Lohe Shams Ko
Istemal Me laane ka Tariqa
Un
Hazraat o Khwateen Ke Liye jinho ne Lohe Shams humare yehan se mangwaya hai,
Lohe Shams Ba Moakkil aap ke
haath me hai do adad naqsh hai ek sunehre kaghaz par zaafran se bana hai doosra
taanbe ki pattar par kanda shuda hai kaghaz wala Loh gale me dalne ke liye hai
is naqsh ko teyh karke kisi panni me lapet
le.n panni me lapetne se qabal looban ya
kisi khushboodar agarbatti ki dhooni naqsh par de le.n is ke baad pile ya
zaafrani rang ke kapde me naqsh ko sil le.n yeh sab kaam itwar se qabal yani
hafta ya jumah ke din kar le.n phir itwar ke din ain tulu aaftab (sunrise) ke waqt gale me daalne waale naqsh
ko daahine haath me lekar poorab ki jaanib khade hojaye.n aur koi sa bhi durood sharif 11 bar parh kar
19 martaba Bismillahirrahmaanirraheem aur 66 bar ya Allahu parhe.n phir 11 bar
durood sharif ka wird karke Dua ke liye haath uthaye.n is taur par ke Lohe
shams dahine haath me ho ab Allah rabbul Izzat ki baarghah me you.n arz kare
,,,,ya Arhamarraahimeen,, ya Arhamarraahimeen,, ya Arhamarraahimeen,, jis tarha
Maula tune aaftab ko rifat o bulandi ata ki hai Ya Allah mujhe bhi Nabi Kareem
Sallallaho alaihi wasallam ke sadqe me buland o bala maqam ata farma ,,,is ke
baad agar koi khas maqsad ho jaise rizq me izafa ,karobar me taraqqi ,dushmano
par ghalba ,muqabla jaati imtehan (competitive exam) me kaamyabi,ya kisi bhi
imtehan me kaamyabi,qarz ki adaayegi , naukri me istehkaam,gharaz ke koi bhi
maqsad e khas ho iska bhi zikar kare.n aur aakhir me durood sharif parh kar dua
khatam kare.n aur Naqsh ko gale me daal le.n ya daahine baazu par baandh le.n
agar aurat ya ladki hai to baaye.n baazu par bandh le.n iske baad jo taanbe
wala Loh hai isko ghar ya office me kisi oonchi jagah latkaayen ya kisi mehfooz
jagah me chhupa kar bhi rakh sakte hain basharteke koi khol kar na dekhe agar
subh ke waqt taanbe wala naqsh ko nahi rakh paayen to isi din qariban ek baje
din me yeh kaam karle.n Allah ke fazal se din guzarte haalat sudharte jayenge
aur Lohe Shams ke mansooba Moakkil Allah Ta’ala ke izan se har kaam me haamil e
naqsh ki madad karenge.
Mohammad Imran Razvee Al Qadri