA KE ZARYE DARKHWAST KARTA HAI KE ALLAH
US KE HAQ ME KHAIR AUR BHALAI KO MUQADDAR FARMAYE TO ZARUR ALLAH USKE HAQ ME
BEHTARI AUR USKE HAAL KE MUNASIB AMR KO USKE LIYE MUNTAKHAB AUR SAHAL FARMA
DETA HAIN-(2) DUSRI BAAT YE HAI KE ISTEKHARA KARNE KE BAAD DIL KA MILAAN AUR RUJHAAN
KIS PEHLU PAR HO USI KO IKHTIYAAR KARNA CHAHIYE IS RAI KI TA’EED EK HADEES SE BHI HOTI HAI JIS KO IBNUSSANI NE
HAZRAT ANAS RAZI ALLAHO TA’ALA ANHU SE RIWAYAT KIYA HAI HAZRAT ANAS RAZI ALLAHO
TA’ALA ANHU FARMATE HAIN KE RASOOL ALLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE IRSHAD
FARMAYA KE JAB TUM KISI KAAM KA IRADA KARLO TO APNE RAB SE SAAT DAFA ISTEKHARA
KARLO PHIR JIS CHEEZ KI TARAF TUMHARA ZEHEN MUTAWAJJA HO USI KI TARAF TAWAJJA
KARLO KYUNKE KHAIR ISI ME HAI-ULAMA KI EK BADI TA’DAAD KA RUJHAAN BHI ISI RAI
KI TARAF MALUM HOTA HAI AUR INHONE IS RAI KO IKHTIYAAR KIYA HAI-DEKHIYE(UMDATUL
QAARI/MIRQATUL MAFATEEH) ISTEKHARA ME KHWAB DEKHNA ZARURI NAHIN HAI AGAR KISI KO
KHWAB AJAYE TO YE USKE QALBI RUJHAAN KE LIYE MADADGAAR SABIT HOGA CHUNANCHA MASHAEKH
IS SILSILE ME KEHTE HAIN AGAR KOI KHWAB ME SAFED YA SABZ RANG KI CHEEZ DEKHLIEN
TO USKE LIYE MUNASIB YE HAI KE US KAAM SE IJTINAAB AUR PARHEZ KARE.
·
ISTEKHARA KIN UMOOR ME KIYA JAYE
ISTEKHARA
AISE MAMLO.N ME KIYA JAYE JISKE MUFEED AUR DURUST PEHLU SE INSAAN WAQIF NA HO
AGAR WO MAMLA AISA HO JIS KI BHALAI SE INS-AAN WAQIF HO JAISE IBADAT AUR DEGAR
EHKAME SHARA YA PHIR USKI BURAI ME US PAR WAAZE HO MASLAN GUNAH KE KAAM AUR
MUNKIRAAT TO UN AMOOR ME ISTEKHARA KI KOI HAAJAT HAI HI NAHIN KYUNKE SAHI AUR
GALAT TO WAAZE AUR ZAHIR HAI-ISTEKHARA JAYEZ AUR MUBAAH CHEEZON ME KIYA JAYEGA
NEZ AISE WAJIBAT ME BHI KIYA JASAKTA HAI JIS ME WAQT AUR KAIFIYAT KI KOI QAID
NA HO TO UN KE WAQT AUR KAIFIYAT KE SILSILE ME ISTEKHARA KIYA JASAKTA HAI
(HASHIYA TEHTAWI)-DUSRI BAAT YE HAI KE HAR JAYEZ AUR MUBAH KAAM ME BHI
ISTEKHARA NAHIN KIYA JAYEGA BALKE AISE UMOOR ME ISTEKHARA KIYA JAYEGA JO KABHI
KABHAR PESH AATE HAIN AUR JISKE LIYE EHTEMAM BHI KIYA JATA HO JAISE
SAFAR,TAMEER,NIKAH WAGAIRA-LEKIN AISE UMOOR KA JO HAMESHA LAHAQ REHTE HO AUR UNKE
LIYE KOI EHTEMAM BHI NA KIYA JATA HO MASLAN ADATAN KHAYE AUR PIYE JANE WALI
CHEEZIEN TO UN UMOOR ME ISTEKHARA NAHIN KIYA JAYEGA-(SHARAH ABI DAWOOD) HADEES
SHARIF ME NAMAZ ISTEKHARA KE LIYE KOI KHAAS WAQT WARID NAHIN HUA LEHAZA NAMAZ
ISTEKHARA UN AUQAAT KE ILAVA JIN ME NAMAZ PADHNA MAKRUH HAI KISI BHI WAQT ADA
KI JASAKTI HAI-(MIRQAATUL MAFAATEEH) ALBATTA ALLAMA IBNE ABIDEEN SHAMI REHMAT
ULLAH ALAIH ‘SHARAUSHARIAH, KE HAWALE SE MASHAEKH SE SUNI HUI YE BAAT NAQL KI
HAI KE USKE PADHNE KE BAAD BAWAZU SO JAYE USSE YE BAAT MALUM HOTI HAI KE NAMAZ
ISTEKHARA SONE SE QABL ADA KARNA MUJARRAB AUR NAAFE HAI-(SHAMI)
·
ISTEKHARA ME TAKRAAR
AGAR
KISI KO EK DAFA ISTEKHARA KARNE SE KISI EK PEHLU PAR DILI RUJHAAN HASIL HONE
TAK ISTEKHARA KARTA RAHE CHUNANCHA ALLAMA AINI REHMAT ULLAH ALIH NE IMAM NAVVI
REHMAT ULLAH ALIAHE KI‘KITAB ALAZKAAR,SE UNKA YE QAUL NAQL KIYA HAI KE INSAAN
TEEN TEEN DAFA ISTEKHARA KARE KYUNKE HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM SE TEEN
DAFA DUAIEN KARNA SABIT HAI-(UMDATULQAARI)-BAAZ HAZRAAT E ULMA NE HAZRAT ANAS SE
MARVI RIWAYAT KI BUNYAD PAR SAAT DAFA ISTEKHARA KARNE KO PASAND KIYA HAI LEHAZA
AGAR KISI KO DILI MILAAN HASIL NAHO TO WO TEEN DAFA ISTEKHARA KARE AGAR PHIR
BHI HASIL NAHO TO SAAT DAFA KARLE AUR SAAT DAFA KARNA BHI BEHTAR HAI KYUNKE SAAT
ME TEEN DAKHIL HAI LEKIN AGAR KOI TEEN HI DAFA KARE TO USKO SAAT TO NAHIN MIL
SAKTA LEHAZA AISE ANDAZ PAR AMAL KARNA JISME DONO SURATIEN MIL JAYIEN AUR DONO TARAH
KI AARA PAR AMAL HO JAYE ZYADA MUNASIB HAI –BALKE BEHTAR YE HAI KE AGAR IS KAAM
ME TAKHEER KI GUNJAISH HOTO JAB DIL KA JHUKAU KISI EK PEHLU NA HO JAYE ISTEKHARA
KARTA RAHE –(UMDAT ULQARI)
·
NATIJA E ISTEKHARA KA SHARAEE HUKM
ISTEKHARA
KARNE KE BAAD JO NATIJA HASIL HOTA HAI US PAR AMAL KARNA NA TO WAJIB HAI AUR NA
HI SUNNAT LEKIN AGAR KISI EK JANIB PURA RUJHAAN HO JAYE AUR USME APNI ZAATI
KHWAHISH KA KOI DAKHL NA HO TO US SURAT ME US CHEEZ KO IKHTIYAR KARLE KYUNKE
ALLAH NE HAMARE HAQ ME JO CHEEZ MUTAIYAN
O MUQADDAR KI HOGI WO HAMARE HAQ ME ZARUR BEHTAR HOGI
·
KISI SHAKHS KA DUSRE KE KIYE ISTEKHARA KARNA
BANDA
APNI NAQIS TALAASH O JUSTUJU KE BAAD LIKHTA HAI KE HADEES ME KISI AUR SE
ISTEKHARA KARWANE KA KAHIN ZIKR NAHIN MILTA-IS SILSILE ME BANDA NE JIN AKABEER
ULAMA KI KITAABO.N SE RUJU KIYA UN HAZRAAT NE BHI KISI KITAB ME IS MASLE KE
MAUJOOD HONE MUTALLIQ KUCH NAHI LIKHA ALBATTA BAAZ HAZRAAT ULAMA KA KHAYAL YE
HAI KE ISKI IJAZAT HONI CHAHIYE-DALEEL YE HAI KE ISTEKHARA ME BANDA ALLAH RABBUL
IZZAT SE KHAIR AUR BHALAI KA KHWASTGAAR HOTA HAI JOKE EK DUA HAI AUR DUA KI
DARKHWAST KISI SE BHI KI JASAKTI HAI DAR HAQEEAT ISTEKHARA TALB KHAIR HI KA
NAAM HAI AUR JIS TARAH KHUD KAR SAKTA HAI USI TARAH DUSRO SE BHI KARWA SAKTA
HAI-LEKIN JAB HUM ISTEKHARA SE MUTALLIQ HADEES PAR NAZAR DALTA HAI TO NABI
KAREEM SALLALLHO ALAIHE WASALLAM KHUD ISTEKHARA KE ZARURAT MAND KO US BAAT KA
HUKM FARMA RAHE HAI KE WO ISTEKHARA KARE CHUNANCHE HAZRAT AYYUB ANSARI KO NABI
KAREEM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE BAZAAT E KHUD ISTEKHARA KARNE KI BAAT KAHI
HAI-(MASNAD AHMED)NEZ HAZRAAT SAHABA RAZI AL-LAHO TA’ALA ANHUM SE KISI NE HUZUR
SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM SE YE KAHA HO KE AAP HAMARE LIYE ISTEKHARA FARMADIEN
ISKA BHI BANDA KO KOI SABOOT NAHI MIL SAKA AUR NA FUQHA HI NE IS TARAH KI BAAT
KI KE KOI GAIR KISI KE LIYE ISTEKHARA KAR RAHA HO TO US WAQT WO MUTAKALLIM KE
SEYGHO KI JAGAH KYA KAHE-ISSE KAM AZ KAM YE MALUM HOTA HAI KE ISTEKHARA ANILGHAIR(KISI
DUSRE KA ISTEKHARA KARNE)KA ASLAAF ME KOI WAJOOD NA THA-YA YE KE WO KISI NA
KISI ETBAAR SE IS MAMLE SE MUTALLIQ HOTE THE US SURAT ME DAR HAQEEQAT YE
ISTEKHARA AN ULGAIR(KISI DUSRE KA ISTEKHARA KARNA)NAHIN BALKE ISTEKHARA ANINNAFS
(KHUD ZARURAT MAND KA ISTEKHARA KARNA)HO JAYEGA LE HAZA BAAZ HAZRAAT ULMA NE YE
NUQTAYE NAZAR BHI BAYAN
KIYA
HAI KE‘ISTEKHARA ANILGHAIR,DAR HAQEEQAT‘
ISTEKHARA ANINNAFS,HAI KYUNKE WO SHAKHS IS MAMLE KO KISI NA KISI ETBAAR SE APNE
SE JOD KAR HI ISTEKHARA KARTA HAI LEHAZA WO USI KI ZAAT KE LIYE ISTEKHARA
HUA,MASLAN WALDAIN JAB APNI AULAAD KI SHAADI KE SILSILE ME ISTEKHARA KARENGE TO
UN KE ZEHEN ME YE HOTA HAI KE MADD E MUQABIL HAMARI AULAAD KE LIYE MUNASIB HOGA
KE NAHIN HAMIEN US MAMLE ME KYA RAWAYYAA IKHTIYAAR KARNA CHAHIYE US KO QUBOOL
KARNA HAMARE HAQ ME BEHTAR HOGA YA RADKARNA,IS MAMLE KHUD UN KI ZAAT TARADDUD
KA SHIKAR HAI AUR ISTEKHARA RAFA TARADDUD KA KE LIYE HAI DUSRE NUQTAYE NAZAR KE
AITBAAR SE ISTEKHARA KARNE WALA KISI NA KISIDARJA ME BAZAAT KHUD US MAMLE SE
MUTALLIQ AUR US ME MUTRADDUD HO AISA NA HO KE KISI AISE SHAKHS KE JIS KA US MAMLE
SE KOI TALLUQ HI NA HUA ISTEKHARA KARWAYE-MAUJUDA HALAAT KE TANAZUR ME IS
SILSILE ME EK MASLA BAHUT AHMIYAT KA HAMIL HO GAYA HAI WO YE KE LOG PHONE YA
DEGAR MAWASALATI ZARAE SE KISI BUZURG YA MAZHABI SHA-KHSIYAT SE APNE KAAM KE
MUTALLIQ ISTEKHARA KI DARKHWAST KARTE HAIN AUR WO BUZURG YA SAHEB US MASLE AUR US
KAAM KO SUNNE KE FAURAN BAAD HI APNA JAWAB MARHAMAT FARMA DETE HAIN ISKI DO
KAIFIYATIEN HO SAKTI HAI(1)EK TO YE KE BAGAIR KISI TALAB KHAIR KI DUA AUR
TAWAJJUH ILALLAH FAURAN HI JAWAB DE DIYA
JAYE TO US SURAT KO ISTEKHARA NAHIN KAHA JAYEGA KYUNKE ISTEKHARA ALLAH SE APNE
HAQ ME BHALAI AUR KHAIR KE MUQADDAR KARNE KO MANGNE KA NAAM HAI AUR YAHAN ALLAH
SE MANGNA PAYA HI NAHIN GAYA TO US KO ISTEKHARA KAISE KAHA JAYEGA?BALKE AGAR
KOI SHAKHS US AMAL KE BAAD YE AQEEDA AUR ETQAAD RAKHE KE MERE MAMLE ME INTEKHAB
AUR FAISLA ALLAH NE KIYA HAI TO YE IFTARA ALALLAH(ALLAH PAR BOHTAN BANDHNA) HONE
KI WAJAH SE NAJAYEZ AUR HARAM HOGA-CHUNANCHA ZAMANA JAHLIYAT ME AHLE ARAB ALLAH
RAB UL IZZAT SE KHAIR AUR BHALAI MANGE BAGAIR APNE AABA W AJDAAD KE MUTAIYAN
KARDA KHAIR AUR SHAR KE CHAND MEYARAAT KI BUNYAD PAR IS MAMLE KA FAISLA KAR
LETE AUR US KO ALLAH KI TARAF MANSUB KAR DETE KE MUJHE MERE RAB NE YE KARNE YA NA
KARNE KA HUKM DIYA HAI-(HUJJAT ULLAHIL BAALIGHAH) DUSRI KAIFIYAT YE HO SAKTI
HAI KE JAWAB TO FAURAN HI DIYA JATA HO LEKIN SAYIL KO KISI EK MUTAYYANA SURAT
KE MUNTAKHAB KARNE KE MUTALLIQ JAWAB DENE SE QABL ALLAH SE KHAIR AUR BHALAI KI
DUA MANGLI JATI HO YE SURAT PEHLI SURAT KE MUQAABLE ME KISI HAD TAK DURUST TO
HAI LEKIN USME DO TARAH KI KHARABIYAN HAIN EK TO AAP KE DIL KA NAFSANI DABAO SE
BACHTE HUE KISI EK TARAF MAYIL HONA,JAWAB DENE KE LIYE ZARURI HAI AUR AISA HAR
DAFA AUR HAR SAWAL KE JAWAB ME HONA ZARURI NAHIN WARNA TEEN DAFA AUR SAAT DAFA
ISTEKHARA KI BAAT KYUN AATI JAB KE KOI BHI MAMLA ISTEKHARA KE BAAD EK HI LAMHA
ME HAL HO JATA DUSRI BAAT YE HAI KE YE HUZUR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI
TALIMAAT AUR AAP SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM SE MANQUL ISTEKHARA KE TAREEQA KE
MUTABIQ NAHIN HAI IS RIWAAJ KE AAM HONE KI WAJAH SE EK KHARABI YE BHI PAIDA HO
GAYI HAI KE LOG BAZAAT E KHUD ISTEKHARA KARNE KE BAJAYE DUSRO SE ISTEKHARA KARWANE
KO HI SHARAYEE TAREEQA SAMJHNE LAGE HAIN JAB KE HUZUR SALLALLAHO ALAIHE
WASALLAM AUR SEHABA RAZI ALLAHU TA’ALA ANHUM KA MAMUL KHUD ZARURAT MAND SHAKHS
KA ISTEKHARA THA BEHR HAAL MUNASIB AUR MASNOON AMAL YE HAI INSAAN KHUD ISTEKHARA
KARE AGAR KOI MAMLA BAHUT AHEM HO AUR KISI PEHLU MILAAN BHI NA HO RAHA HO YA
PHIR NAFSANI KHWAHISHAAT KA GALBA HO TO PHIR AISE LOGON SE JO US MAMLE SE KISI
NA KISI HAD TAK TALLUQ HO AUR UNKI BUZURGI O SHARAFAT BHI MUSALLAM HO,ISTEKHARA
KARWAYA JA SAKTA HAI AUR UN HAZRAAT KO BHI CHAHIYE KE ISTEKHARA US TAREEQA PAR
KARIEN JIS KI NABI KAREEM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE UMMAT KO TALEEM DI HAI-
·
ISTEKHARA AUR TASHKEESH ME FARQ
AAM
TAUR PAR JO GHALAT FAHMI ISTEKHARA KE SILSILE ME PAAYI JATI HAI WHO TASHKHEES
AUR ISTEKHARA KO KHALAT MALAT KARNE KI WAJA KAR HAI YEH BAAT PEHLE ZEHAN NASHI.N KARLE.N KE ROOHANI ULOOM MASLAN ILM E JAFAR ILM RAMAL
ILME NAJOOM ILMULAADAD ILMULKHWAB ILM E MURAAQBAH WAGHAIRA SE SAAIL KE KISI
SWAAL KA JAWAB DIA JAYE YA KISI ROOHANI
YA JISMANI MARAZ KA ANDAZA LAGAYA JAYE TO ISEY ASTEKHARA KA NAAM NA DIA JAYE
BALKE YEH TO EK ILMI ANDAZA AUR TASHKHEES KAHLAAYEGA JAB KE ISTEKHARA KI TAREEF
AAP PICHHLE SAFHAAT ME PADH CHUKE HAIN MERE PAAS SAINKDO.N E MAILS AATE HAI.N
JIN ME LOG YEH SAWAL LIKHTE HAI.N KE ZARA ISTEKHARA KARKE BATAYE.N HUMARE UPAR
AUR HUMARE KROBAR KE UPAR KISI NE JAADU TONA TO NAHI KARWA DIA HAI ,KHABI KABHI
MAIN SOCHTA HU.N KE AAKHIR IN BECHARO.N
KO KISNE BATAYA KE AISE SAWAALO.N KE JAWABAT ISTEKHARA KE ZARYE MALOOM KIA JATA
HAI DAR ASAL IS GHALAT FEHMI ME MAINE AWAAM TO AWAAM MAINE KHWAAS KO MUBTALA
PAYA HAI ,ISTEKHARA MUSTAQBIL QAREEB YA MUSTAQBIL BAYEED ME KISI KAAM KE KIYE
JAANE YA NA KIYE JAANE KE SILSILE ME ALLAH RABBUL IZZAT SE MASHWARA KARNE KA
NAAM HAI JABKE SEHAR JADU AASEB ,JISMANI O ROOHANI MARAZ,KAROBAR NA CHALNE KA
SABAB ,MAALI NUQSANAT KI WAJAH,LADKIYO.N KE RISHTA NA HONE KI WAJAH, ZAN O
SHOHAR ME NACHAQI KA SABAB,DOCTORS KE SAMAJH ME NA AANE WALE AMRAAZ KI TASHKHIS
WAGHAIRA WAGHAIRA SAWALAAT KE JAWABAT ME JO BAAT KAHI JAYEGI USEY TASHKHIS KAHA
JAYE GA YEH AM SAWALAAT HAI.N JO AWAM AAMILO.N AALIMO.N AUR ROOHANI PESHWAAO.N
SE KARTI HAI SAWAL KARTE WAQT AAM LOGO.N KE ZEHAN ME ITNI BAAT TO ZAROOR HOTI
HAI KE MAIN JIN SE SAWAAL KAR RAHA HUN UNKE PAAS KOI ROOHANI ILM MASLAN JAFAR
WAGHAIRA ZAROOR HAI JISKI MADAD SE WHO MERE SAWALAAT KA TASHFFI BAKHSH JAWAB
INAYAT KARENGE ,MAIN SAMJHTA HU.N YEHA.N
AWAAM KA KOI QASOOR NAHI ALBATTA UNKI GHALAT FEHMI KO DOOR KARNA CHAHIYE KE JO
BHI JAWAB DIA JATA HAI USEY ISTEKHARA YA ISTEKHARA KA NATIJA KAHNA HARGHIZ
DURUST NAHI BALKE ISEY EK ILMI ANDAZA AUR TASHKEESH KA NAAM DIA JAYE ,MUJHE
UMMED HAI QARAEEN MERI IS MUKHTASAR GUFTUGHU SE ISTEKHARA AUR TASHKHEESH KA
WAAZEH FARQ SAMAJH GAYE HONGE AB AISE HI KUCH GHALAT FEHMI FAAL AUR TASHKHISH
KE MUTALLIQ BHI KAAFI MASHHOOR HAI INSHA ALLAH KISI NAHSISHT ME IS GHALAT FEHMI
KA BHI IZALA KIA JAYEGA…
Mohammad Imran Razvee Al Qadri
(Numeroligist & Spiritual Healer)